Showing posts with label Aditya Roy Kapoor. Show all posts
Showing posts with label Aditya Roy Kapoor. Show all posts

Tuesday, May 26, 2015

Jaadu Tone Waaliyan

Song: Jaadu Tone Waaliyan
Movie: Daawat-E-Ishq (2014)
Singer: Shabab Sabri 
Music: Sajid-Wajid
Lyrics: Kausar Munir


Ho jaadu tone waaliyan ve jaadu tone waaliyan
Ho jaadu tone waaliyan ve jaadu tone waaliyan
Dore dore daaliyan ve jaadu tone waaliyan
Dore dore daaliyan ve jaadu tone waaliyan

*****, gayi re loot ke
*****, gayi re loot ke
Ud ud ud gayi chidi sher maar ke
Ho takte reh gaye moochhon waaleyan
Jai ho jigra waaliyan, jadu tone waliyan
Waadi veeran waaliyan, jadu tone waliyan

Jaadu tone waaliyan ve jaadu tone waaliyan
Ho jaadu tone waaliyan ve jaadu tone waaliyan
Hey dore dore daaliyan ve jaadu tone waaliyan
Dore dore daaliyan ve jaadu tone waaliyan

Moum ki gudiya n aafaton ki pudiya
Ho.. moum ki gudiya na aafaton ki pudiya
Na toh muhi manjha, na kaanch ki chudiyan
[Kaanch ki chudiyan, kaanch ki chudiyan]

Ghoonghte ko khol ke, darji ko chhod ke
Kudi gate langh gayi khoonte ko tod ke
Ho takte reh gaye dollon waaleyan
Mantron waaliyan, jaadu tone waaliyan
Jantron waaliyan, jaadu tone waaliyan

Jaadu tone waaliyan ve jaadu tone waaliyan
Ho jaadu tone waaliyan ve jaadu tone waaliyan
Hey dore dore daaliyan ve jaadu tone waaliyan
Dore dore daaliyan ve jaadu tone waaliyan

Chai ki pyaali nahi, meh ka pyala nahi
Ho.. chai ki pyaali nahi, meh ka pyala nahi
Chandi ka chhalla na munh ka hai chhala nahi
[Munh ka hai chhala nahi, munh ka hai chhala nahi]

Dekho phoolon ki bani, mui maare ne chhadi
Chori haye chhui-mui, bhaari kukkadon pe hui
Ho takte reh gaye latth waaleyan
Bomb patakhon waaliyan, jaadu tone waaliyan
Dhoom dhadaakon waaliyan, jaadu tone waaliyan

Jaadu tone waaliyan ve jadu tone waliyan
Ho jaadu tone waaliyan ve jadu tone waliyan
Hey dore dore daaliyan ve jadu tone waliyan
Dore dore daaliyan ve jadu tone waaliyan

Tod ke dil ki saari yeh tagariyan
Chhal ke chali gayi saari dildaariyan
Dekhi teri yaariyan, jaadu tone waaliyan
Teri dhokhebaziya, jaadu tone waaliyan

Jaadu tone waaliyan ve jaadu tone waaliyan
Ho jaadu tone waaliyan ve jaadu tone waaliyan
Hey dore dore daaliyan ve jaadu tone waaliyan
Dore dore daaliyan ve jaadu tone waaliyan..



Rangreli

Song: Rangreli
Movie: Daawat-E-Ishq (2014)
Singers: Shreya Ghoshal, Wajid
Music: Sajid-Wajid
Lyrics: Kausar Munir



Ho.. ishtihaaron waali mohabbat
Karte hain be-gaane
Imtihaano waali mohabbat
Karte hai deewane

Haan.. ishtihaaron waali mohabbat
Karte hain be-gaane
Imtihaano waali mohabbat,
Karte hai deewane

Teri meri deewangi ke
Aa chal gaad de jhande
Rangreli, Rangreli jaana Rangreli Rangreli
Ishq ko rang mein rang de apne
Rang rang Rangreli

Rangreli, Rangreli jaana Rangreli Rangreli
Ishq ko rang mein rang de apne
Rang rang Rangreli

Haan parde uda, ghoonghat utha
Ishq ki sharm-o-haya de hata
Par para para parde uda, ghoonghat utha
Ishq ki sharm-o-haya de hata
Saara jahan bole jisey
Ishq ki boli badal daale aa

Kaarobaron waali mohabbat
Karte hain be-imaane
Sachche waadon waali mohabbat
Karte hain deewane
Haan jhoom ke, aa dhoom se
Chal prem patakhe phodein
Rangreli, Rangreli jaana Rangreli Rangreli
Ishq ko rang mein rang de apne
Rang rang Rangreli

Rangreli, Rangreli jaana Rangreli Rangreli
Ishq ko rang mein rang de apne
Rang rang Rangreli

Haan tere figure pe har nazar
Main to hoon teri akal pe fida
Ho.. tere figure pe har nazar
Main to hoon teri akal pe fida
Arey roop tere pe chhore marein
Par main to til til pe teri mita

Body beauty waali mohabbat
Karte hain re dhongi
Tuning setting waali mohabbat
Karte hain atrangi
Aa zor se, aa shor se
Chal prem ka bigul bajaayein
Rangreli, Rangreli jaana Rangreli Rangreli
Ishq ko rang mein rang de apne
Rang rang Rangreli

Rangreli, Rangreli jaana Rangreli Rangreli
Ishq ko rang mein rang de apne
Rang rang Rangreli


Mannat (Reprise)

Song: Mannat (Reprise)
Movie: Daawat-E-Ishq (2014)
Singers: Shreya Ghoshal, Sonu Nigam
Music: Sajid-Wajid
Lyrics: Kausar Munir

Toote-toote sitaaron ko dil ke tune chuaa
Asar yun huaa, tera door se
Jhoothe-moothe se naina mere chhalakne lage
Chamakne lage, tere noor se

Toote-toote sitaaron ko dil ke tune chuaa
Asar yun huaa, tera door se
Jhoothe-moothe se naina mere chhalakne lage
Chamakne lage, tere noor se

Apna naa sahi, tu ghair nahi
Maange til til, dil khair teri
Thamti badhti dhadkan meri
Pal pal karti hai duaa
Meri mannat tu, tujhko hai tujhse maanga
Meri mannat tu, tujhko hai Maula maana
Meri mannat tu, tujhko hai tujhse maanga
Meri mannat tu, tujhko hai Maula maana
Meri mannat tu..
Meri mannat tu
O.. meri mannat tu

Dehake dehake se dil ko mere hai lagne lagi
Haan thagne lagi yun aadat teri
Rafta rafta hadon se meri guzar ne lagi
Ubharne lagi hai chaahat teri
Qatra qatra, ab maane na
Dariya dariya, dil maange haan
Ye sabr mera, be-sabr tera
Karta hai tujh se dua
Meri mannat tu, tujhko hai tujhse maanga
Meri mannat tu, tujhko hai Maula maana
Meri mannat tu, tujhko hai tujhse maanga
Meri mannat tu, tujhko hai Maula maana
Meri mannat tu.. meri mannat tu..
Meri mannat tu.. meri mannat tu..


Meri Mannat

Song: Meri Mannat
Movie: Daawat-E-Ishq (2014)
Singers: Sonu Nigam, Shreya Ghoshal, Keerthi Sagathia
Music: Sajid-Wajid
Lyrics: Kausar Munir



Teekhi teekhi adaa se teri
Chatakne lage, atakane lage iraade mere
Lehki lehki laton se teri
Ulajhane lage, sulajhane lage
hain waade mere (x2)

Dariyaa na sahi tu chaahat ka
De de na mujhe bas ik qatra
Tinka-tinka mere dil ka
Karta hai tujhse duaa..

Meri mannat tu, tujhko hai tujhse maanga
Meri mannat tu, tujhko hai Maula maana (x2)

Meri mannat tu..
Meri mannat tu..
Meri mannat tu...

Ahaa ahaa ahaa ahaa
Jhatak jhatak zulfon ki gujariya
(gujariya.. gujariya.. )
Jhatak jhatak zulfon ki gujariya
Maare re maare re phatkaare
Jhat jhatak matak naino se bijuriya
Maare re maare re jhatkaare
(jhatkaare jhatkaare)


Ghan ghan ghanghor ghata mera joban
Ang ang angaara!
Lapton se lipat jaana meri
Har rang ke rasiya ko hai pyara
Haan.. jal-jal tap-tap bas aanch nahi
Mere boond-boond thandai
Jhar-jhar bhar-bhar gaagar mein saagar
Chhanak-chhan chhanan-chhan preet barsaai..


Tu hai thumri, daadra main
Raag main, tu raagni hai
Sur se mere sur mila le, gaaye jahaan
Kaala gora, har rang mora
Kaala gora, har rang mora
Karta hai tujhse duaa
Mari manat tu.. meri manat tu
Mari manat tu.. meri manat tu

Aankhon mein laakhon ishaare tere
Palkon mein aaja chhupa loon mere
Apni nazar ka main tika karoon
Sabki nazar se bachaa loon tujhe
Chhup chhup ke chanda jo taade tujhe
Mud-mud ke taare jo taake tujhe
Cheer ke raaton ki aawaargi
Til til jalaa doon main aage tere

Meri mannat tu, tujhko hai tujhse maanga
Meri mannat tu, tujhko hai Maula maana
Meri mannat tu, tujhko hai tujhse maanga
Meri mannat tu, tujhko hai Maula maana
Meri manat tu, meri mannat tu


Daawat-E-Ishq (Ttile)

Song: Daawat-E-Ishq (Ttile)
Movie: Daawat-E-Ishq (2014)
Singers: Javed Ali, Sunidhi Chauhan
Music: Sajid-Wajid
Lyrics: Kausar Munir



Ho.. chaand chaahun, na chakora
Na falak ka.. tukda tukda tukda
Noor chaahun, na main hoori
Na pari sa.. mukhda mukhda mukhda
Sang sang chal de
Sang sang chakh le
Meetha meetha har sukh har dukhda
Usey khwabon se jagaaun
Usey baahon mein sulaaun
Sar-aankhon pe bithaun
Usey haathon se khilaaun, ta-umar

Dil ne dastarkhaan bichhaaya
Haan Dil ne dastarkhaan bichhaaya
Daawat-e-Ishq hai
Dil ne dastarkhaan bichhaaya
Daawat-e-Ishq hai
Hai qubool to aaja jaana
Daawat-e-Ishq hai
Hai qubool to aaja jaana
Daawat-e-Ishq hai, Ishq Hai

Dil ne dastarkhaan bichhaaya
Haan Dil ne dastarkhaan bichhaaya

(Sargam)

Baadalon ko chun ke, bun ke
Kaaleen banaaya hai tere liye
Taaron ko todkar ke,
tashtari mein sajaya hai tere liye

Chaand taaron ko kyun sataya
Tilmilaya hai mere liye
Jaaun jidhar bhi khill khill udhar hi
Dhoop nikalti hai mere liye

Haay baatein teri chaashni si meethi meethi
Aaye haaye.. baatein hi daawate bhi meethi meethi

Tu aaye to meri pheeki se mehfil mein lazzate laut aaye
Hasrat-e-lazzat jo hai teri daawat to bolo bhala kaun aaye
Arey keh de tu jo, saari deghon ko aa koodu dil ki jo dum bhi main de doon apna*

Dil ne dastarkhaan bichaya, ha ha ha...
Dil ne dastarkhaan bichaya
Daawat-e-Ishq hai
Dil ne dastarkhaan bichaya
Daavat-e-Ishq hai
Hai qubool to aaja jaana
Daawat-e-Ishq hai
Hai qubool to aaja jaana
Daawat-e-Ishq hai

Daawat-e-Ishq hai
Daawat-e-Ishq hai
Daawat-e-Ishq hai ji
Daawat-e-Ishq hai

Haan sharbat mein ghuli mohabbat
Daawat-e-Ishq hai
Tauba tauba buri milawat
Daawat-e-Ishq hai
Arey kismat se milti hai shirqat
Daawat-e-Ishq hai
Aji be-fijool ki kisko fursat
Daawat-e-Ishq hai
Tunak nahi zara chakh toh le
Dhadak nahi zara dum toh le
Jud jaane de zara taar se taar ko
Zara soch samajh ik baar toh
Na soch ke, na hosh se
Tujhe mehmaan banaya ha humne dil se

Haan hai qubool ye humne maana
Hai qubool ye humne maana
Daawat-e-ishq hai
Jee huzoor humein manzoor ye
Daawat-e-ishq hai
Jee huzoor humein manzoor ye
Daawat-e-ishq hai, Ishq hai

Aha aha.. Aha aha..
Daawat-e-ishq hai
Daawat-e-ishq hai
Daawat-e-ishq hai
Daawat-e dil ne dastarkhaan bichaya
Daawat-e-ishq hai

Daawat-e-ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai

Ishq hai, ishq hai
Daawat-e-ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai

Ishq hai..


ad

In Association with Amazon.in