Showing posts with label Agent Vinod (2012) movie. Show all posts
Showing posts with label Agent Vinod (2012) movie. Show all posts

Tuesday, August 20, 2013

I Will Do The Talking Tonight

Song : I Will Do The Talking Tonight
Movie : Agent Vinod (2012)
Music : Pritam Chakraborty
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Neeraj Shridhar, Barbie Amod, Aditi Singh Sharma & Shefali Alvaris




Yeah from the old school to the new school
We keep it clean
We doin' it live
From India to Russia

Lets go, lets go, lights

I will do the talking tonight
Dil diyan gallan-challan kar lai zara
I'll do the talking tonight
Hungama halla-gulla kar lai zara
Jo hona hona hona tha ho chuka hai woh
Guzra woh pal hai tera
Hai tere tere tere jo samne abhi
Bas yehi pal hai tera
Steal the night, inn honthon pe saja le
Baitha kyun tanha
Feel the vibe and jashn mana le
Jeene le har lamha
Na na na... Cash maar ke uda de zindagi ka saara gham
Na na na... Jee le haq se bhula de saare reham o karam

Make a move, baby don't you don't you scare the bait
And aren't you aren't you, tell you the truth
Coz I got you got you
Teri mann maani maine pehchaani yaara
Find yourself make khoja khoja
Pee ke tight zara hoja hoja
Through the night kare mauja mauja
Baby listen to me

I'll do the talking tonight
Tu cheeni ishqe di chakh le zara
I'll do the talking tonight
Tu Roosi (Russian) goriyan nu takk lai zara

Jo khoya khoya khoya hai tera cunning dil
Tere dillagi ki hai saza
Haan jaane jaane jaane de kho gaya hai toh
Lele haal-e-dil ka maza
Steal the night, inn honthon pe saja le
Baitha kyun tanha
Feel the vibe and jashn mana le
Jeene le har lamha
Na na na... Cash maar ke uda de zindagi ka saara gham
Na na na... Jee le haq se bhula de saare reham o karam
Na na na...

Pungi

Song : Pungi
Movie : Agent Vinod (2012)
Music : Pritam Chakraborty
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Mika Singh, Amitabh Bhattacharya, Nakash & Pritam Chakraborty



Bangle ke peeche hai taala, ghusu kahan se mein saala
Laila ki khidki khuli hai, kidhki ke neeche hai naala
Khidki pe koi khada hai, Laila ka taaka bhida hai
Mazze udati hai meri mohabbat ki poonch maar ke

O meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar
o meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki Pungi baja kar

Bangle ke peeche hai taala, ghusu kahan se mein saala
Laila ki khidki khuli hai, kidhki ke neeche hai naala
Khidki pe koi khada hai, Laila ka taaka bhida hai
Mazze udati hai meri mohabbat ki poonch maar ke

o meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar
O meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar

Hmm sabko toh parsad baante, main maangu toh mujhko daante
Auron pe gaalon pe pappi, mere hi gaalon pe chaante
Laila hai girgit ke jaisi, table pe kirkit ke jaisi
Tu lipstick ka thappa lagati hai gaalon pe smooch maar ke

O meri, o meri, o meri meri meri meri meri
Meri aankh, meri unh mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki unh baja kar
O meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar

P to the U to the N to the G to the I, the pungi pungi
Naye zamane ki Laila hoon main teri pungi baja ke rahungi
P to the U to the N to the G to the I, the pungi pungi
Naye zamane ki Laila hoon main teri pungi baja ke rahungi

Love you my honey, you're very funny
Now spend all your money, my macho my stud
My koochi my poochi please get my Gucci
Even if you have to sell all your blood

Haye jhoothi kasmein jhoothi vaade mujhe English mein ratta kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar
O meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar
O meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar

Raabta (Kehte Hain Khuda Ne)

Song : Raabta (Kehte Hain Khuda Ne)
Movie : Agent Vinod (2012)
Music : Pritam Chakraborty
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Arijit Singh, Shreya Ghoshal & Hamsika




Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara maanu
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara maanu
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane hume kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Tu humsafar hai, phir kya fikar hai
Jeene ki wajah hi yahi marna issi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye

Sa ni pa di na sa...

Meharbaani jaate jaate mujh pe kar gaya
Guzarta sa lamha ek daaman bhar gaya
Tere nazara mila, roshan sitaara mila
Takdeer ki kashtiyon ko, kinara mila

Sadiyon se tarse hai jaisi zindagi ke liye
Teri sauhbat mein duaayein hain ussi ke liye
Tere milna hai uss rab ka ishaara
Maanu mujhko banaya tere hi jaise kisi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye
Tere milna hai uss rab ka ishaara
Maanu mujhko banaya tere hi jaise kisi ke liye
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane hume kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Tu humsafar hai, phir kya fikar hai
Jeene ki wajah hi yahi hai marna issi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye

Dil Mera Muft Ka

Song : Dil Mera Muft Ka
Movie : Agent Vinod (2012)
Music : Pritam Chakraborty
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Altamush Faridi, Muazzam, Shabab Sabri, Rizwan, Nandini Shrikar & Shadab Faridi



Phenke nazar ke sikke usne
Bik gayi hoon main
Usne jo chhoo liya toh haye
Lagey ke nayi hoon main

Yun toh premi pachattar humare
Leja tu kar satattar ishaare
Dil Mera Muft Ka
Khamakha hi taraste bichare
Leja tu kar satattar ishaare
Dil mera, muft ka
Dil mera, muft ka

Hai naiyyo soneya tere bin guzara... (4)

Dil ke dukandaar hai doosre bhi
Hum thoda achhe hain, woh hai farebi
Ni me kamli kamli, ni me kamli kam...
Haan dil ke dukandaar hai doosre bhi
Hum thoda achhe hain, woh hai farebi
Mehnga hai dil, sabke bas ka nahi yeh
Bikna hai par teri khaatir mujhe bhi
Aaj baazar hi bik gaya re
Leja tu kar satattar ishaare
Dil mera, muft ka

Ho yun toh premi pachattar humare
Leja tu kar satattar ishaare
Dil mera, muft ka

Ni me kamli kamli, ni me kamli kam...

Socha tumhara dil hum khareedein
Kya daam hai bolo kaato raseedein
Haye haye socha tumhara dil hum khareedein
Kya daam hai bolo kaato raseedein
Phir tumse karwa lein jaisa bhi chaahein
Nazarein tumhari meri haazri de
Par tumhari hai nazron se haare
Leja tu kar satattar ishaare
Dil mera, muft ka

Ho yun toh premi pachattar humare
Leja tu kar satattar ishaare
Dil mera, muft ka
Dil mera, muft ka

Hai naiyyo soneya tere bin guzara... (2)

ad

In Association with Amazon.in