Showing posts with label Amitabh Bhattacharya lyrics. Show all posts
Showing posts with label Amitabh Bhattacharya lyrics. Show all posts

Friday, October 3, 2014

Mast Magan

Song : Mast Magan
Movie : 2 States (2014)
Music : Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Arijit Singh, Chinmayi Sripada


Ishq Ki Dhuni Roz Jalaaye
Uthta Dhuaan Toh Kaise Chhupaaye

Ho Akhiyaan Kare Jee Hajoori
Maange Hai Teri Manjoori
Kajra Siyaahi, Din Rang Jaaye
Teri Kastoori Rain Jagaaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Bas Tera Naam Dohraaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Tera Naam Dohraaye

Chaahe Bhi Toh Bhool Na Paaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Bas Tera Naam Dohraaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Tera Naam Dohraaye

Jogiya Jog Lagake
Makhra Rog Lagaa Ke
Ishq Ki Dhuni Roz Jalaaye
Uthta Dhuaan Toh Kaise Chhupaaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Bas Tera Naam Dohraaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Bas Tera Naam Dohraaye

Chaahe Bhi Toh Bhool Na Paaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Bas Tera Naam Dohraaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Tera Naam..Bas Tera Naam Dohraaye

Odh Ke Dhaani Reet Ki Chaadar
Aaya Tere Shehar Mein Ranjha Tera
Duniya Zamaana, Jhoota Fasaana
Jeene Marne Ka Waada Saancha Mera
Ho..Sheesh-Mehal Na Mujhko Suhaaye

Tujh Sang Sookhi Roti Bhaaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Bas Tera Naam Dohraaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Bas Tera Naam Dohraaye

Chaahe Bhi Toh Bhool Na Paaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Bas Tera Naam Dohraaye
Man Mast Magan, Man Mast Magan
Tera Naam..Dohraye…

Chaandaniya

Song : Chaandaniya
Movie : 2 States (2014)
Music : Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Mohan Kanan, Yashita Yashpal Sharma

Tujh Bin Suraj Mein Aag Nahi Re
Tujh Bin Koyal Mein Raag Nahi Re
Chaandaniya To Barse
Phir Kyun Mere Haath Andhere Lagde Ne

Haa Tujh Bin Phaagun Mein Phaag Nahi Re
Haa Tujh Bin Jaage Bhi Jaag Nahi Re
Tere Bina..O Mahiya
Din Dariya, Rain Jazeere Lagde Ne
Adhoori Adhoori Adhoori Kahaani, Adhoora Alvida
Yunhi Yunhi Raina Jaaye Adhoore Sadaa
Adhoori Adhoori Adhoori Kahaani, Adhoora Alvida
Yunhi Yunhi Raina Jaaye Adhoore Sadaa

O Chaandaniya To Barse
Phir Kyun Mere Haath Andhere Lagde Ne
Kedi Teri Naraazgi
Gal Sun Le Raaz Ki
Jism Ye Kya Hai, Khokhli Seepi
Rooh Da Moti Hai Tu
Garaz Ho Jitni Teri
Badle Mein Jindadi Meri
Mere Saare Bikhre Suron Se Geet Piroti Hai Tu
O Mahiya.. Tere Sitam, Tere Karam
Dono Lutere Lagde Ne

Tujh Bin Suraj Mein Aag Nahi Re
Tujh Bin Koyal Mein Raag Nahi Re
Chaandaniya To Barse
Phir Kyun Mere Haath Andhere Lagde Ne

Adhoori Adhoori Adhoori Kahaani, Adhoora Alvida
Yunhi Yunhi Raina Jaaye Adhoore Sadaa
Adhoori Adhoori Adhoori Kahaani, Adhoora Alvida
Yunhi Yunhi Raina Jaaye Adhoore Sadaa

Na Na Na…Na Na Na..
Phir Kyun Mere Haath Adhere Lagde Ne
Tere Bina..O Mahiya
Din Dariya, Rain Jazeere Lagde Ne.

Thursday, August 22, 2013

Geet Mein Dhalte Lafzon Mein

Song : Geet Mein Dhalte Lafzon Mein
Movie : Udaan
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Amit Trivedi & Amitabh Bhattacharya




Geet Mein Dhalte Lafzon Mein
Taal Pe Chalti Nabzon Mein
Naya Kuchh Naya To Zaroor Hai
Shaam Se Leke Sehron Mein
Dhoop Jadi Duphero Mein
Naya Kuchh Naya To Zaroor Hai

Kya Baat Hai Jo Baat Hai Taaza Lagey
Zindagi Ki Nayi Nayi Faza Lagey

Haan Yeh Umango Se Poora Hua Seena Hai (Seena Hai ..)
Lamha Yeh Maanga Nahi, Isse Humne Cheena Hai (Cheena Hai ..)
Yunhi Jeena Hai

Dhool Jami Thi Aankhon Mein
Khwab Khile Ab Lakhon Mein
Naya Kuch Naya To Zaroor Hai
Dard Ki Baatien Kal Ki Hain
Aaj Mein Khushiyan Chalki Hain
Naya Kuch Naya To Zaroor Hai
Jebon Mein Hum Raatein Liye Ghuma Kare
Fursat Ke Yeh Mauke Sabhi Jhuma Kare

Haan Yeh Umango Se Poora Hua Seena Hai (Seena Hai ..)
Lamha Yeh Maanga Nahi, Isse Humne Cheena Hai (Cheena Hai ..)
Yunhi Jeena Hai

Andheri Mein Hai Nayi Garmiyan
Junoon Sakht Hai Gayi Narmiyan
Hai Dilchasp Yeh Aag Si (Aag Si)
Mitenge Nahi Yaad Se (Yaad Se)

Geet Mein Dhalte Lafzon Mein
Taal Pe Chalti Nabzon Mein
Naya Kuchh Naya To Zaroor Hai
Shaam Se Leke Sehron Mein
Dhoop Jadi Duphero Mein
Naya Kuchh Naya To Zaroor Hai

Kya Baat Hai Jo Baat Hai Taaza Lagey
Zindagi Ki Nayi Nayi Faza Lagey

Haan Yeh Umango Se Poora Hua Seena Hai (Seena Hai ..)
Lamha Yeh Maanga Nahi, Isse Humne Cheena Hai (Cheena Hai ..)
Yunhi Jeena Hai

Naav-Chadhti Lehrein Laang Na Paaye

Song : Naav-Chadhti Lehrein Laang Na Paaye
Movie : Udaan
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Mohan



Chadhti Lehren Laangh Na Paaye Kyun Haanpti Si Naav Hai Teri Naav Hai Teri
Tinka Tinka Jod Ke Saanse Kyun Haanpti Si Naav Hai Teri Naav Hai Teri
Ulti Behti Dhaar Hai Bairi Dhaar Hai Bairi
Ulti Behti Dhaar Hai Bairi Dhaar Hai Bairi
Ke Ab Kuch Kar Ja Re Panthi..

Jigar Juta Kya Baat Baandh Le Hai Baat Thehri Jaan Pe Teri Jaan Pe Teri
Haiya Ho Ki Taan Saath Le Jo Baat Tehri Jaan Pe Teri Shaan Pe Teri
Chal Jeet Jeet Lehra Parcham Tu Laal Phehra Ja
Ab Kar Ja Tu Ya Mar Ja Karle Taiyari
Udja Banke Dhoop Ka Panchi Chura Ke Gehri Chhaon Andheri Chaao Andheri
Tinka Tinka Joodle Saase Kyun Haanphti Si Naav Hai Teri
Rakh Dega Jhakjhor Ke Tujhe
Tufano Ka Ghor Hai Dera Ghor Hai Dera
Bhanwar Se Dar Jo Haar Maan Le
Kaheka Phir Jor Hai Tera Jor Hai Tera
Hai Dil Mei Roshni Tere
Tu Cheer Daal Sab Ghere
Lehron Ki Gardan Kas Ke
Daal Phande Re
Ki Dariyan Bole Waaha Re Panthi
Saar Ankhon Pe Naav Hai Teri Naav Hai Teri
Chadti Lehren Laangh Na Paaye
Kyun Hanpti Si Naav Hai Teri Naav Hai Teri
Ulti Behti Dhaar Hai Bairi Dhaar Hai Bairi
Ulti Behti Dhaar Hai Bairi Dhaar Hai Bairi
Ke Ab Kuch Kar Ja Re Panthi..

Kahaani-Aankhon Ke Pardon Pe

Song : Kahaani-Aankhon Ke Pardon Pe
Movie : Udaan
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Joi Barua & Neuman Pinto



Aankhon Ke Pardon Pe Pyaara Sa Jo Tha Woh Nazara
Dhua Sa Ban Kar Udh Gaya Ab Na Raha
Baithe The Hum Toh Khwabon Ke Chaon Ke Tale
Chod Ke Unko Jaane Kahan Ko Chale

Kahani Khatam Hai Ya Shuruwaat Hone Ko Hai
Subha Nayi Hai Yeh Ya Phir Raat Hone Ko Hai
Kahani Khatam Hai Ya Shuruwaat Hone Ko Hai
Subha Nayi Hai Yeh Ya Phir Raat Hone Ko Hai

Aane Wala Waqt Dega Panhe
Ya Phir Se Milenge Dauraahein
Khabar Kya, Kya Pataa

Aazaadiyan-Pairon Ki Bediyan

Song : Aazaadiyan-Pairon Ki Bediyan
Movie : Udaan
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Amit Trivedi, Neuman Pinto & Amitabh Bhattacharya



Pairon Ki Bediyan Khwabon Ko Baandhe Nahi Re, Kabhi Nahi Re
Mitti Ki Parton Ko Nanne Se Ankur Bhi Cheenay, Dheere Dheere
Iraade Hare Hare, Jinke Seeno Mein Ghar Kare
Woh Dil Ki Sune Kare Na Darre, Na Darre

Subah Ki Kirno Ko Rokein Jo Salaakhein Hai Kahan
Jo Khayalon Pe Pehre Daale Woh Aankhein Hai Kahan
Par Khulne Ki Deri Hai Parinde Udh Ke Jhoomenge
Aasman Aasman Aasman
Subah Ki Kirno Ko Rokein Jo Salaakhein Hai Kahan
Jo Khayalon Pe Pehre Daale Woh Aankhein Hai Kahan
Par Khulne Ki Deri Hai Parinde Udh Ke Jhoomenge
Aasman Aasman Aasman

Aazaadiyan, Aazaadiyan
Aagey Na Kabhi, Mile Mile Mile
Aazaadiyan, Aazaadiyan
Jo Cheenay Wahi, Jee Le Jee Le Jee Le

Subah Ki Kirno Ko Rokein Jo Salaakhein Hai Kahan
Jo Khayalon Pe Pehre Daale Woh Aankhein Hai Kahan
Par Khulne Ki Deri Hai Parinde Udh Ke Jhoomenge
Aasman Aasman Aasman

Kahani Khatam Hai Ya Shuruwaat Hone Ke Hai (Hone Ke Hai)
Subha Nayi Hai Yeh Ya Phir Raat Hone Ko Hai (Hone Ke Hai)
Kahani Khatam Hai Ya Shuruwaat Hone Ke Hai (Hone Ke Hai)
Subha Nayi Hai Yeh Ya Phir Raat Hone Ko Hai (Hone Ke Hai)

Aane Wala Waqt Dega Panha Hai
Ya Phir Se Milenge Do Raahein
Khabar Kya, Kya Pataa

Wednesday, August 21, 2013

Raabta (Night In Motel)

Song : Raabta (Night In Motel)
Music : Pritam Chakraborty
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Arijit Singh & Hamsika



Faili thi siyaah raatein, aaya toh subah leke
Khama si zindagi mein jeene ki wajah leke
Khoya tha samundaron mein, tanha safeena mera
Saahilon pe aaya hai, tu jaane kis tarah haan leke
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane hume kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Ab kya hai kehna, humko hai rehna
Jannatein bhula ke teri baahon mein mein panah leke
Faili thi siyaah raatein, aaya toh subah leke
Khama si zindagi mein jeene ki wajah leke

Meharbaani jaate jaate mujh pe kar gaya
Guzarta sa lamha ek daaman bhar gaya
Tere nazara mila, roshan sitaara mila
Takdeer ka jaise koi ishaara mila

Roothi hui khwaishon mein thodi si sulah leke
Aaya tu khamoshiyon mein, baaton ki chirah leke
Khoya tha samundaron mein, tanha safeena mera
Saahilon pe aaya hai, tu jaane kis tarah haan leke
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane hume kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Ab kya hai kehna, humko hai rehna
Jannatein bhula ke teri baahon mein mein panah leke
Faili thi siyaah raatein, aaya toh subah leke
Khama si zindagi mein jeene ki wajah leke

Tuesday, August 20, 2013

Subhanallah

Song : Subhanallah
Movie : Yeh Jawaani Hai deewani
Music : Pritam
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Sreeram Chandra, Shilpa Rao



Ek Din Kabhi Jo Khud Ko Taraashe
Meri Nazar Se Tu Zara, Haaye Re
Aankhon Se Teri Kya Kya Chhupa Hai
Tujhko Dikhaaun Main Zara, Haaye Re
Ik Ankahi Si Daastaan Daastaan
Kehne Lagega Aaina Subhanallah...

Jo Ho Raha Haim Pehli Dafaa Hai Wallah
Aisa Hua, Subhanallah..
Jo Ho Raha Hai Pehli Dafaa Hai Wallah
Aisa Hua

Meri Khamoshi Se Baatein Chun Lena
Unki Dori Se Taarifein Bun Lena (x2)

Kal Nahi Thi Jo Aaj Lagti Hoon
Taareef Meri Hai Khaamakha
Tohfa Hai Tera Meri Adaa

Ek Din Kabhi Jo Khud Ko Pukaare
Meri Zubaan Se Tu Zara, Haaye Re
Tujh Mein Chhupi Si Jo Shayari Hai
Tujhko Sunaaun Main Zara, Haay Re
Ye Do Dilon Ka Waasta Waasta
Khul Ke Bataaya Jaaye Naa
Subhanallah...

Jo Ho Raha Hai, Pehli Dafaa Hai Wallah
Aisa hua.. Subhanallah (x3)

Jo Ho Raha Hai, Pehli Dafaa Hai Wallah
Aisa Hua..

Kabira

Song : Kabira
Movie : Yeh Jawaani Hai deewani
Music : Pritam
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Tochi Raina



Kaisi Teri Khudgarzi
Na Dhoop Chune Na Chhaaon
Kaisi Teri Khudgarzi
Kisi Thor Tike Na Paaon (2)

Ban Liya Apna Paigambar
Tar Liya Tu Saat Samandar
Phir Bhi Sookha Mann Ke Andar
Kyun Reh Gaya

Re Kabira Maan Jaa
Re Faqeera Maan Jaa
Aaja Tujhko Pukaare Teri Parchhaaiyan
Re Kabira Maan Ja
Re Faqeera Maan Ja
Kaisa Tu Hai Nirmohi Kaisa Harjaaiya

Tooti Chaarpaai Wohi
Thandi Purvaai Rasta Dekhe
Doodhon Ki Malaai Wohi
Mitti Ki Suraahi Rasta Dekhe ..

Kaisi Teri Khudgarzi
Lab Naam Tera Mera Mishri
Kaisi Teri Khudgarzi
Tujhe Preet Purani Bisri ..
Mast Maula, Mast Kalander
Tu Hawa Ka Ek Bavandar
Bujh Ke Yun Andar Hi Andar
Kyun Reh Gaya..

Re Kabira Maan Jaa
Re Faqeera Maan Jaa
Aaja Tujhko Pukaare Teri Parchhaaiyan
Re Kabira Maan Ja
Re Faqeera Maan Ja
Kaisa Tu Hai Nirmohi Kaisa Harjaaiya...

Ghagra

Song : Ghagra
Movie : Yeh Jawaani Hai deewani
Music : Pritam
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Rekha Bhardwaj, Vishal Dadlani




Sahebaan, Kadardaan, Meharbaan
Dil Thaam Ke Baithiye Kyun Ki
Ab Aapke Saamne Tashreef La Rahi Hain
Agra Ki Azeem Fankaara
Mallika-E-Husn, Noor-E-Nazar
Mohatarma Mohini

Ladke O Re Ladke Kahaan Se Aaya Hai Re Tu
Pyara Hai Re Shaqal Se
Akal Ka Mara Hai Re Tu (x2)

Haan Jal Gayi, Haan Jal Gayi
Meri Baaton Se Tu Jal Gayi
Haan Khal Gayi, Tujhe Khal Gayi
Meri Beparwahi Khal Gayi
Mohatarma Tu Kis Khet Ki Mooli
Hai Zara Bata

Tv Pe Breaking News Haaye Re Mera Ghagra Haaye
Baghdad Se Leke Delhi Via Agra (x2)

Ghagra Ghagra Tera Ghagra Ghagra
Tera Ghagra Ghagra Via Agra (x2)

Ghagra Ghagra...
Ghagra Ghagra...

Main Hawa - Toh Ud Ja
Ghata - To Mud Ja
Kali - Kahaan Ki
Adaa - Hat Abhi

Bada Besharam Hai Tu To Likha Hai Padha
Yeh Kamar - Chhupa Le
Nazar - Ghuma Le
Pata - Main Poochun
Umar - Tu Jaane
Dekho Berukhi Pe Kaise Atka Hai Pada

Haan Dhal Gayi Re Dhal Gayi
Tu Shaam Ki Tarah Dhal Gayi
Haan Khal Gayi Tujhe Khal Gayi
Meri Bheparwahi Khal Gayi

Mohatarma Tu Kis Khet Ki Mooli
Hai Zara Bata
Bematlab Ki...
Bematlab Ki Bakwaas Tera Ghagra
Baghdad Ho Ya Ho Delhi Via Agra

Tv Pe Breaking News Haaye Re Mera Ghagra
Baghdad Se Leke Delhi Via Agra

Haaye Re Mera Ghagra
Mera ghagra... Ghagra aa aa...
Haaye Re Mera Ghagra Aa..
Ghagra mera.. Mera mera...

(Kya Baat Hai Bhai...)

Main Nasha - Utar Ja
Khata - Sudhar Ja
Itar - Main Soonghu
Ghazal - Main Gaaun

Aise Ban Raha Hai Jaise Koi Tope Hai
Main Maza - Main Chahoon
Saza - Main Kaatoon
Raza - Main Poochhoon
Juaa - Kyu Kheloon
Hopeless Hai Tu Phir Bhi Thodi Hope Hai

Haan Tal Gayi, Haan Tal Gayi
Aafat Ki Tarah Tal Gayi
Haan Khal Gayi, Tujhe Khal Gayi
Meri Beparwahi Khal Gayi
Mohatarma Tu Kis Khet Ki Mooli
Hai Zara Bata
Udhti Firti Afwaah Tera Ghagra
Baghdad Ho Ya Delhi Via Agra

Tv Pe Breaking News
Haaye Re Mera Ghagra Haan
Baghdad Se Leke Delhi Via Agra

Ghagra Ghagra Tera Ghagra Ghagra
Tera Ghaghra Ghaghra Via Agra

Balam Pichkari

Song : Balam Pichkari
Movie : Yeh Jawaani Hai deewani
Music : Pritam
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Shalmali Kholgade, Vishal Dadlani




Balam Pichkari Jo Tune Mujhe Maari
Toh Bole Re Zamana Kharabi Ho Gayi
Mere Ang Raja, Jo Tera Rang Laga
Toh Seedhi-Saadi Chhori Sharabi Ho Gayi

Itna Maza, Kyun Aa Raha Hai
Tune Hawa Mein Bhaang Milaya

Itna Maza, Kyun Aa Raha Hai
Tune Hawa Mein Bhaang Milaya
Dugna Nasha, Kyun Ho Raha Hai
Aankhon Se Meetha Tune Khilaya

Ho Teri Malmal Ki Kurti Gulabi Ho Gayi
Manchali Chaal Kaise Nawaabi Ho Gayi, Toh?

Balam Pichkari Jo Tune Mujhe Maari
Toh Seedhi Saadi Chhori Sharaabi Ho Gayi
Haa Jeans Pahen Ke Jo Tune Maara Thumka
Toh Lattoo Padosan Ki Bhabhi Ho Gayi (X2)

Teri Kalaai Hai, Haathon Mein Aayi Hai
Maine Maroda Toh Lagti Malaai Hai

Mehenga Padega Ye Chaska Malaai Ka
Upvaas Karne Mein Teri Bhalaai Hai

Ho Bindiya Teri Mehtaabi Ho Gayi
Dil Ke Armaanon Mein Behisaabi Ho Gayi

Balam Pichkari Jo Tune Mujhe Maari
Toh Seedhi Saadi Chhori Sharaabi Ho Gayi
Haa Jeans Pahen Ke Jo Tune Maara Thumka
Toh Lattoo Padosan Ki Bhabhi Ho Gayi (X2)

Kyun 'No-Vacancy' Ki, Hothon Pe Gaali Hai
Jabki Tere Dil Ka Kamra Toh Khaali Hai
(Kamra Toh Khaali Hai...)

Mujhko Pata Hai Re
Kya Chahata Hai Tu
Boli Bhajan Teri
Neeyat Qawwali Hai

Zulmi Ye Haazir-Jawaabi Ho Gayi
Tu Toh Har Taale Ki Aaj Chaabi Ho Gayi, Toh?

Balam Pichkari Jo Tune Mujhe Maari
Toh Seedhi Saadi Chhori Sharaabi Ho Gayi
Haa, Jeans Pahen Ke Jo Tune Maara Thumka
Toh Lattoo Padosan Ki Bhabhi Ho Gayi (x2)

Haan, Bole Re Zamana Kharabi Ho Gayi
Haan, Bole Re Zamana Kharabi Ho Gayi...

Gun Gun Guna

Song : Gun Gun Guna
Movie : Agneepath(2012)
Music : Ajay Gogavale, Atul Gogavale
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Udit Narayan, Sunidhi Chauhan



Gun Gun Guna re
Gun gun guna re
Gun gun guna yeh gaana re

Gun gun guna re
Gun gun guna re
Gun gun guna yeh gaana re

Ho Maayusion ke chonge utaar ke phenk de na saare
Candle yeh shaam ka phoonk raat ka cake kaat pyare
Sikha na tune yaar humne magar sikhayare
Dumdaar nuskha yaar humne jo aaazmaaya re
Aasuo ko chooran chaba ke humne dakaar maara re

Gun gun guna re
Gun gun guna re
Gun gun guna yeh gaana re

Gun gun guna re
Gun gun guna re
Gun gun guna yeh gaana re

Humm... hain sarpe tere ke jhaloke yeh tokhre
La humko dede halka hoja re tu chokre
Jo teri neende apne naakhun se jo nochle woh
Dard saare jalte choole mein tu jhonk re
Zindagi ke raashan mein.. gham ka gota zyada hai
Black mein khareedenge khushi ka pitara re

Gun gun guna re
Gun gun guna re
Gun gun guna yeh gaana re

Gun gun guna re
Gun gun guna re
Gun gun guna yeh gaana re
Ho aye ho

Tu munh phulaa le sooraj bhi dhalne lage
Arrey tu muskura de chand ka bulb jalne lage
Tu chup rahe toh maano behri lage zindagi
Tu Bol de toh parde kaano ke khulne lage
Ek bandh bottle ke, jaisa kya haa baitha hai
Khaali dil se bhar de na, glass yeh hamara re

Gun gun guna re
Gun gun guna re
Gun gun guna yeh gaana re

Gun gun guna re
Gun gun guna re
Gun gun guna yeh gaana re

Ho bindaas hoke har gham ko yaar khoonti pe taang dunga
Thoda udhaar itminaan main tumse hi maang lunga
Hai seekha hai maine jo tumne sikhaaya re
Dumdaar nuska yaar maine bhi aazmaaya re
Aasuon ka chooran chaba ke maine dakaar maara re

Gun gun guna re
Gun gun guna re
Gun gun guna yeh gaana re

Gun gun guna re
Gun gun guna re
Gun gun guna yeh gaana re

Gun gun guna re
Gun gun guna re
Gun gun guna yeh gaana re

Deva Shree Ganesha

Song : Deva Shree Ganesha
Movie :  Agneepath(2012)
Music : Ajay Gogavale, Atul Gogavale
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Ajay Gogavale




Deva Shree Ganesha
Deva Shree Ganesha
Deva Shree Ganesha
Deva Shree Ganesha
Deva Shree Ganesha
Deva Shree Ganesha (repeat more than 15 times)

Jwala si chalti hai
Aankhon mein jiske bhi
Dil mein tera naam hai

Parwah hi kya uska
Aarambh kaisa hai
Aur kaisa parinam hai.. ye..

Dharti ambar sitar
Uski nazare utaare
Dar bhi usse dara re
Jiski rakhwaliya re...
Karta saya tera

Jai deva Shri Ganesha
(Deva Shri Ganesha
Deva Shri Ganesha
Deva Shri Ganesha
Deva Shri Ganesha
Deva Shri Ganesha...)

Hooo... teri bhakti ka vardaan hai
Jo kamaye vo dhanvaan hai
Bin kinare ki kashti hai vo..
Deva tujhse jo anjaan hai...

Yun toh mushak savari teri
Sab pe hai pheredari teri
Paap ki aandhiyan na kaha
Kabhi jyoti na haari teri...

Apni takdeer ka wo
Khud sikander hua re
Bhul ke ye jahaan re
Kiski silien ya haare
Saath paya tera he

Hey Deva.. Shree Ganesha
(Deva Shree Ganesha
Deva Shree Ganesha
Deva Shree Ganesha
Deva Shree Ganesha
Deva Shree Ganesha
Deva Shree Ganesha..)

Hoo.. teri dhuli ka teeka kiye
Deva jo bhakth tera jiye
Usse amrit ka hai moh kya
Has ke vish ka wo pyaala piye..

Teri mahima ke chaya taale
Kaal ke rath ka pahiya chale
Ek chingari pakshodh se
Khadi Ravaan ki Lanka jale..e..

Shatruon ki katare
Ek akele se haare
Kand bhi parvat hua re
Sharok ban ke jahan re..
Naam aaya tera
Hey Deva.. Shri Ganesha

(Deva Shri Ganesha
Deva Shri Ganesha
Deva Shri Ganesha
Deva Shri Ganesha
Deva Shri Ganesha
Deva Shri Ganesha
Deva Shri Ganesha
Deva Shri Ganesha...)

Ganapati bappa moriya.....

Ghalin lotangan vandin charan
Dolyani pahin rup tujhe
Deva Preme alingan anande pujin
Bhave ovaleen mhane nama

Twameva mata, cha phita Twameva
Twameva bandhuscha sakha twameva.
Twameva vidya, dravinum twameva
Twameva sarvam mama deva deva

Kayena vacha manasendriyenva
Buddhyatmana va prakritiswabhavat
Karoomi yadhyath sakalam parasmai
Narayanayeti samarpayami

Achyutam keshavam ramnarayanam
Krushanadamodaram vasudevam bhaje
Shridharam Madhavam gopikavallabham
Janaki nayakam ramchandra bhaje

Hare raam hare raam
Raam raam hare hare
Hare krishna hare krishna
Krishna krishna hare hare
Hare raam hare raam
Raam raam hare hare
Hare krishna hare krishna
Krishna krishna hare hare

Abhi Mujh Mein Kahin

Song : Abhi Mujh Mein Kahin
Movie : Agneepath(2012)
Music : Ajay Gogavale, Atul Gogavale
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Sonu Nigam




Abhi Mujh Mein Kahin
Baaki thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon main toh abhi
Kuch aisi lagan iss lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera

Ab hai saamne
Ishe chhuu loon zara
Marr jaaun ya jee loon zaraaa
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zaraa

Hoo abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi

Hoo... dhoop mein jalte hue tann koo
Chhaya pedh ki mil gayi
Roothe bacche ki hansi jaise
Phuslane se phir khil gayi
Kuch aisa hi mehsoos dil ko ho raha hai
Barson ke puraane zakhmon pe marham laga sa hai

Kuch ehsaan hai,
Iss lamhe mein hai
Ye lamha kahaan tha meraa
Ab hai saamne.. isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loo zara
Khushiyaan choom loon
Ya ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara

Dor se tooti patang jaisi
Thi yeh zindagaani meri
Aaj hoon kal ho mera naho
Har din thi kahaani meri
Ek bandhan naya peeche seh ab mujhko bulaye
Aane wale kal ki kyun fhikar mujhko kyun sataa jaaye

Ik aisi chubhan, iss lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne.. isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Ya roh loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara

I Will Do The Talking Tonight

Song : I Will Do The Talking Tonight
Movie : Agent Vinod (2012)
Music : Pritam Chakraborty
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Neeraj Shridhar, Barbie Amod, Aditi Singh Sharma & Shefali Alvaris




Yeah from the old school to the new school
We keep it clean
We doin' it live
From India to Russia

Lets go, lets go, lights

I will do the talking tonight
Dil diyan gallan-challan kar lai zara
I'll do the talking tonight
Hungama halla-gulla kar lai zara
Jo hona hona hona tha ho chuka hai woh
Guzra woh pal hai tera
Hai tere tere tere jo samne abhi
Bas yehi pal hai tera
Steal the night, inn honthon pe saja le
Baitha kyun tanha
Feel the vibe and jashn mana le
Jeene le har lamha
Na na na... Cash maar ke uda de zindagi ka saara gham
Na na na... Jee le haq se bhula de saare reham o karam

Make a move, baby don't you don't you scare the bait
And aren't you aren't you, tell you the truth
Coz I got you got you
Teri mann maani maine pehchaani yaara
Find yourself make khoja khoja
Pee ke tight zara hoja hoja
Through the night kare mauja mauja
Baby listen to me

I'll do the talking tonight
Tu cheeni ishqe di chakh le zara
I'll do the talking tonight
Tu Roosi (Russian) goriyan nu takk lai zara

Jo khoya khoya khoya hai tera cunning dil
Tere dillagi ki hai saza
Haan jaane jaane jaane de kho gaya hai toh
Lele haal-e-dil ka maza
Steal the night, inn honthon pe saja le
Baitha kyun tanha
Feel the vibe and jashn mana le
Jeene le har lamha
Na na na... Cash maar ke uda de zindagi ka saara gham
Na na na... Jee le haq se bhula de saare reham o karam
Na na na...

Pungi

Song : Pungi
Movie : Agent Vinod (2012)
Music : Pritam Chakraborty
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Mika Singh, Amitabh Bhattacharya, Nakash & Pritam Chakraborty



Bangle ke peeche hai taala, ghusu kahan se mein saala
Laila ki khidki khuli hai, kidhki ke neeche hai naala
Khidki pe koi khada hai, Laila ka taaka bhida hai
Mazze udati hai meri mohabbat ki poonch maar ke

O meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar
o meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki Pungi baja kar

Bangle ke peeche hai taala, ghusu kahan se mein saala
Laila ki khidki khuli hai, kidhki ke neeche hai naala
Khidki pe koi khada hai, Laila ka taaka bhida hai
Mazze udati hai meri mohabbat ki poonch maar ke

o meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar
O meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar

Hmm sabko toh parsad baante, main maangu toh mujhko daante
Auron pe gaalon pe pappi, mere hi gaalon pe chaante
Laila hai girgit ke jaisi, table pe kirkit ke jaisi
Tu lipstick ka thappa lagati hai gaalon pe smooch maar ke

O meri, o meri, o meri meri meri meri meri
Meri aankh, meri unh mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki unh baja kar
O meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar

P to the U to the N to the G to the I, the pungi pungi
Naye zamane ki Laila hoon main teri pungi baja ke rahungi
P to the U to the N to the G to the I, the pungi pungi
Naye zamane ki Laila hoon main teri pungi baja ke rahungi

Love you my honey, you're very funny
Now spend all your money, my macho my stud
My koochi my poochi please get my Gucci
Even if you have to sell all your blood

Haye jhoothi kasmein jhoothi vaade mujhe English mein ratta kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar
O meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar
O meri jaan o meri jaan mere ko majnu bana kar
Kahan chal di, kahan chal di, pyaar ki pungi baja kar

Raabta (Kehte Hain Khuda Ne)

Song : Raabta (Kehte Hain Khuda Ne)
Movie : Agent Vinod (2012)
Music : Pritam Chakraborty
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Arijit Singh, Shreya Ghoshal & Hamsika




Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara maanu
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara maanu
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane hume kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Tu humsafar hai, phir kya fikar hai
Jeene ki wajah hi yahi marna issi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye

Sa ni pa di na sa...

Meharbaani jaate jaate mujh pe kar gaya
Guzarta sa lamha ek daaman bhar gaya
Tere nazara mila, roshan sitaara mila
Takdeer ki kashtiyon ko, kinara mila

Sadiyon se tarse hai jaisi zindagi ke liye
Teri sauhbat mein duaayein hain ussi ke liye
Tere milna hai uss rab ka ishaara
Maanu mujhko banaya tere hi jaise kisi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye
Tere milna hai uss rab ka ishaara
Maanu mujhko banaya tere hi jaise kisi ke liye
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane hume kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Tu humsafar hai, phir kya fikar hai
Jeene ki wajah hi yahi hai marna issi ke liye
Kehte hain khuda ne iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisi ke liye

Dil Mera Muft Ka

Song : Dil Mera Muft Ka
Movie : Agent Vinod (2012)
Music : Pritam Chakraborty
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Altamush Faridi, Muazzam, Shabab Sabri, Rizwan, Nandini Shrikar & Shadab Faridi



Phenke nazar ke sikke usne
Bik gayi hoon main
Usne jo chhoo liya toh haye
Lagey ke nayi hoon main

Yun toh premi pachattar humare
Leja tu kar satattar ishaare
Dil Mera Muft Ka
Khamakha hi taraste bichare
Leja tu kar satattar ishaare
Dil mera, muft ka
Dil mera, muft ka

Hai naiyyo soneya tere bin guzara... (4)

Dil ke dukandaar hai doosre bhi
Hum thoda achhe hain, woh hai farebi
Ni me kamli kamli, ni me kamli kam...
Haan dil ke dukandaar hai doosre bhi
Hum thoda achhe hain, woh hai farebi
Mehnga hai dil, sabke bas ka nahi yeh
Bikna hai par teri khaatir mujhe bhi
Aaj baazar hi bik gaya re
Leja tu kar satattar ishaare
Dil mera, muft ka

Ho yun toh premi pachattar humare
Leja tu kar satattar ishaare
Dil mera, muft ka

Ni me kamli kamli, ni me kamli kam...

Socha tumhara dil hum khareedein
Kya daam hai bolo kaato raseedein
Haye haye socha tumhara dil hum khareedein
Kya daam hai bolo kaato raseedein
Phir tumse karwa lein jaisa bhi chaahein
Nazarein tumhari meri haazri de
Par tumhari hai nazron se haare
Leja tu kar satattar ishaare
Dil mera, muft ka

Ho yun toh premi pachattar humare
Leja tu kar satattar ishaare
Dil mera, muft ka
Dil mera, muft ka

Hai naiyyo soneya tere bin guzara... (2)

Saturday, August 17, 2013

Ek Main Aur Ekk Tu

Song : Ek Main Aur Ekk Tu (Title Track)
Movie : Ek Main Aur Ekk Tu
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Anushka Manchanda, Benny Dayal, Shefali Alvares



Talli Hai Yeh Zameen, Talli Hai Aasma
Sab Talli Hai Yahaan
Ya Phir Saara Jahaan, Vaise Ka Vaisa Hai
Hum Talli Hai Yahaan

Mujhse Baahein Na Chhuda Ek Main
Kahin Kho Na Ja Ek Tu
Jo Bhi Hoga I Am With You I’m With You
Yun Na Gabhra Ek Main
Thoda Muskra Ek Tu
Jo Bhi Hoga I Am With You

Ek Main Hoon Aur Ekk Tu
I Wanna Be With You
Tere Peeche Peeche Main
Mere Aagey Aagey Tu
Ek Main Hoon Aur Ekk Tu
Ek Main Hoon Aur Ekk Tu
I Wanna Be With You

Kitne Ki Hai Zameen, Kitne Ka Aasmaan
Bikte Hai Yeh Kahaan
Bhar Lenge Jebon Mein
Dukaane Woh Sabhi
Chal Chalte Hai Wahan

Mauka Aisa Na Gawa Ek Main
Yunhi Bewaja Ek Tu
Jo Bhi Hoga I Am With You I’m With You
Yun Na Gabhra Ek Main
Thoda Muskra Ek Tu
Jo Bhi Hoga I Am With You

Ek Main Hoon Aur Ekk Tu
I Wanna Be With You
Tere Peeche Peeche Main
Mere Aagey Aagey Tu
Ek Main Hoon Aur Ekk Tu
Ek Main  Aur Ekk Tu
I Wanna Be With You

Boring Boring Zindagi Ke
Munh Pe Chidkenge Paani
Iss Pal Ke Hum Badshah Hain
Kare Kyun Na Manmaani
Gham Ki Baatein Bhool Ja
Khushiyaan Sajaa
Jo Bhi Hoga I Am With You I Am With You
Yun Na Ghabra
Thoda Muskura
Jo Bhi Hoga I Am With You

Ek Main Hoon Aur Ekk Tu
I Wanna Be With You
Tere Peeche Peeche Main
Mere Aage Aage Tu
Ek Main Hoon Aur Ekk Tu, Hey….
I Wanna Be With You

Ek Main Aur Ekk Tu….

Aunty Ji

Song : Aunty Ji
Movie : Ek main ekk tu
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Ash King




Thats right babay, aunty ji
This one’s is for you

Abhi bhi hai jawani, zara si hai purani
Hai phir bhi jawani honey ji
Sharma bhula ke, haan thumka laga ke
Karo na thoda manmaani ji

Abhi bhi tere gaal gore-gore
Lakhon dilon pe dale dore-dore
Dekho deewane hue jaa rahe hain
Aadhe umar ke bhi chhore-chhore
Ha baalon ki safedi se pheeka kab hua hai romance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance

Dil toh chhichhora kawara vaar vaar jaaye
Funky adaaon pe marr marr jaaye baby
Kaliyan kanwari tajurbe se bani aunty

Jitna puraana ho sona sona sona
Kyun na phir bhi rahega woh sona sona sona baby
Aur nasheeli ho wine puraani aunty

Yeh toh bataa hare o re o re
Aunty bulaaye mujhe kyun re kyun re

Aunty bulaane mein jo mazaa hai woh
Down to car mein no re no re

O kamariya jo dekhi toh gajne ka nahin ka chance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance

Patli nahin jo kamar teri teri toh ka
Ab bhi lagey gadar badi badi baby
Smile abhi bhi hai million dollar aunty

Hai na woh tera hubby hubby hubby
Lagne laga hai tera daddy daddy daddy
Bitiya jo teri woh behan lage hai aunty

Paani mein jaake munh dhole dhole
Chhede kyun mujhe badtameez chhore
Dhone se badtameezi jaati nahin
Chhedenge yunhi tujhe chhore chhore

Haan baalon ki safedi se pheeka kab hua hai romance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance.

ad

In Association with Amazon.in