Showing posts with label Anupam Roy. Show all posts
Showing posts with label Anupam Roy. Show all posts

Wednesday, April 22, 2015

Teri Meri Baatein

Song: Teri Meri Baatein
Movie: Piku (2015)
Singer: Anupam Roy
Music: Anupam Roy
Lyrics: Anupam Roy


Aankhon ki nami
Haan teri meherbaani hai
Thodi si ummeedon se aage
Aisi kahaani hai

Aanchal jo udaa
Haan teri meherbaani hai
Thodi si ummeedon se aage
Aisi kahaani hai

Leharon se hai
Saagar se gehri bhi hai
Ye teri meri baatein
Rulaati bhi hain
Gham mein hansati bhi hai
Ye teri meri baatein
Ye teri meri baatein..

Har saans sunaati hai, tera hi naam
Palko ke chaaon mein, do pal ka aaraam
Kacche ye dhaage hain, kacche hain rang
Chhu loon toh jee bhi loon, kuch tere sang

Leharon se hai
Saagar se gehri bhi hain
Ye teri meri baatein
Rulaati bhi hain
Gham mein hansati bhi hai
Ye teri meri baatein
Ye teri meri baatein..

Main neend bulaata hoon, haathon mein haath
Chaadar ke kone mein, reh jaati baat
Khwabon ki nishaani hai, aasmaan ke paar
Jis raat ke seene mein, chhalka hai pyaar

Aankhon ki nami
Haan teri meherbaani hai
Thodi si ummeedon se aage
Aisi kahaani hai

Aanchal jo udaa
Haan teri meharbaani hai
Thodi si ummeedon se aage
Aisi kahaani hai

Leheron se hai
Saagar se gehri bhi hai
Ye teri meri baatein
Rulaati bhi hain
Gham mein hansati bhi hai
Ye teri meri baatein
Ye teri meri baatein..


Piku (Title)

Song: Piku (Title)
Movie: Piku (2015)
Singer: Sunidhi Chauhan
Music: Anupam Roy
Lyrics: Manoj Yadav


Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai
Isi ki roshni udi jo har taraf hai
Ye lamho ki kuve mein roz jhaankti hai
Ye jaake waqt se hisaab maangti hai
Ye paani hai ye aag hai
Ye khudi likhi kitaab hai
Pyaar ki khuraak si hai Piku!
Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai

Panna saanson ka palte
Aur likhe unpe mann ki baat re
Lena isko kya kis se
Isko toh bhaaye khudka saath re
Uh oh.. barish ki boond jaise
Sardi ki dhundh jaise
Kaisi paheli iska hal na mile

Kabhi ye aasmaan utaarti hai neeche
Kabhi ye bhaage aise baadalon ke peeche
Isey har dard ghoont jaane ka nasha hai
Karo jo aaye jee mein iska falsafa hai

Ye paani hai ye aag hai
Ye khudi likhi kitaab hai
Ye pyaar ki khuraak si hai Piku!

Mode raahon ke chehre
Isko jaana hota jis ore hai
Aise sargam sunaaye
Khud iske sur hain iske raag re
Uh oh.. roothe toh mirchi jaisi
Hansde toh cheeni jaisi
Kaisi paheli iska hal na mile

Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai
Isi ki roshni udi jo har taraf hai
Ye lamho ki kuve mein roz jhaankti hai
Ye jaake waqt se hisaab maangti hai

Ye paani hai ye aag hai
Ye khudi likhi kitaab hai
Pyaar ki khuraak si hai Piku!
Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai


Lamhe Guzar Gaye

Song: Lamhe Guzar Gaye
Movie: Piku (2015)
Singer: Anupam Roy
Music: Anupam Roy
Lyrics: Anupam Roy

Lamhe guzar gaye
Chehre badal gaye
Hum thhe anjaani raahon mein
Pal mein rula diya
Pal mein hansa ke phir
Reh gaye hum bhi raahon mein

Thoda sa paani hai, rang hai
Thodi si chhaaon hai
Chubhti hai aankhon mein dhoop ye
Khuli dishaa hoon main
Aur dard bhi meetha lage
Sab faasle ye kam huve
Khwaabon se raste sajaane to do
Yaadon ko dil mein basaane to do

Lamhe guzar gaye
Chehre badal gaye
Hum thhe anjaani raahon mein

Thodi si berukhi jaane do
Thodi si zindagi..
Laakhon sawaalon mein dhoondu kya
Thak gayi ye zameen
Jo mill gaya ye aasmaan
Lo aasmaan se maangu kya

Khwabon se raste sajaane to do
Yaadon ko dil mein basaane to do

Lamhe guzar gaye
Chehre badal gaye
Hum thhe anjaani raahon mein
Pal mein rula diya
Pal mein hansa ke phir
Reh gaye hum bhi raahon mein

Lamhe guzar gaye... (x6)


Bezubaan

Song: Bezubaan
Movie: Piku (2015)
Singer: Anupam Roy
Music: Anupam Roy
Lyrics: Manoj Yadav, Anupam Roy

Kis lamhe ne thaami ungli meri
Phusla ke mujhko le chala
Nange paaon daudi aankhein meri
Khwabon ki saari bastiyan
Har dooriyaan har faasle qareeb hain
Iss umr ki bhi shakhsiyat ajeeb hai

Jheeni jheeni inn saanson se
Pehchaani si awaazon mein
Goonje hai aaj aasmaan
Kaise hum bezubaan
Iss jeene mein kahin hum bhi thhe
Thhe zyada ya zara kam hi thhe
Ruk ke bhi chal pade magar
Raste sab bezubaan

Jeene ki ye kaise aadat lagi
Bematlab ye karze chadh gaye
Haadson se bach ke jaate kahaan
Sab rote hanste seh gaye
Ab ghalatiyan jo maan li toh theek hai
Kamzoriyon ko jo maat di toh theek hai

Jheeni jheeni inn saanson se
Pehchaani si awaazon mein
Goonje hai aaj aasmaan
Kaise hum bezubaan


Journey Song

Song: Journey Song
Movie: Piku (2015)
Singers: Anupam Roy & Shreya Ghoshal
Music & Lyrics: Anupam Roy

Dheere chalna hai mushkil to jaldi hi sahi
Aankhon ke kinaaro mein bahaane hi sahi

Hum chale baharon mein
Gungunati raahon mein
Dhadkane bhi tez hain
Ab kya karein
Waqt hai toh jeene de
Dard hai to seene de
Khwahishein anjaan hai
Ab kya karein

Shabdon ke pahaadon pe likhi hai dastaan
Khwabon ke lifaafon mein chhupa hai raasta

Hum chale baharon mein
Gungunati raahon mein
Dhadkane bhi tez hain
Ab kya karein
O.. waqt hai toh jeene de
Dard hai to seene de
Khwahishein anjaan hai
Ab kya karein

(Bengali Verse)
O.. aakash, o.. palash rashi rashi
Ektu sobuje chokh muchiye de...
Ghor chhara manusher mone

O.. jiya, O.. guzarte nazaare
Rang udaane de
Hum nashe mein hain
Bhool gaye sawaalon ko saare

Mehaki si hawaon mein chale hain hum kahin
Hum jo chaahe dil ko wo pata hai ya nahi

Hum chale baharon mein
Gungunati raahon mein
Dhadkane bhi tez hain
Ab kya karein
O.. waqt hai toh jeene de
Dard hai to seene de
Khwahishein anjaan hai
Ab kya karein

O.. aakash, o.. palash rashi rashi
Ektu sobuje chokh muchiye de...
Ghor chhara manusher mone

O.. jiya, O.. guzarte nazaare
Rang udaane de
Hum nashe mein hain
Bhool gaye sawaalon ko saare


ad

In Association with Amazon.in