Showing posts with label Bipasha Basu. Show all posts
Showing posts with label Bipasha Basu. Show all posts

Friday, May 29, 2015

Rafta Rafta

Song: Rafta Rafta
Movie: Raaz 3 (2012)
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Sanjay Masoom

Rafta rafta ho gayi Tu hi meri zindagi [rafta: slowly]
Rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshni

Sajde mein tere sar hai, thoda sa dil mein darr hai
Kaise karoon main bayaan?
Jaanu naa, Jaanu naa, Jaanu naa...
Rafta rafta ho gayi

Chaahe deedar tera nazre jhuke bhi
Mere kadam chalna chahe ruke bhi
Lab bhi kuch kehna chahe
Lekin gum hai sab baatein
Gumsum si bhi hai zubaan

Rafta rafta ho gayi tu hi meri zindagi
Rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshni
Sajde mein tere sar hai, thoda sa dil mein darr hai
Kaise karoon main bayaan?
Jaanu naa, Jaanu naa, Jaanu naa...
Rafta rafta ho gayi

Mera wajood ab tu mujhme hai shaamil
Sohbat mein teri mujhe sab kuch haasil
Phir kyun lagta hai aisa
Jaise main hoon khud bekhud saa
Dhoondu main khud ko kahaan

Rafta rafta ho gayi Tu hi meri zindagi
Rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshni
Sajde mein tere sar hai, thoda sa dil mein darr hai
Kaise karoon main bayaan?
Jaanu naa, Jaanu naa, Jaanu naa...
Rafta rafta ho gayi


Zindagi Se

Song: Zindagi Se
Movie: Raaz 3 (2012)
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Sanjay Masoomm

Zindagi se chura ke
Zindagi mein basa ke
Zindagani banaya hai tujhe

Roothe rab ko mana ke
Aasmaan ko jhuka ke
Zindagani banaya hai tujhe

Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile... Bakhuda
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya 

Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda

Zindagi se churaa ke
Zindagi me basaa ke
Zindagani banaaya hai tujhe

Mehfooz tu mehsoos kar, tere paas hoon main sada
Tujhse nahi ho sakta main pal bhar bhi ab juda
Ab saath hain hum is tarah aankhon ke sang palke
Aa waqt ko yeh baat hum ik baar phir se keh dein
Saare gham se chhupa ke, har nazar se bacha ke
Zindagani banaaya hai tujhe

Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile... Bakhuda
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda

Baahon mein aa ho jayenge shiqwe sabhi khud fanaa 
Hothon se main tujh ko sunu aankhon se tu kuch sunaa
Tu aks ahi main aaina, phir kya hai sochna
Ik doosere mein kho ke hai ik-doosre ko paana

Kismaton ko jagaa ke, har jahaan ko hara ke
Zindagani banaya hai tujhe

Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile... Bakhuda
Tu mila tto jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda


Tuesday, May 19, 2015

Khol De Dil Ki Khidki

Song: Khol De Dil Ki Khidki
Movie: 
Humshakals (2014)
Singers: Mika Singh, Palak Muchhal
Music: Himesh Reshammiya
Lyrics: Shabbir Ahmed

Ho dekh rahe hain din mein taare
Jolly hain armaan humaare
Bas tujhko hi dil yeh maange more (x2)

Khol de dil ki khidki..
Khol de dil ka door, door, door, door..
Khol de dil ki khidki..
Khol de dil ka door, door, door, door..

Ho dekh rahe hain din mein taare
Jolly hain armaan humaare
Bas tujhko hi dil yeh maange more
Khol de dil ki khidki..
Khol de dil ka door, door, door, door..
Khol de dil ki khidki..
Khol de dil ka door, door, door, door..

Tere iraade hain bade hi shaitani
Not available hai meri ye jawaani
Naazuk hasina main hoon, chhedo na mujhe tum
Pal do pal ki hai teri meri yeh kahaani
Neeyat main teri jaanu rag-rag teri pehchaanu
Tu chaahe jo bhi karle baate main na teri maanu

Dil ka yeh guitar pukaare
Jolly hain armaan humaare
Bas tujhko hi yeh dil maange more
Khol de dil ki khidki..
Khol de dil ka door, door, door, door..
Khol de dil ki khidki..
Khol de dil ka door, door, door, door..

Aashiq awaara hai tu galiyon mein ye shor hai
Kahin nigaahein aur nishana kahin aur hai
Ja ja yahaan teri daal na galegi
Beimaani aankhon mein hai tere
Mann mein tere chor hai
Main pariyon ki shehzaadi
Pyaari mujhko aazaadi
O mere pappu pyaare tu hai definite barbaadi

Pyaar ke bhopu baj gaye saare
Jolly hain armaan humaare
Bas tujhko hi yeh dil maange more
Khol de dil ki khidki..
Khol de dil ka door, door, door, door..
Khol de dil ki khidki..
Khol de dil ka door, door, door, door..

Ho dekh rahe hain din mein tare
Jolly hain armaan humaare
Bas tujhko hi yeh dil maange more
Khol de dil ki khidki..
Khol de dil ka door, door, door, door..
Khol de dil ki khidki..
Khol de dil ka door, door, door, door..


Hum Pagal Nahin Hain

Song: Hum Pagal Nahin Hain
Movie: 
Humshakals (2014)
Singer: Himesh Reshammiya
Music: Himesh Reshammiya
Lyrics: Mayur Puri


Hum sarphire bigde huve nawaab hain
Padh lo humein, hum to khuli kitaab hain
Haddi bhi hum hain aur hum hi qabaab hain
Hum Pagal Nahin Hain bhaiya
Humara dimag kharab hai
Hum pagal nahi hain bhaiya
Humara dimag kharaab hai 

Humein dekh ke uthta yahi sawaal hai
Kaala hai daal main ya kaali daal hai
Khote sabhi sikkon ki ye taksaal hai
Hum Pagal Nahin Hai bhaiya
Humara dimag kharab hai
Hum Pagal Nahi Hai bhaiya
Humara dimag kharab hai

Bade badnaam huve, bade mash'hoor huve
Apno se door huve, door huve, door huve
Dil ke murder bhi huve
Bade torture bhi huve
Ghamon se choor huve, choor huve, choor huve

O bandhu re.. O bandhu re
O bandhu re tuje mil ke mere ujde chaman mein
Khil gaya gulaab hai
Hum Pagal Nahin Hai bhaiya
Humara dimag kharab hai
Hum pagal nahin hai bhaiya
Humara dimag kharab hai

Osama ya Obama hoga Vasco da Gama
Mujhe kuch yaad nahi, yaad nahi, yaad nahi
Daali pe phool nahi
Ye meri bhool nahi
Kyari main khaad nahi, khaad nahi, khaad nahi

O bandhu re.. O bandhu re
O bandhu re yahaan reh ke
Mera bhi ho gaya dimag ye kharab hai
Hum pagal nahi hai bhaiya
Humara dimag kharab hai 
Hum pagal nahi hai bhaiya
Humara dimag kharab hai

Hum sarphire bigde huve nawaab hain
Padh lo humein, hum to khuli kitaab hain
Haddi bhi hum hain aur hum hi qabaab hain
Hum pagal nahin hain bhaiya
Humala dimag khalab hai
Hum pagal nahi hain bhaiya
Humala dimag khalab hai


Barbaad Raat

Song: Barbaad Raat
Movie: 
Humshakals (2014)
Singers: Sanam Puri, Shalmali Kholgade
Music: Himesh Reshammiya
Lyrics: Mayur Puri

Teri adaa.. mera nasha..
Tera ye dil, mera pata..

Masti sar pe chadh rahi hain 
Sun le dil ki baat
I'm so crazy for you baby
Don't you break my heart
Ho na jaaye barbaad teri meri raat
Ow wo... aww aww o...ow wo.. aa aa..

Mere dil mein tu check-in ho gayi hai
Teri meri ab setting ho gayi hai
TV pe news breaking ho gayi hai
TV pe news breaking, breaking ho gayi hai
Main laapata tu laapata
Tera ye dil mera pataa

Tere liye palkon pe hai khwabon ki baraat
I'm so crazy for you baby
Don't you break my heart
Ho na jaye barbad teri meri raat
Ow wo... aww aww o...ow wo.. aa aa..

Baby mere inn khwabon mein hai tu
Baby you know how I'm so hung on you
Baby tu hi ab keh de what to do
Baby tu hi ab keh de, keh de: what to do?

Tu kya chaahe, tu hi bataa
Tera ye dil mera pataa

Dil se tere keh de baby tu bhi ik baar
I'm so crazy for you baby
Don't you break my heart
Ho na jaye barbad teri meri raat
Ow wo... aww aww o...ow wo.. aa aa..


Monday, April 20, 2015

Mehboob Ki

Song: Mehboob Ki
Movie: Creature 3D (2014)
Singer, Lyricist & Composer: Mithoon

Seene mein, dhadkan ki
Zaroorat hai har ghadi
Jeene ko saanson ki
Zaroorat hai sabko hi 
Usi tarah nadaan dil ko zaroorat hai
Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki.. mehboob ki

Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki.. mehboob ki

Mehfil ko, baaton ki zaroorat hai
Hai dastoor yahi
Taaron ko raaton ki zaroorat hai
Subaho ki nahi
Usi tarah majboor dil ko zarorat hai
Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki.. mehboob ki

Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki.. mehboob ki

Wo jo sanam kehlaaye
Itni khusi sang laaye
Jaise ho jannat hi mili
Wo toh sukoon ka dariya
Jeene ka wo hi zariya
Jis se judi ho aashiqui
Tabhi toh haan behaal dil ko zaroorat hai
Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki.. mehboob ki
Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki.. mehboob ki


Ek Pal Yahi Tera Mera

Song: Ek Pal Yahi Tera Mera
Movie: Creature 3D (2014)
Singer: Saim Bhatt
Lyrics & Music: Mithoon

Aaj phir se tere nazdeeq aaya hoon
Aaj phir se tere nazdeeq aaya hoon
Haan badi kismat se iss lamhe ko paaya hoon

Aaj phir se tere nazdeeq aaya hoon
Haan badi kismat se iss lamhe ko paaya hoon
Tujhe dekh dekh ke phir se jeene lagaa main
Ab dil ko kya samjhaun
ki main tera guzra kal hoon

Ik pal yahi tera mera
Ik pal yahi tera mera..
Ik pal yahi tera mera
Ik pal yahi tera mera..
Isey jeena chahta hoon main

Phir wahi alfaaz tujhse kehna chahta hu
Raat bhar baate main teri sun'na chahta hu
Tere saath sath rahoon main
Bas yahi sadaa hai
Par zindagi me teri main sirf mehmaan hu

Ek pal yahi tera mera
Ek pal yehi tera mera..
Ek pal yahi tera mera
Ek pal yehi tera mera..
Isey jeena chahta hoon main

Lafz mere chhupne lage
Jo tu saamne hai khada
Dil dhoondta hai wahi
Pyaar jo tha kabhi darmeyaan
Ik aas hai dil ko ki tu rok le
Aur keh de ye mujhko mere sang jeena hai
Khair ho sake toh
Mujhko kabhi na bhoolna mujhe tu

Ik pal yehi tera mera
Ik pal yahi tera mera
Ik pal yehi tera mera
Ik pal yahi tera mera
Isey jeena chahta hoon main
Wo oh..

Tujhe dekh dekh ke phir se jeene laga main
Ab dil ko kya samjhaaun ki
Main tera guzra kal hoon

Ik pal yehi tera mera
Ik pal yahi tera mera
Ik pal yehi tera mera
Ik pal yahi tera mera
Issey jeena chahta hoon main!


Naam-E-Wafa

Song: Naam-E-Wafa
Movie: Creature 3D 92014)
Singer: Farhan Saeed & Tulsi Kumar
Lyrics & Music: Mithoon
Naam-e-wafa matlab ke liye ab
Lete hain kyun sabhi
Naam-e-wafa matlab ke liye ab
Lete hain kyun sabhi

Dard jo seene mein uthta hai
Nahi samjha yahaan koi
Toh rehne de iss dard mein zinda
Main tanha hi sahi
Ki dil se ye bhi denge bhula
Tujhko jaana kabhi

Rehne de iss dard mein zinda
Main tanha hi sahi
Dil se ye bhi denge bhula
Tujhko jaana kabhi
Teri judaai mein marne se
Iss dard mein jeena bhala

Naam-e-wafa matlab ke liye ab 
Lete hain kyun sabhi
Dard jo seene mein uthta hai
Nahi samjha yahaan koi

Toh rehne de iss dard mein zinda
Main tanha hi sahi
Ke dil se ye bhi denge bhula
Tujhko jaana kabhi...

Khwaab ko toot jaane do
Hai yahi naseeb mein haan
Saath ko chhoot jaane do
Taqleef badi ho to kya..
Sehne de mujhe sehne de
Iss gham ko hai ye ilteza..

Teri wafa jo thi sirhaane
To aaraam mila mujhe
Tera diya tune manga wapas
Toh kya ghalat isme
Toh rehne de iss dard me zinda
Main tanha hi sahi
Ke dil se ye bhi denge bhula
Tujhko jaana kabhi...

Teri judaai mein marne se
Iss dard mein jeena bhala

Naam-e-wafa matlab ke liye ab 
Lete hain kyun sabhi
Dard jo seene mein uthta hai
Nahi samjha yahaan koi

Toh rehne de iss dard mein zinda
Main tanha hi sahi
Ke dil se ye bhi denge bhula
Tujhko jaana kabhi...


Hum Na Rahe Hum

Song: Hum Na Rahe Hum
Movie: Creature 3D (2014)
Singer: Benny Dayal
Music: Mithoon
Lyrics: Mithoon

Hum na rahe hum jo thhe kabhi
Khud ko hai chhoda, peeche kahin

Hum naa rahe hum, jo thhe kabhi
Khud ko hai chhoda, peeche kahin
Teri ore badhne lage
Teri tarah ban'ne lage
Ab toh mohabbat mein lutne chale
Jeene ki khwahish mein marne chale
Ab toh mohabbat mein lutne chale..
Jeene ki khwahish mein marne chale

Dard bhi hum seh lenge, tu jo saath raha
Saari duniya bhula denge, yeh waada raha
Chahe jitni mulaaqatein ho mujhe kam hi lage
Tere sath guzaraun har din par dil na bhare
Ek waqt baad hasne lage
Raah teri hum takne lage
Ab to mohabbat mein lutne chale
Jeene ki khwahish mein marne chale
Ab to mohabbat mein lutne chale..
Jeene ki khwahish mein marne chale

Teri baatein hain aisi
Maano jaise koi duaa
Jise sunkar dil ko kitna, hai sukoon mila
Mehboob ki aankhon mein hi Rab dikhta hai
Mehsoos kiya ab jaake ye khud maine
Tere aage jhukne lage
Tere raaston par rukne lage
Ab to mohabbat mein lutne chale
Jeene ki khwahish mein marne chale
Ab to mohabbat mein lutne chale..
Jeene ki khwahish mein marne chale



Sawan Aaya Hai

Song: Sawan Aaya Hai
Movie: Creature 3D (2014)
Singer: Arijit Singh
Music: Tony Kakkar
Lyrics: Tony Kakkar


Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai

Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
Mohabbat barsa dena tu, saawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai

Sabse chhupa ke tujhe seene se lagaana hai
Pyar mein tere hadd se guzar jaana hai
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai

Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai

Kyun ek pal ki bhi judaai sahi jaaye na
Kyun har subah tu meri sanson me samaye na
Aaja na tu mere paas, dunga itna pyar main
Kitni raat guzaari hai, tere intezar mein

Kaise bataaun jazbaat ye mere
Maine khud se bhi zyada tujhe chaaha hai
Sab kuch chhod ke aana tu, sawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai

Sabse chhupa ke tujhe seene se lagaana hai
Pyar mein tere hadd se guzar jaana hai
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai

Bheege bheege tere lab,
mujhko kuch kehte hain
Dil hai khush mera ki khayal ek jaise hain :)
Roko na ab khudko yun sun lo dil ki baat ko
Dhal jaane do shaam aur aa jaane do raat ko
Kitna haseen ye lamha hai
Kismat se maine churaaya hai

Aaj ki raat na jaana tu, sawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai

Sabse chhupa ke tujhe seene se lagaana hai
Pyar main tere hadd se guzar jaana hai
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai


ad

In Association with Amazon.in