Showing posts with label Haider (2014). Show all posts
Showing posts with label Haider (2014). Show all posts

Tuesday, May 26, 2015

Do Jahaan

Song: Do Jahaan
Movie: Haider (2014)
Singer: Suresh Wadkar, Shraddha Kapoor
Lyrics: Gulzar, Kashmiri Folk
Music: Vishal Bhardwaj



Sirey udhad gaye hain subaho shaam ke
Woh mere do jahaan saath le gaya..
Tamaam daastan saath le gaya
Woh mere do jahan saath le gaya
Tamaam daastaan saath le gaya

Bitti naai doorie
Choom zaraai baamaraiyo
Kya kar hou thaam
Zaar zaraai baamaraiyo

Woh bepanah pyaar karta tha mujhe
Woh bepanah pyaar karta tha mujhe
Gaya toh meri jaan saath le gaya
Tamaam daastan saath le gaya

Sharmand kartha aaftaabo
Kand haalai zoon
Khand chaini gaij so
Laij so daraai baamaraiyo

Main sajde se utha to koi bhi na tha
Main sajde se utha to koi bhi na tha
Wo paaon ke nishan saath le gaya
Gaya toh meri jaan saath le gaya
Wo mere do jahaan saath le gaya
Tamaam dastaan saath le gaya


Gulon Mein Rang Bhare

Song: Gulon Mein Rang Bhare
Movie: Haider (2014)
Singer: Arijit Singh
Lyrics: Faiz Ahmed "Faiz"
Originally Composed by: Mehdi Hassan


Bada hai dard ka rishta
Bada hai dard ka rishta
Dard ka rishta o.. o.. o.. mm..

Bada hai dard ka rishta
Bada hai dard ka rishta
Bada hai dard ka rishta
Yeh dil ghareeb sahi
Tumhaare naam pe aayenge
Gham gusaar chale hmm..

Gulon mein rang bhare
Baad-e-naubahaar chale
Gulon mein rang bhare
Baad-e-naubahaar chale

Chale bhi aao ke gulshan ka karobaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka karobaar chale
Gulon mein rang bhare
Baad-e-naubahaar chale
Gulon mein rang bhare
Baad-e-naubahaar chale

Hmm..
Qafas udaas hai yaaron sabaa se kuch to kaho
Qafas udaas hai yaaron sabaa se kuch to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale
Gulon mein rang bhare
Baad-e-naubahaar chale

Jo humpe guzri so guzri
Magar sab-e-hijraan
Jo humpe guzri so guzri
Magar sab-e-hijraan
Humaare ashq teri aaqibat sanwaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Gulon mein rang bhare
Baad-e-naubahaar chale
Gulon mein rang bhare
Baad-e-naubahaar chale


Khul Kabhi Toh

Song: Khul Kabhi Toh
Movie: Haider (2014)
Singer: Arijit Singh
Lyrics: Gulzar
Music: Vishal Bhardwaj
                                       

Khul kabhi to, khul kabhi kahin
Main aasmaan, tu meri zameen
Boond-boond barsun main
Paani-paani khelun-khelun aur beh jaaun
Geele-geele hothon ko main
Baarishon se choomun-choomun aur keh jaaun
Tu.. zameen hai, tu.. meri zameen

Khul kabhi toh, khul kabhi kahin
Main aasmaan, tu meri zameen

mmmm...

Lab tere yun khule jaise harf thhe
Honth par yun ghule jaise barf thhe
Aana zara-zara main haule-haule
Saans-saans senk doon tujhe

Lab tere yun khule jaise harf thhe
Honth par yun ghule jaise barf thhe
Tu hi tu hai, main kahin nahi

Hmm.. khul kabhi to, khul kabhi kahin
Hmm.. main aasmaan, tu meri zameen

Jhuk ke jab jhumka main choom raha tha
Der tak gulmohar jhoom raha tha
Jal ke main sochta tha:
Gulmohar ki aag hi mein phenk doon tujhe

Jhuk ke jab jhumka main choom raha tha
Der tak gulmohar jhoom raha tha
Tu meri kasam, tu mera yaqeen

Khul kabhi toh, khul kabhi kahin
Main aasmaan, tu meri zameen
Boond boond barsun main
Paani-paani kehlun-khelun aur beh jaaun
mmm.. geele-geele honthon ko main
Baarishon se choomun-choomun aur keh jaaun..


Bismil

Song: Bismil
Movie: Haider (2014)
Singer: Sukhwinder Singh
Lyrics: Gulzar
Music: Vishal Bhardwaj


Bismil bismil bulbul-e-bismil (bismil..)
Mat mil mat mil gul se mat mil (mat mil..)
Aye Bismil bismil bulbul-e-bismil
Mat mil, mat mil gul se mat mil
Bismil bismil bulbul-e-bismil
Aye dil-e-bulbul bulbul-e-bismil
Mushkil-e-dil bhi mushkil hoti hain

Dil dhadke dil dil dhadke toh..
Dil dhadke dil dil dhadke toh
Dhadkan-e-dil bhi harqat-e-dil hoti hain
Khushbooein gul mein, ishq bhara hai
Mat mil mat mil gul se mat mil
Aye bulbul-e-bismil
Mat mil mat mil gul se mat mil
Aye bulbul-e-bismil

Ha ha.. hey ha...

Ho.. sunle zamaana samjhaata hoon
Teri kahaani doharata hoon
Aye dil-e-bulbul bulbul-e-bismil
Aye dil-e-bulbul bulbul-e-bismil
Ik joda tha nar-maada ka
Bholi thi bulbul, nar saada tha
Ik joda tha nar-maada ka
Bholi thi bulbul, nar saada tha

Barf gira karti thi 
Jab bhar jaati thi kohsaaron mein
Ik baaz bada badneeyat tha
Haan ik baaz bada badneeyat tha
Udta tha, sabza-zaaron mein
Pankhon me uske maut chhupi thi

Mehfil mehfil dhoondh raha tha
Mehlon ki manzil
Mehfil mehfil dhoondh raha tha
Mehlon ki manzil

Bulbul ke khwabon mein jaakar
Zehar ke dank lagaaye thhe
Khushboo-e-gul mein zehar bhara
Aur maada ko bhijwaaye thhe
Zehar ke dank lagaaye thhe
(bulbul ke khwabon mein jaakar)
Mada ko bhijwaaye the
(Zehar ke dank lagaye the)
O o.. waadi me chidka baarood
Jheel me jaal bhichha daale
Chhuriyon se bechare nar ke
Chhuriyon se bechare nar ke
Dono pankh kataa daale

Arey dil dil dil dil jhoot kahe ye
Jhoot kahe buzdil
Mat mil mat mil Gul se mat mil
Aye bulbul-e-bismil
Aye bulbul-e-bismil
Aye bulbul-e-bismil

Zakhmi nar ko qaid kiya (qaid kiya, qaid kiya)
Zanjeeron mein bandhwaya
Aranmula ke shiri pull se
Phir paani mein phikwaaya
Jehlum.. Jehlum..
Laal laal hua
Laal laal hua
Laal laal hua laal
Jehlum.. Jehlum..
Laal laal hua
Laal laal hua
Laal laal hua laal

Kashmir ke paani ki taaserein
Khul gayi zanjeerein taqdeerein
Zinda hai woh zinda hoga
Mujrim bhi sharminda hoga
Zinda hai woh zinda hoga
Mujrim bhi sharminda hoga
Zinda hai woh zinda hoga
Mujrim bhi sharminda hoga

Hosh mein aa jaa
Hosh mein aa jaa
Aye bulbul-e-bismil
Aye bulbul-e-bismil
Khushboo-e-Gul me zehar bhara hai
Hosh mein aa ja, hosh mein aa ja
Aye bulbul-e-bismil
Hosh mein aa ja
Hosh mein aa ja
Aye bulbul-e-bismil


Aao Na

Song: Aao Na
Movie: Haider (2014)
Singer: Vishal Dadlani
Lyrics: Gulzar
Music: Vishal Bhardwaj
                                

Jale hee Jale hee Jale
Diye se jal rahi saari zindagi ooo..
Jale hee Jale hee Jale
Diye se jal rahi saari zindagi ooo..
Nahi bujhey, bujhey nahi
Hawaa se bujhey nahi saari zindagi oo..

Ek phoonk se miyaan
Sab udd gayaa dhuaan
Woh jo saans ki ek phaans thi
Woh nikal gayi jo kharaash thi
Ama seene ki wo khalish gayi
Bekarariyan, beemaariyan gayiiin
Ab toh aao
Jaan meri
So bhi jaaoo...

Arey aao na
Ke jaan gayi
Jahaan gaya, so jaao
Arey aao na
Ke thak gayi hai zindagi, so jaao (x2)

Naa shaam na savera
Andhera hi andhera
Naa shaam na savera
Andhera hi andhera
Hai roohon ka basera, so jaao!

Hawaa thhe hawaa thhe hawaa
Hawaa the hawaa huey
Baaqi toh khalaa... (x2)

Kabhi thhe to kabhi nahi
Kabhi thhe kabhi nahi
Baaqi toh khuda.. oo..

Yeh tha azal se tha
Uske fazal se tha
Bada kaam tha us zameen par
Wo to likh diya jabeen par
Jo guzar gayi, woh guzar gayi
Bewajah yahaan
Naa raho miyaan
Chalo miyaan, sabr le lo
Qabr le lo
Ghar mein aao oooooo...

Are aao na ke jaan gayi jahaan gaya so jaao
Are aao na ke thak gayi hai zindagi so jaao
Are aao na ke jaan gayi jahaan gaya so jaao
Are aao na ke thak gayi hai zindagi so jaao..


ad

In Association with Amazon.in