Showing posts with label Heartless (2014). Show all posts
Showing posts with label Heartless (2014). Show all posts

Tuesday, April 28, 2015

Thanks Brother

Song: Thanks Brother
Movie: Heartless (2014)
Singer: KK
Lyrics: Seema Saini
Music: Gaurav Dagaonkar



Fursat ke lamhon mein masroof raahon par
Jo saath tum chale aaya safar ka mazaa
Aise mujhko milein keh do un saaye se
Yun banke aayein hum tum mere rehnuma
Tumse jude kuch aise hain silsile
Dil ye mera har pal ye tumse kahe
Thanks brother for being there
Thanks brother for being there


Hmm.. meri har mushqil se waaqif ho tum aise
Meri har dhadkan ka tumhein rehta hai pataa
Aye dost sun mere hai saath jo tere
Tune bana diya har pal mera khushnuma
Ehsaan mand hoon tumhara kuch is qadar
Tum jo kaho haathon se pee loon zehar
Thanks brother for being there
Thanks brother for being there

Tumse jude kuch aise hain silsile
Dil ye mera har pal ye tumse kahe
Thanks brother for being there
Thanks brother for being there


Heartless (Title)

Song: Heartless (Title)
Movie: Heartless (2014)
Singer: Mohit Chauhan
Lyrics: Seema Saini
Music: Gaurav Dagaonkar


Keh do.. zinda hoon main, ya nahi
Keh do.. sapna hai yeh, sach nahi
Keh do.. zinda hoon main, ya nahi
Keh do.. sapna hai yeh, sach nahi

Khud se badh kar maine 
Tujhpe tha bharosa kiya
Zindagi thi tu meri
Tune hi dhokha diya
Pyaar mein mere rahi thi kya kami..

How could be so heartless
heartless.. heartless.. heartless..
How could you kill, you love
How could be so heartless
kill, you love!

Keh do.. jo tum ho, tum nahi
Keh do.. baaki hai meri zindagi
Jism mera sard saa
Rooh phir kyun jal rahi?
Cheekhta hoon main yahaan
Sun rahaa koi nahi
Dard mein mere thi teri kya khushi

How could be so heartless
So.. heartless..
How could you kill, you love?
Kill you love!
How could be so heartless?
So.. so.. heartless..
Kill you love!

Wo ho..

How could you kill you love?


What A Feeling

Song: What A Feeling
Movie: Heartless (2014)
Singers: Mohit Chauhan, Sukanya Ghosh
Lyrics: Shekhar Suman
Music: Gaurav Dagaonkar


Haal-e-dil ki sheh pe chal kar
Aa gaya hoon tere dil tak..
What a feeling...
Dhadkanon ki lay pe chal kar
Aa gayi hoon tere dil tak
What a feeling...

Tere-mera, mera-tera, zara-zara, 
Dara-dara sa ishq aaya tere dil tak

What a feeling.. what a feeling..
Wo o o.. what a feeling
What a feeling.. what a feeling..
Wo o o.. what a feeling

Rara ra ri ra, ra ra ri ra ri ra....

Kabhi-kabhi, kahin-kahin
Yahan-wahan, yahin-kahin
Kabhi-kabhi, kahin-kahin
Yahan-wahan, yehin-kahin
Ho chala mujhe yaqeen
(ho chala mujhe yaqeen)

Ke tu haseen, mahzabeen
Parda nasheen, meri dil nasheen o..

What a feeling.. what a feeling..
Wo o o.. what a feeling
What a feeling.. what a feeling..
Wo o o.. what a feeling

Abhi-abhi, dabi-dabi si ek lehar uthi kahin
Abhi-abhi, dabi-dabi si ek lehar uthi kahin
Uthi kahin, uthi kahin
(uthi kahin, uthi kahin)
Kise khabar huaa asar
Main bekhabar dar-badar
Main dar-badar

What a feeling.. what a feeling..
Wo o o.. what a feeling
What a feeling.. what a feeling..
Wo o o.. what a feeling

Haal-e-dil ki sheh pe chal kar
Aa gaya hoon tere dil tak..
What a feeling...
Dhadkanon ki lay pe chal kar
Aa gayi hoon tere dil tak
What a feeling...

Tere-mera, mera-tera, zara-zara, 
Dara-dara sa ishq aaya tere dil tak

Are you feeling.. what i'm feeling
Wo o o.. what a feeling
Are you feeling.. what i'm feeling
Wo o o.. what a feeling

What a feeling...
What a feeling...
What a feeling...
What a feeling...


Ishq Khuda

Song: Ishq Khuda
Movie: Heartless (2014)
Singer: Khurram Iqbal
Lyrics: S.K. Khalish
Music: Fuzön (Khurram Iqbal, Shallum Asher Xavier, Imran Momina)



Ishq mehar hai Rab ki
Ishq razaa hai sabki
Ishq duaa hai lab ki yaara

Ishq likha hai sabne
Ishq padha hai sabne
Ishq kiya hai sabne yaara

Ve koi na ishq da matlab samjha
Ve koi na ishq da matlab samjha
Ve koi na ishq da matlab samjha

Kyun na karoon main bandagi..
Kyun na karoon main bandagi
Yaara ve.. yaara ve....

Hai ishq Khuda, ab samjha
Ve koi na ishq da matlab samjha

Jaane huaa kya-kya batlaaun
Dekhoon jahaan tujhko hi paaun
Tere bina kahin aaye na qaraar
Har pal tere khwaab bunoon main
Tu jo kahe naa woh bhi sunoon main
Teri lagan aisi laagi mujhe yaar
Kehti hai dil ki lagi..
Kyun na karoon main bandagi

Yaara ve.. yaara ve....
Hai ishq Khuda, ab samjha
Ve koi na ishq da matlab samjha

Main kuch aise tera huaa hoon
Tere sivaa sab bhool gaya hoon
Yun hi sadaa main to chaahun tera sath
Tu hai jahaan bas ab hoon wahin main
Tere bina to kuch bhi nahi main
Jaane bhi ya nahin jaane tu yeh baat
Tu hi hai meri zindagi...
Kyun na karoon main bandagi

Yaara ve.. yaara ve..
Hai ishq Khuda, ab samjhaa
Ve koi naa ishq da matlab samjha

Ishq mehar hai Rab ki
Ishq razaa hai sabki
Ishq duaa hai lab ki yaara...

Ishq likha hai sabne
Ishq padha hai sabne
Ishq kiya hai sabne yaara...


Soniye

Song: Soniye
Movie: Heartless (2014)
Singer: KK
Lyrics: Seema Saini
Music: Gaurav Dagaonkar


Aye khuda bata zara mujhe kya huaa
Pehli baar aise gumshuda dil mera ho gaya
Darbadar dhoondhe usey ab yeh nazar
Main bhi na jaanu ke
Kis kadar dil mera kho gaya
Jabse hai dekha tujhe
Yeh armaan sabhi roshan huve
Ek waari aaja
Tu dil mila ja zara Khuda ke liye

Soniye... ab yeh deewana dil
Bin tere kaise jiye
Soniye... saansein bhi chalti hain
Ab to bas tere liye
Soniye... (soniye..)
Soniye... soniye... soniye...

Kaisi aafat hai yeh jo chaahat sataaye
Din raat aahein bharun
Bin tere ab to saansein bhi na yeh bhaaye
Tu bata de main kya karoon
Chaahe jaan lele tu, dard dede tu
Hum to tere huve
Duniya bhula doon
Khud ko mita doon
Main ab to tere liye...

Soniye.. ab ye deewana dil
Bin tere kaise jiye
Soniye.. saansein bhi chalti hain
Ab to bas tere liye
Soniye.. (soniye..)
Soniye.. soniye.. soniye.. (soniye...)

I believe, i'm alive, and i've known*
Now this is love..

Tumse badhkar na koi hai is jahaan mein
Sare aam kehta hoon main
Door logon se, door duniya jahaan se
Tere dil mein rehta hoon main
Khud ko main tujhme aa qaid kar loon
Nishaan na mera mile
Chaahe aazma le, apna bana le
Mita de sabhi faasle...

Soniye.. ab yeh deewana dil
Bin tere kaise jiye
Soniye.. saansein bhi chalti hain
Ab to bas tere liye
Soniye.. (soniye..)
Soniye.. soniye.. soniye.. (soniye..)


Main Dhoondne Ko Zamaane Mein

Song: Main Dhoondne Ko Zamaane Mein
Movie: Heartless (2014)
Singer: Arijit Singh
Lyrics: Arafat Mehmood
Music: Gaurav Dagaonkar


Aa ha.. aa.. ha.. 
Aa ha.. aa...

Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla
Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla

Pata chala ke ghalat leke main pata nikla
Pata chala ke ghalat leke main pata nikla
Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla
Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla..

Aa.. Aa.. ha.. aa.. ha.. 
Aa.. ha.. aa...

Jiske aane se muqammal ho gayi thi zindagi
Dastakein khushiyon ne di thi,
Mit gayi thi har kami
Kyun bewajah di yeh saza
Kyun khwaab de ke woh le gayaa
Jiyein jo hum lage sitam
Azaab aise woh de gayaa (Azaab: pain)
Main dhoondne ko uske dil me jo Khuda nikla
Main dhoondne ko uske dil me jo Khuda nikla
Pataa chala ke ghalat leke main pata nikla
Pataa chala ke galat leke main pata nikla
Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla
Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla aa...

Aa ha.. aa.. aaha.. 
Aaha.. aa...

Dhoondta tha ek pal me dil jise ye sau dafaa
Hai subah naraz us bin roothi shaame din khafa
Woh aayein na, le jaayein na
Haan uski yaadein jo yahaan
Na raasta, na kuchh pataa
Main usko dhoondhunga ab kahaan
Main dhoondne jo kabhi jeene ki wajah nikla
Main dhoondne jo kabhi jeene ki wajah nikla
Pata chala ke ghalat leke main pata nikla
Pata chala ke ghalat leke main pata nikla
Main dhoondne ko zamane mein jab wafa nikla
Main dhoondne ko zamane mein jab wafa nikla aa..

aa... o... aa....
Woah..... hey aye ayee ye...


Mashooqana

Song: Mashooqana
Movie: Heartless (2014)
Singer: Ash King, Arunima Bhattacharya
Lyrics: Arafat Mehmood
Music: Gaurav Dagaonkar


Jab jab tujhe main dekhoon
Lagti tu jannati hai
Jaane yeh tujhse kaisi
Nisbat si ho gayi hai (x2)

Rubaru tere kyun
Aane ka dhoondhu bahaana
Bakhuda chhod doon
Tu jo kahe to zamaana

Mashooqana, uff tera ye muskurana
Mashooqana, sharma ke nazrein churana
Aisa hua tera asar dil chaahe sirf tujhko pana
Mashukana, uff tera ye muskurana
Mashukana, sharma ke nazrein churana

Bol jaati hain aankhein teri sab bin kahe
Lafz pa kar ke tera dil kaise bas mein rahe

Tujhse milne se pehle bethikana thi main
Ab yeh lagne laga hai bewajah na thi main

Kuchh der to tujhe dekh loon
Maane agar tu bura na..

Mashookana, Uff tera yeh muskurana
Mashookana, Sharma ke nazrein churana

Mashooqaana..

Subah veerana tujh bin
Shab adhoori lage
Zindagi se bhi zyada
Tu zaroori lage

Aise mehfooz kar le
Mujhko aaghosh mein
Umr bhar main na aaun
Phir kabhi hosh mein

Nazdeeqiyaan itni badha do ki rahe faasla na
Mashooqana, Uff tera yeh muskurana
Mashooqana, Sharma ke nazrein churana

Jab jab tujhe main dekhun
Lagti tu jannati hai
Jaane yeh tujhse kaisi
Nisbat si ho gayi hai
Rubaroo tere kyun
Aane ka dhoondhu bahana
Bakhuda chhod doon
Tu jo kahe to zamaana

Mashooqana, Uff tera yeh muskurana
Mashooqana, Sharma ke nazrein churana

Mashooqana..
Ariana...
Mashooqana..


ad

In Association with Amazon.in