Showing posts with label Javed Akhtar. Show all posts
Showing posts with label Javed Akhtar. Show all posts

Tuesday, May 26, 2015

Jessie's Driving Me Crazy

Song: Jessie's Driving Me Crazy
Movie: Ek Deewana Tha (2012)
Singers: Sanjeev Thomas, Timmy
Song Writer: Javed Akhtar
Composer: A. R. Rahman


Jessie's been driving me Crazy
Jessie's been driving me Crazy
Jessie's been drivng me crazy

Jessie's been driving me Crazy
uh uh oh.... uh uh oh.....
Jessy's been driving me Crazy
uh uh oh.... uh uh oh.....
Oh.. Jessy's been driving me Crazy
uh uh oh.... uh uh oh..... yeah

Jessy hai tu kyun aisi
Karti paagal mujhe
Jab jaanti hai tu mujhe.. mujhe
Aise karti hai kyun
Tera yeh pagalpan Le doobega mujhe
Naa kar tu..

Jessie's been drivng me crazy
Jessie.. jessie.. jessie..
Jessy naa kar aise tu

Jessie's been drivng me crazy
Jessie's been drivng me crazy
Oh Jessie
Tu Aise tu aisi tu aisi tu naa kar yar

Oh Jessy! karti pagal pagal
Pagal pagal pagal pagal mujhe

Oh Jessy! tu bas gayi mere dil mein
Tu bas meri hai
Jessie's been driving me crazy
(I'm out of my mind)
Oh Jessie!
Jessie's been drivng me crazy
Oh Jessie!
Jessie's drivng me crazy
Oh Jessie
Kyun nahi
Oh phir pagla jaaunga main
Oh Jessie!
Aur main kahun kaisi hai tu

I say call me
I say call me
I say call me
I say call me
Call me..call me...call me
Naa kar aise tu



Zohra Jabeen

Song: Zohra Jabeen
Movie: Ek Deewana Tha (2014)
Singer: Javed Ali
Song Writer: Javed Akhtar
Composer: A. R. Rahman


Zeena zeena taaron se utar ke
Jahan hai mere dil ki zameen aa jaao
Zohra jabeen aa jaao
Sab se haseen aa jaao
Zohra jabeen aa jaao
Jaise mere khwaabon ki baahon mein
Kal tum aayi thi Aa jaao.. Aa jaao..
Phir itni paas aao
Saanso'n mein ghul jaao
Aankho'n mein bas jaao
Zeena zeena taaron se utar ke
Jahan hai mere dil ki zameen aa jaao.. Aa jaao
hoo..

Jaane yeh kaisi kashish hai
Ik pal mein gaya dil yun paas tumhare
Toot ke girte hai jaise zameen parr
Aksar raaton mein sitaare
Hum hi hum hain
Abb na sharmaao, Aa jaao
Iss dil ko apnaao
Zohra jabeen aa jao
Sabse haseen aa jao
Zohra jabeen aa jao...


Sunlo Zara

Song: Sunlo Zara
Movie: Ek Deewana Tha (2012)
Singer: Rashid Ali, Shreya Ghoshal & Timmy
Song Writer: Javed Akhtar
Composer: A. R. Rahman


Sun lo zara kehta hai mann
Tumse yeh dhadkan dhadkan
Yeh jo pyaar hai, Yeh bahaar hai
Hai jo pyaar ka khila har chaman
Suno naa..
Kehati hai yeh umang
Chalenge sang sang
Leke hum pyaar ke saare rang
Jaage hain armaan
Jazbat hain jawaan
Dil mein nayi hai tarang
Main hoon dil hai tu hai
Bas yeh guft-gu hai
Tu meri hai, meri hai
Armaan machalte hai
Sapne pighalte hai
Hum tum badalte hai Aahista aahista
Mausam salona hai tto hosh khona hai
Deewana hona hai Aahista-aahista
Suno naa..
Kehati hai yeh umang
Chalenge sang sang
Leke hum pyaar ke saare rang
Jaage hain armaan
Jazbat hain jawaan
Dil mein nayi hai tarang
Jaane yeh kya jaadu hai
Kya yeh samaa har su hai
Tumse nazar jo mili hai
Chandni din mein khili hai
Tu hai.. tto yeh fiza hai
Warna duniya kya hai
Yeh husn tu hi hai laayi
Armaan machalte hain
Sapne pighaltey hain
Hum din badaltey hain
Aahistaa aahistaa
Mausam salona hai
Toh hosh khona hai
Deewana hona hai Aahista aahista
Suno naa..
Kehati hai yeh umang
Chalenge sang sang
Leke hum pyaar ke saare rang
Jaage hain armaan
Jazbat hain jawaan
Dil mein nayi hai tarang
Dil mein nayi hai tarang
Main hoon dil hai tu hai
Bas yeh guft-gu hai
Tu meri hai meri hai
Armaan machalte hai
Sapne pighalte hai
Hum tum badalte hai Aahista aahista
Mausam salona hai tto hosh khona hai
Deewana hona hai Aahista-aahista
O o....
Oh pee toh sakoon
Oh pee ke maroon
Chahat ki jwaala
Par sukun hai
Ke ye junoon hai
Naa ye jalne waala

Shaminda Hoon

Song: Shaminda Hoon
Movie: Ek Deewana Tha (2012)
Singer: A. R. Rahman & Madhushree
Song Writer: Javed Akhtar
Composer: A. R. Rahman


Main ik lehar hoon jo
Samay ki nadi se
Bas tumse milne kinaare thi aayi
Magar jo bhi ho
Har ik lehar ko mit jaana hai
Nadi mein hi jaa ke
Hmm... oo hmm...
Hmm... oo hmm...

Tumko maine chaha bhi hai
Tumhi ko maine gham bhi diye
Sharminda hoon
Sharminda hoon
Sharminda hoon

Tumko maine chaha bhi hai
Tumhi ko maine gum bhi diye
Sharminda hoon
Sharminda hoon
Sach kehti hoon dil hi dil mein
Sharminda hoon

Duniya jo chahe keh le
Par tujhko milne se pehle
Khud se bhi naa mill saka tha main
Khoya saa tha main uljha sa tha
Ki tujh bin meri na thi koi raahien
Meri zindagi tujh bin thi jaise
Oss ki boond patti se ab giri ab giri
Oh ho ho..
Oss ki boond patti se ab giri ab giri

Main..agar..saans thi
Tum khushboo thay
Kaise kaise pal pal yaadon ke
Tumhe aise kho ke
Akele main zinda hoon, kyun?

Kagaz tha main, hawa mein udta
Tune mujh pe jaane kya likh diya
Mujhko abb toh naye shabd hai mill gaye
Ye shabd ye pyar ke

Tumko maine chaha bhi hai
Tumhi ko maine gum bhi diye
Sharminda hoon
Sharminda hoon
Sach kehti hoon dil hi dil mein
Sharminda hoon

Sitaaron se aage jahaan aur bhi hai
Abhi ishq ke imtehan aur bhi hai.. aur bhi hai
Tu shaheen hai parwaaz hai
Kaam tera tere saamne asmaan aur bhi
Sitaaron se aage jahaan aur bhi hai

Tum ho sach.. ki ho koi parchhayi
Kya tum ek khwaab ho jo kahin nahi
Bheegi hai palkein meri
Takiye hai mere num
Tum hi bataao mujhko
Kaise bhulaaun yeh

Tumko maine chaha bhi hai
Tumhi ko maine gum bhi diye
Sharminda hoon
Sharminda hoon
Sharminda hoon

Duniya jo chahe keh le
Par tujhko milne se pehle
Khud se bhi naa mill saka tha main
Khoya saa tha main uljha sa tha
Ki tujh bin meri na thi koi raahien
Meri zindagi tujh bin thi jaise
Oss ki boond patti se ab giri ab giri
Meri zindagi thi
Oss ki boond patti se ab giri ab giri
Meri zindagi thi
Oss ki boond patti se ab giri ab giri

hmmm...























































































Phoolon Jaisi Ladki

Song: Phoolon Jaisi Ladki
Movie: Ek Deewana Tha
Singer: Clinton Cerejo & Kalyani Menon
Song Writer: Javed Akhtar (Malayalam lyrics: Kalyani Menon)
Composer: AR Rahman


Aahaan... hai yeh kya?
Aankhein..
Aankhein yeh aankhein
Saagar se gehri yeh aankhien 9hey!)
Jhookti (hey!)
Uth.ti (hey!)
Sharmeeli se aankhien, yeh aankhien
Sapno ki rajdhani
Saare... jugnu... taare
Inse hi jagmagana seekhe
Oh ho ho..

Phoolon jaisi hai yeh ladki
Hai yeh ladki pariyon jaisi hai na
Woh ho ho...
Bholi bholi khoyi khoyi
Hirni si, hai yeh ladki
Komal-komal yeh ladki
Sundar ladki
Nazuk nazuk ye ladki

Tera aanchal joh leheraye
Toh.. Mera dil.. sang sang leheraye
Dhadke hi jaaye
Tere tann se jo aa jaaye
Mere tann-mann mein bas jaaye

Ooo..oo..
Teri zulf se mehki hui jo chhaanv hai
Woh hai meri manzil...
Tere saare gham meri saari khushiyan
Abb dono ki hai, hai kehta dil

Phoolon jaisi hai yeh ladki
Hai yeh ladki pariyon jaisi hai na
Woh ho ho...
Bholi bholi khoyi khoyi
Hirni si, hai yeh ladki
Komal-komal yeh ladki
Sundar ladki
Naazuk naazuk ye ladki

[Malayalam Part]
"Maragadha-thotti-lizh..
Malayali-gal thaaraatumm
Penn azhagaee.. maathang-gal tohpugalil
Poonguyilugazh-inna-chernna
Pullangulazh-oothugai-yaana
Ninn-azhagaehhhh.. Ninn-azhagae."

Chand pe tu, main dharti pe
Thodi toh paas aaja
Dhadkan mein tu sama jaa
Main tere geet gaaun
Yeh armaan yeh tamanna
Hai aur dil mein tu hai tu hai tu hai

Oh ho ho...
Phoolon jaisi hai yeh ladki
Hai yeh ladki pariyon jaisi hai na
Woh ho ho...
Bholi bholi khoyi khoyi
Hirni si, hai yeh ladki
Komal-komal yeh ladki
Sundar ladki
Naazuk naazuk ye ladki [x2 Times]


Hosanna

Song: Hosanna
Movie: Ek Deewana Tha (2012)
Singers: Leon D’Souza, Suzanne & Blaaze
Song Writer: Javed Akhtar, Blaaze (English Part) - (Original Tamil Song was written by Thamarai)
Composer: AR Rahman



Dil hote jo mere seene mein do
Doosra dil bhi main tumhe deta todne ko


Hosanna..Hosanna..Hosanna
Ho..Sannna...Hosanna..Ho...

Dilkash thi woh shaam pehle pehal
Jab ke tumse mili thi nazar
Aisa chakraya ki ab ye na jaanu
Ke jaaun tto jaaun kidhar
Hosanna tum samne thi pal
Hosanna Agle hi pal thi ojhal
Ab kya bataaun main
Kis haal mein hu main
Yahaan-wahaan bas apna dil aur hosh dhoodta hu main

Hosanna.. (Madhoshi deewanagi)
Hosanna.. (main aur teri bandagi)
Hosanna.. (ab hai yehi zindagi)
Hosanna..

Everybody wanna know be like be like
I really wanna be here with you
Is that enough to say that
We are made for each other is all that is Hosanna true

Hosanna... be there when you are calling i will be there
Hosanna... feeling like my life's changed
I never wanna be the same..
Its time we re-arrange i take a step
you take a step and me calling out to you

Helloooo... Hellooooo... Helloooo oooo
Yooo Hosanna

Ho..sanna.....oooo...

Udti hui titli ki rangeen parchhaai reh jaati hai phoolon mein
Waise hi tum ek tasveer ke jaise chhaye ho inn aankhon mein
Hosanna, Tum jo mera khwaab ho
Hosanna, Dil kyon na betaab ho
Kahoon to kya kahoon
Main kyun deewana hoon
Tumhare baare mein hi har ghadi main sochta hoon kyun.

Hello.. Hello.. Hello...
Hosanna... (ab din ho ya raat ho)
Hosanna... (dil chahe tum saath ho)
Hosanna... (bas haathon mein haath ho)
Hosanna....

Dil hote jo, mere seene mein do
Doosra dil bhi main, tumhe deta todne ko


Aaromale

Song: Aaromale
Movie: Ek Deewana Tha (2014)
Singer: Alphons Joseph
Song Writer: Javed Akhtar (Malayalam lyrics: Kaithapram Namboothiri)
Composer: AR Rahman


Badhne lagi hai mann ki halchal
Maine maanga tha yehi pal
Dooriyan mitne ka har bandhan khulne ka yeh pal hai
Roop jo sajaa, Prem swar baja Goonjta hai yeh sama

Aromale...Aromale...Aromale...
Aromale...Aromale...Aromale...

Shubh-Shubh ghadi, Shubh hai lagan
Shubh-Shubh sajni ka jeevan
Shubh-shubh ghadi, shubh hai lagan
Shubh-shubh sajni ka jeevan
www.lyricsmint.com
Rom-rom lage sukh chandan
Som-som rahe tera darpan
Saans-saans par pal ho basi
Bheeni-Bheeni si koi sugandh
Madhir-madhir har baat rahe
Madhur madhur ho sab bandhan
Bas yeh kaamna poori ho
Mann ki mann se naa doori ho
Shubh shubh ghadi, Shubh hai lagan
Shubh shubh sajni ka jeevan
Aaromale...Aaromale...Aromale...

Priyadarshini.. Swarn hansini
Sunnle, mann pukare
Doobenge dono hi innme
Gehre hai yeh prem dhaam re ai ai...

Aaromale...Aaromale...Aromale...
Aaromale

Shubh Shubh ghadi, Shubh hai lagan
Shubh Shubh sajni ka jeevan
Shubh shubh ghadi, shubh hai lagan
Shubh shubh sajni ka jeevan
lyrics from lyricsmint.com
Rom-rom lage sukh chandan
Som-som rahe tera darpan
Saans-saans par pal ho basi
Bheeni-Bheeni si koi sugandh
Madhir-madhir har baat rahe
Madhur madhur ho sab bandhan
Bas yeh kaamna poori ho
Mann ki mann se naa doori ho
Shubh-shubh ghadi, Shubh hai lagan
Shubh-shubh sajni ka jeevan
Shubh-shubh ghadi, Shubh hai lagan
Shubh-shubh sajni ka jeevan
Aromale.. Aromale.. Aromale...
O..o..mm...



Dost Hai (Girl I Loved You)

Song: Dost Hai (Girl I Loved You)
Movie: Ek Deewana Tha (2012)
Singers: Naresh Iyer, Jaspreet Jasz & Arya
Song Writer: Javed Akhtar
Composer: AR Rahman (Additional arragements: Sachin-Jigar)



"Dost Hai Hum toh" Yeh Bahana Kyun
Pyaar hai humko ye chhupana kyun


Hey..! You just left me all alone in the Dark (No...)
When you have to leave me why did you give me all thats whack
Hey! Ho..

Yeah yeah I'm shattered now, feeling so battered now
I'm tryna move, tryna find the groove
But this is not workin' somehow
Used to be a Hustler
Shooting guns making dollars
Used to be a Guzzler
Smokin' pots sippin hollow
Now all this money ain't helping me to forget
All this pain I've got, pain I've got
lyrics from www.lyricsmint.com
"Dost Hai Hum toh" Yeh Bahana Kyun
Pyaar hai humko ye chhupana kyun
Girl I loved you
"Dost Hai Hum toh" Yeh Bahana Kyun
Pyaar hai humko ye chhupana kyun
Girl I loved you

Hey..! You just left me all alone in the Dark
You just left me all alone in the Dark
(sach hai ki nahi hai..)

You took your time and walk inside my heart
Baby it's not a game
You Break it up and make it up
Break it up Again again
You walked into my heart again
You Break it up Again again
lyrics at lyricsmint
This ain't no game, this ain't no lie
Ain't just another me
Don't you hide out
Don't you sly in
It is 'love' and not a 'shame'

This ain't no game, this ain't no lie
Ain't just another me
I don't know what is on your mind
But love ain't one of them

"Dost Hai Hum toh" Yeh Bahana Kyun
Pyaar hai humko ye chhupana kyun
"Dost Hai Hum toh" Yeh Bahana Kyun
Girl I loved you
Pyaar hai humko ye chhupana kyun
Girl I loved you
Hey..! You just left me all alone in the Dark

You did this play
You did this to me
Girl I loved you
When you were on the phone
Girl I loved you
On the bed when we bond
Girl I loved you
Every second on the clock
Girl I loved you
Even moment when you were gone 


Kya Hai Mohabbat

Song: Kya Hai Mohabbat
Movie: Ek Deewana Tha (20120
Singers: AR Rahman
Song Writer: Javed Akhtar
Composer: AR Rahman




Mohabbat hai ek khwaab yaa ek junoon hai?
Kisi ko mohabbat agar hai tto kyun hai
Mohabbat mein to sirf betabiyan hai
Toh phir kyun mohabbat mein
Dil ko sukoon hai... sukoon hai
Koi ye bata de ki, kya hai mohabbat? Mohabbat... [x2]

Mohabbat hai dariya, mohabbat kinara
Mohabbat sitam hai, mohabbat sahara
Mohabbat idhar bhi, mohabbat udhar bhi
Mohabbat nazar hai, mohabbat nazaara
Koi ye bata de.. bata de.. bata de..

Mohabbat mein sab kuch haseen lagta hai kyun
Sitam jo kare dil nasheen lagta hai kyun
Mohabbat hai jiss se, woh dil tode bhi to
Bura phir bhi dil ko nahi lagta hai kyun?
Koi ye bata de ki, kya hai mohabbat? Mohabbat...

Naa samjha koi wo adaa hai mohabbat
Ki inaam hai ya sazaa hai mohabbat
Kisi ne kaha hai tto kyun ye kaha hai
Mohabbat khuda hai, khuda hai mohabbat.

Koi ye bata de ki, kya hai mohabbat?
Mahabbat...































Monday, May 18, 2015

Girls Like To Swing

Song: Girls Like To Swing
Movie: Dil Dhadakne Do (2015)
Singer: Sunidhi Chauhan
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Javed Akhtar


Jagmagati ladkiyan ye jhilmilati ladkiyan
Jinke deewane tum hi toh ho
Hmm.. hansti gaati ladkiyan
Khilkhilaati ladkiyan
Chahti sab kya hain, ye suno
Inhe sabke hai mann mein kya
Inki dhadkan mein kya
Suno zara sapne kya hai inn aankhon mein
dil mein hai kya armaan

I hear my body talk to me
Some soul shake it off boggie answer me
Yeah yeah yeah yeah...

Girls like to swing.. swing..
Zara aage nikal ke.. swing..
Naye rango mein dhal ke.. swing..
Andaaz badal ke..
Yaani hichkichana nahi hai.. swing..
Masti mein hai jeena.. swing..
Jeevan ras peena.. swing..
Ye baat hui na!
Yaani ab sharmaana nahi hai

Har ghadi jashn ho
Geeton ki barsaat ho
Gaaye pal pal ye zindagi
Pighle pighle tan-badan
Khoya khoya sa ho ye mann
Chaayi chaayi ho dilkashi.. aa..

Ho tharrtharahat hi
Ho sannsanahat si
Ki saans-saans mein ghula ho ajeeb sa nasha..

I hear my body talk to me
Some soul shake it off boggie answer me
Yeah yeah yeah yeah...

Girls like to swing.. swing..
Zara aage nikal ke.. Swing..
Naye rango mein dhal ke.. swing..
Andaaz badal ke..
Yaani hichkichana nahi hai.. swing..
Masti mein hai jeena.. swing..
Jeevan ras peena.. swing..
Ye baat hui na!
Yaani ab sharmaana nahi hai

Jagmagati ladkiyan ye jhilmilati ladkiyan
Jinke deewane tum hi toh ho
Hansti gaati ladkiyan, ye khilkhilaati ladkiyan
Chahti sab kya hain ye suno
Inhe sabke hai mann mein kya
Inki dhadkan mein kya
Suno zara sapne kya hai inn aankhon mein
dil mein hai kya armaan

I hear my body talk to me
Some soul shake it off boggie answer me
Yeah yeah yeah yeah...

Girls like to swing.. swing..
Zara aage nikal ke.. swing..
Naye rango mein dhal ke.. swing..
Andaaz badal ke..
Yaani hichkichana nahi hai.. swing..
Masti mein hai jeena.. swing..
Jeevan ras peena.. swing..
Ye baat hui na!
Yaani ab sharmaana nahi hai.. swing

Zara aage nikal ke.. swing..
Naye rango mein dhal ke.. swing..
Chalo andaaz badal ke..
Yaani hichkichana nahi hai.. swing..
Gotta swing swing.. swing..
Yeah swing swing.. swing
Lets swing swing..

SWING.....


Phir Bhi Yeh Zindagi

Song: Phir Bhi Yeh Zindagi
Movie: Dil Dhadakne Do (2015)
Singers: Farhan Akhtar, Vishal Dadlani, Divya Kumar, Alyssa Mendonsa, Sapna Pathak
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Javed Akhtar




Uljhi hui ye doriyaan..
Uljhi hui ye doriyaan suljhaa le
Dil ki tu suney agar
Dil saccha hai dilwale

Raahein nahin aisi toh kahin
Jahaan kahin koi mod nahin
Kehta hai ye dil
Toote sheeshon ko tu jod nahin

Raahon mein do raahein
Aate hain sau baar
Kadam kadam iqraar hai
Kadam kadam inkaar

Phir bhi ye zindagi
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Lehrein ye waqt ki
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi

Tanhaaiyan hai ghul si gayi saanson mein
ooo... kya karein...
Maana kahin koi bhi nahin
Jisey mila kabhi gham na ho
Par humko toh wo gham hai jo
Ik pal ko bhi kam naa ho

Humne jo baazi kheli, jeet nahi paaye
Ab wo tanhaai hai jo beet nahi paaye

Phir bhi ye zindagi
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Lehrein ye waqt ki
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi

Tanhaaiyan... hai ghul si gayi saanson mein
ooo... kya karein...

Angdaai leti hain phir se umeedein
Palkon pe chaaye jo sapne
Jaag uthte phir jaise dil mein
Armaan jo soye thhe apne
Jaana hai kis raste
Ye bhi na tu jaane
Kyun hai dil deewaane

Phir bhi ye zindagi
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Lehrein ye waqt ki
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi

Tanhaaiyan hai ghul si gayi saanson mein
ooo... kya karein...

Uljhi hui ye doriyaan..
Uljhi hui ye doriyaan suljhaa le
Dil ki tu suney agar
Dil saccha hai dilwale

Pehli Baar

Song: Pehli Baar
Movie: Dil Dhadakne Do (2015)
Singers: Siddharth Mahadevan & Sukirti Kakkar 
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Javed Akhtar

Pehli baar tumko maine jab dekha tha
Pehli baar tumko maine jab dekha tha
Sun lo yaar ki maine kya socha tha
Laga ki tumse milna tha tabaahi
Iss dil ko hi samjhaane maine kahaa
Iss raste na jaana kabhi raahi
Yeh tere liye hai hi nahi
Dil mera bol utha..
Hone do ab jo bhi ho, darna kya
Bhala-bura hone do ab jo bhi ho

Kya dil ki sun li tumne
Kya raah chun li tumne
Haan dil ki sun li maine
Haan raah chun li maine

Pehli baar tumko maine jab dekha tha
Sun lo yaar ki maine kya socha tha
Laga ki mashvare sunte ho dil ke
Laga ki thode se ho tum deewane se
Karoge dil ki baatein phir milke
Aur hongi ye baatein badi haseen
Dil mera bol utha..
Hone do ab jo bhi ho, darna kya
Bhala-bura hone do ab jo bhi ho

Kya dil ki sun li tumne
Kya raah chun li tumne
Haan dil ki sun li maine
Haan raah chun li maine

Leharon mein jaise lehrein milein
aise mill gayi dilon ki dhadkan
Chalte hi chalte raahon mein
khoye khoye hain dono tan mann
Hum paas aaye to kyun paas aaye
Socho toh baat hai zaraa si
Kuch tum bhi pyaase pyaase thhe kab se
Main bhi thi pyaasi pyaasi

Lagaa ki tumse milna tha tabaahi
Iss dil ko hi samjhaane maine kahaa
Iss raste na jaana kabhi raahi
Yeh tere liye hai hi nahi
Dil mera bol utha..
Hone do ab jo bhi ho, darna kya
Bhala-bura hone do ab jo bhi ho

Kya dil ki sun li tumne
Kya raah chun li tumne
Haan dil ki sun li maine
Haan raah chun li maine


Galla Goodiyaan

Song: Galla Goodiyaan
Movie: Dil Dhadakne Do (2015)
Singers: Sukhwinder Singh, Yashita Sharma, Manish Tipu, Farhan Akhtar, Shankar Mahadevan
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Javed Akhtar


Main daalun taal pe Bhangra
Tu bhi gidda paa le
Chal aisa rang jamaa de hum
Ke bane sabhi matwaale

Mann kahe ki main le aaun
Chaand aur taare saare
Inn haathon par main chaand rakhun
Iss maang mein bhar doon taare

Hello! Hello! tu floor pe kab hai aayi
Ye lo, ye lo, badi solid masti chaayi
Hello! Hello! too much hai tumne lagayi
Ye lo, ye lo, control karo mere bhai

Dhak-dhak dhak-dhak dhadke ye dil
Chhan chhan bole Amritsari choodiyan
Raat badi hai mastaani
koi dilbar jaani kar le gallan goodiyan (x2)

Ye nain matakka tera mujhe bada tadpaave
Tu dekhe to ajj vi dilbar kudiye
teer sa ek chal jaave
Aahaa.. Aahaa..
Kar de bin piye sharabi, chehra tera gulaabi
Koi kyun na yamla ban jaave jo itni ho betaabi

Hello! Hello! dil dil se connect karna
Ye lo, ye lo, ye baatein direct karna

Dhak-dhak dhak-dhak dhadke ye dil
Chhan chhan bole Amritsari choodiyan
Raat badi hai mastaani
toh dilbar jaani kar le gallan goodiyan

(Oye.. oye marjana oye..)

Dhak-dhak dhak-dhak dhadke ye dil
Chhan chhan bole Amritsari choodiyan
Raat badi hai mastaani
toh dilbar jaani kar le gallan goodiyan

Chana chanak tera pan dunga nak main to
Chana chanak tera pan dunga nak
Main kabootar phaseya ki hor koi
Phase vi na haay phase vi na
Phase vi na haay phase vi na (x2)

Chana chanak tera pan dunga nak main to
(x4)

Main kabootar faseya ki
hor koi phase vi na.. (repeat)

Ye baat na maine jaani
Kyun itni khush hai diwaani
Tu mujhko aisi kahaani samjha de, samjha de..

Ye baat hai sabne chaahi
Mile janmon ka humraahi
Yahaan huaa hai kuch aisa hi
Samjhe na samjhe na o ho..

Ab main jaana keh rahi ho kya fasaana ho ho.
Pyaar karne se bhi mushqil hai nibhaana ho ho

Hello! Hello! don't mind mera yeh kehna
Ye lo, ye lo, zara mere touch mein rehna

Dhak-dhak dhak-dhak dhadke ye dil
Chhan chhan bole Amritsari choodiyan
Raat badi hai mastaani
koi dilbar jaani kar le gallan goodiyan

O haaye...

Dhak-dhak dhak-dhak dhadke ye dil
Chhan chhan bole Amritsari choodiyan
Raat badi hai mastaani
to dilbar jaani kar le gallan goodiyan

Raat badi hai mastaani ee ee..

Dhak-dhak dhak-dhak dhadke ye dil
Chhan chhan bole Amritsari choodiyan
Raat badi hai mastaani
to dilbar jaani kar le gallan gooniyan

o marjaana oye...





Dil Dhadakne Do (Title)

Song: Dil Dhadakne Do (Title)
Movie: Dil Dhadakne Do (2015)
Singers: Priyanka Chopra, Farhan Akhtar
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Javed Akhtar

Uh o.. hoo..

Har dil ki apni hi taal hai
Apna hi ek raag hai
Har dil ki apni dhadkane
Apni hi ek aag hai
Jazbaat pighle pighle hain toh kyun na ho
Khayalaat behke behke hain toh kyun na ho
Har dil dhadakne do
Dil Dhadakne Do...
Dil Dhadakne Do!

"Log kya kahenge?"
Chhodo saare aise tum bahaane
Dil Dhadakne Do..

Har lamhe ko jo poori tarah se nahi jee sake
Hathon me uske ho jaam phir bhi nahi pee sake
Zindagi hai kya, jaane woh kya
Khushiyon ko pehchaane woh kya
Hum toh yehi samjhayenge usey
Sapne jo hai sajaane thode se bano diwaane
Dil Dhadakne Do..
Dil Dhadakne Do..
Dil Dhadakne Do..

Duniya jo bura maane banke tum anjaane
Dil Dhadakne Do..
Zindagi ke sau rang hain
Ye baat sun lo, jaan lo
Sabke apne hi dhang hain
Ye baat samjho, maan lo
Koi jo khoya khoya hai toh kyun na ho
Koi jo badla-badla hai toh kyun na ho

Uh o..
Har dil ki apni hi taal hai
Apna hi ek raag hai
Har dil ki apni dhadkane
Apni hi ek aag hai
Jazbaat pighle pighle hain toh kyun na ho
Khayalaat behke behke hain toh kyun na ho
Dil.. dhadakne do
Dil.. Dhadakne Do..
Dil dhadakne do...

Duniya jo bura maane banke tum anjaane
Dil.. dhadakne do...
Uh aah aah o..
Dil.. dhadakne do...
Dil Dhadakne Do..

Ho sapne jo hai sajaane
Thode se bano deewaane
Duniya jo bura maane banke tum anjaane
"Log kya kahenge?"
Chhodo saare aise tum bahaane

Dil Dhadakne Do..


Wednesday, August 28, 2013

Radha Kaise Na Jale

Song : Radha Kaise Na Jale
Movie : Lagaan
Music : A.R.Rehman
Lyrics : Javed Akhtar
Singers : Udit Narayan, Asha Bhosle, Vaishali & Chorus



Madhuban Mein Jo Kanhaiya Kisi Gopi Se Mile
Kabhi Muskaaye, Kabhi Chhede, Kabhi Baat Kare
Radha Kaise Na Jale, Radha Kaise Na Jale
Aag Tan Mann Mein Lage
Radha Kaise Na Jale, Radha Kaise Na Jale

Madhuban Mein Bhale Kaanha Kisi Gopi Se Mile
Mann Mein To Radha Ke Hi Prem Ke Hain Phool Khile
Kis Liye Radha Jale, Kis Liye Radha Jale
Bina Soche Samjhe
Kis Liye Radha Jale, Kis Liye Radha Jale

O, Gopiyaan Taarein Hain, Chaand Hai Radha
Phir Kyoon Hai Usko Biswaas Aadha
O, Gopiyaan Taarein Hain, Chaand Hai Radha
Phir Kyoon Hai Usko Biswaas Aadha

Kaanhaji Ka Jo Sadaa Idhar Udhar Dhyaan Rahe
Radha Bechaari Ko Phir Apne Pe Kya Maan Rahe

Gopiyaan Aani Jaani Hain, Radha To Mann Ki Rani Hai
Gopiyaan Aani Jaani Hain, Radha To Mann Ki Rani Hai
Saanjh Sakhaare, Jamna Kinaare
Radha Radha Hi Kaanha Pukaare

Oye Hoye, Oye Hoye
Baahon Ke Haar Jo Daale Koi Kaanha Ke Gale
Radha Kaise Na Jale, Radha Kaise Na Jale
Aag Tan Mann Mein Lage
Radha Kaise Na Jale, Radha Kaise Na Jale

Mann Mein Hai Radhe Ko Kaanha Jo Basaaye
To Kaanha Kaahe Ko Usse Na Bataaye
Prem Ki Apni Alag Boli, Alag Bhaasa Hai
Baat Nainon Se Ho Kaanha Ki Yahi Aasa Hai

Kaanha Ke Yeh Jo Naina Hain
Chheene Gopiyon Ke Chaina Hain
Kaanha Ke Yeh Jo Naina Hain
Chheene Gopiyon Ke Chaina Hain
Mili Najariya, Hui Baawariya
Gori Gori Si Koi Gujariya

Kaanha Ka Pyaar Kisi Gopi Ke Mann Mein Jo Pale
Kis Liye Radha Jale, Radha Jale, Radha Jale

Radha Kaise Na Jale
Kis Liye Radha Jale
Radha Kaise Na Jale

Kis Liye Radha Jale, Kis Liye Radha Jale
Radha Kaise Na Jale
Kis Liye Radha Jale, Kis Liye Radha Jale
Aah, Aah, Aah, Aah…
Radha Kaise Na Jale
Radha Kaise Na Jale
Radha Kaise Na Jale.

Thursday, August 22, 2013

Rock On Zindagi Millegi Na Dobaara

Song : Rock On Zindagi Milegi Na Dobara
Movie : Rock on
Music : Shankar, Ehsaan & Loy
Lyrics : Javed Akhtar
Singers : Farhan Akhtar



Dil Kya Kehta Hai Mera Kya Main Bataoon
Tum Ye Samjhoge Shayad Main Pagal Hoon
Dil Kya Kehta Hai Mera Kya Main Bataoon
Tum Ye Samjhoge Shayad Main Pagal Hoon

Dil Karta Hai Tv Tower Pe Main Chadd Jaoon
Chilla Chilla Ke Main Ye Sabse Kehdoon
Rock On… Hai Ye Waqt Ka Ishaara
Rock On… Har Lamha Pukaara
Rock On….Yuhin Dekhta Hai Kya Tu
Rock On….Zindagi Millegi Na Dobaara…

Dil Karta Hai Sadkon Par Zor Se Gaoon
Sab Apne Apne Ghar Ki Khidki Kholen
Phir Main Aise Josheelay Geet Sunaoon
Mere Geeton Ko Sunke Sab Ye Bolen
Rock On… Hai Ye Waqt Ka Ishaara
Rock On… Har Lamha Pukaara
Rock On….Yuhin Dekhta Hai Kya Tu
Rock On Zindagi Millegi Na Dobaara

Jaise Jeene Ko Dil Chahe Jee Waise Tu
Meri To Hai Bas Ye Raaye Ki
Apne Jitne Bhi Armaan Hain Poore Karle Tu

Rock On… Hai Ye Waqt Ka Ishaara
Rock On… Har Lamha Pukaara
Rock On….Yuhin Dekhta Hai Kya Tu
Rock On….Zindagi Millegi Na Dobaara…

Rock On… Hai Ye Waqt Ka Ishaara
Rock On… Har Lamha Pukaara
Rock On….Yuhin Dekhta Hai Kya Tu
Rock On….Zindagi Millegi Na Dobaara…

Pichhle Saat Dino Mein Maine Khoya

Song : Pichhle Saat Dino Mein Maine Khoya
Movie : Rock on
Music : Shankar, Ehsaan & Loy
Lyrics : Javed Akhtar
Singers : Farhan Akhtar




Meri Laundry Ka Ek Bill, Ek Aadhi Padi Novel… Ta Ra Ta Ta Ta ….Ta Ra Ta Ta Ta…
Ek Ladki Ka Phone Number, Mere Kaam Ka Ek Paper… Ta Ra Ta Ta Ta ….Ta Ra Ta Ta Ta…
Mere Taash Se Heart Ka King, Mera Ek Chandi Ka Ring
Pichhle Saat Dino Mein Maine Khoya
Kabhi Khud Pe Hansa Main Aur Kabhi Khud Pe Roya

Ta Ra Ta Ta Ta …. Ta Ra Ta Ta Ta …. Ta Ra Ta Ta Ta ….… Ta Ra Ta Ta Ta ….

Present Mili Ek Ghadi, Pyaari Thi Mujhe Badi… Ta Ra Ta Ta Ta ….Ta Ra Ta Ta Ta…
Meri Jeb Ka Ek Packet, Meri Denim Ki Jacket… Ta Ra Ta Ta Ta ….Ta Ra Ta Ta Ta…
Do One-Day Match Ke Passes, Mere Naye Naye Sunglasses
Pichhle Saat Dino Mein Maine Khoya
Kabhi Khud Pe Hansa Main, Aur Kabhi Khud Pe Roya

Kaise, Bhuloon Saatva Jo Din Aaya
Kisi Ne Tumse Ek Party Mein Milwaaya
Kaisa Pal Tha Jis Pal Maine Tumko Pehli Baar Dekha Tha

Hum Jo Mile Pehli Baar Maine Jaana Kya Hai Pyaar
Maine Hosh Bhi Khoya Dil Bhi Khoya
Kabhi Khud Pe Hansa Main, Aur Kabhi Khud Pe Roya

… Ta Ra Ta Ta Ta ….Ta Ra Ta Ta Ta…… Ta Ra Ta Ta Ta ….Ta Ra Ta Ta Ta…


Maine Pichhle Saat Dino Mein Ye Sab Hai, Khoya..

Viraaniya

Song : Viraaniya
Movie :  Namastey London
Music : Himesh Reshammiya
Lyrics : Javed Akhtar
Singers : Himesh Reshammiya



Mohabat meri jo pyaasi huyi
To gehri meri udaasi huyi Zindagi... (2)
Mein hain tumbin
Yeh Viraaniya... (3)
Zindagi... (2)
Mein hain tumbin yeh viraaniya... (3)

Sune sune sare raste hain
Suni manzil hai jaana
Suni suni si meri aankhein hai
Suna yeh dil hai jaaana jaana... (3)
Mujhe ghrre hai sirf tanhaiyaan
Mere dil mein hain sirf khaamoshiyan zindagi... (2)
Mein hain tumbin
Yeh viraaniya... (3)

Saans jab luun to
Seene mein jaisi saans chubhti hai jaana
Dil abb tak ummid ki ik faans chubhti hai janaa jaana... (3)
Khwaab sare mere, tutne hi ko hai
Tinke bhi haaath se, chutne hi ko hai zindagi... (2)
Mein hain tumbin
Yeh viraaniya... (5)

Rafta rafta dekho dekho kya hogaya

Song : Rafta Rafta Dekho Dekho Kya Hogaya
Movie : Namastey London
Music : Himesh Reshammiya
Lyrics : Javed Akhtar
Singers : Himesh Reshammiya



Rafta rafta...
Rafta rafta dekho dekho kya hogaya
Rafta rafta
Rafta rafta dekho dekho kya hogaya
Rafta dekho rafta... (2)

Rafta rafta jo tha begana tera huwa
Rafta rafta mera afsaana tera huwa
Dil ko naaz tere ishq se aashina... (2)
Rafta rafta jo tha begana tera huwa
Rafta rafta dekho dekho kya hogaya
Rafta rafta
Rafta rafta dekho dekho kya hogaya
Rafta dekho rafta

Tu hai meri subahon mein
Tu hai meri raaton mein
Tujse aur mein kya kahoon
Tu agar hai to, mein hoon
Tu vhaum hai mera, ya ke tera jaadu hai
Lagta hai ki phoolon mein, sirf teri khusboo hai
Dil ko naaz tere ishq se aashina
Rafta rafta jo tha begana tera huwa
Rafta rafta mera afsaana tera huwa

Lamha lamha tere bin zindagi adhuri thi
Tujhko paa ke jaana hain, kitni tu jaroori thi
Chaand taare dekhon to, yeh nazar bhi aata hai
Kehkashaa ke raste mein, tera ghar bhi aata hain
Dil ko naaz tere ishq se aashina
Rafta rafta jo tha begana tera huwa
Rafta rafta mera afsaana tera huwa
Dil ko naaz tere ishq se aashina
Rafta rafta dekho dekho kya hogaya rafta rafta
Rafta rafta dekho dekho kya hogaya rafta dekho rafta... (2)

Main Jahaan Rahoon Main Kahin Bhi Hoon

Song : Main Jahaan Rahoon, Main Kahin Bhi Hoon
Movie : Namastey London
Music : Himesh Reshammiya
Lyrics : Javed Akhtar
Singers : Rahat Fateh Ali Khan, Krishna & Himesh Reshammiya




Main Jahaan Rahoon Main Kahin Bhi Hoon
Teri yaad saaath hai... (2)

Kisi se kahoon
Ke nahi kahoon
Yeh jo dil ki baat hai
Kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
Per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
Bas yaad saath hai
Teri yaad saaath hai... (3)
Main jahaan rahoon
Main kahin bhi hoon
Teri yaad saaath hai

Kahin to dil mein yaadon ki
Ek suli gad jaati hai
Kahin har ek tasveer bhahut hi dhondhali pad jati hai
Koi nayi duniya ke naye rango mein khush rehta hai
Koi sab kuch paake bhi yeh mann hi mann kehta hai
Kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
Per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
Bas yaad saath hai
Teri yaad saaath hai... (3)

Kahin to beete kal ki jadein
Dil mein hi utar jaati hai
Kahin jo dhage tute to malaayen bhikar jaati
Koi dil mein jagah nayi, baaton ke liye rakhta hai
Koi apni palko par yaadon ke diye rakhta hai
Kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
Per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
Bas yaad saath hai
Teri yaad saaath hai... (3)

ad

In Association with Amazon.in