Showing posts with label Jeet Gannguli. Show all posts
Showing posts with label Jeet Gannguli. Show all posts

Friday, May 29, 2015

Rafta Rafta

Song: Rafta Rafta
Movie: Raaz 3 (2012)
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Sanjay Masoom

Rafta rafta ho gayi Tu hi meri zindagi [rafta: slowly]
Rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshni

Sajde mein tere sar hai, thoda sa dil mein darr hai
Kaise karoon main bayaan?
Jaanu naa, Jaanu naa, Jaanu naa...
Rafta rafta ho gayi

Chaahe deedar tera nazre jhuke bhi
Mere kadam chalna chahe ruke bhi
Lab bhi kuch kehna chahe
Lekin gum hai sab baatein
Gumsum si bhi hai zubaan

Rafta rafta ho gayi tu hi meri zindagi
Rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshni
Sajde mein tere sar hai, thoda sa dil mein darr hai
Kaise karoon main bayaan?
Jaanu naa, Jaanu naa, Jaanu naa...
Rafta rafta ho gayi

Mera wajood ab tu mujhme hai shaamil
Sohbat mein teri mujhe sab kuch haasil
Phir kyun lagta hai aisa
Jaise main hoon khud bekhud saa
Dhoondu main khud ko kahaan

Rafta rafta ho gayi Tu hi meri zindagi
Rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshni
Sajde mein tere sar hai, thoda sa dil mein darr hai
Kaise karoon main bayaan?
Jaanu naa, Jaanu naa, Jaanu naa...
Rafta rafta ho gayi


Zindagi Se

Song: Zindagi Se
Movie: Raaz 3 (2012)
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Sanjay Masoomm

Zindagi se chura ke
Zindagi mein basa ke
Zindagani banaya hai tujhe

Roothe rab ko mana ke
Aasmaan ko jhuka ke
Zindagani banaya hai tujhe

Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile... Bakhuda
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya 

Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda

Zindagi se churaa ke
Zindagi me basaa ke
Zindagani banaaya hai tujhe

Mehfooz tu mehsoos kar, tere paas hoon main sada
Tujhse nahi ho sakta main pal bhar bhi ab juda
Ab saath hain hum is tarah aankhon ke sang palke
Aa waqt ko yeh baat hum ik baar phir se keh dein
Saare gham se chhupa ke, har nazar se bacha ke
Zindagani banaaya hai tujhe

Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile... Bakhuda
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda

Baahon mein aa ho jayenge shiqwe sabhi khud fanaa 
Hothon se main tujh ko sunu aankhon se tu kuch sunaa
Tu aks ahi main aaina, phir kya hai sochna
Ik doosere mein kho ke hai ik-doosre ko paana

Kismaton ko jagaa ke, har jahaan ko hara ke
Zindagani banaya hai tujhe

Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile... Bakhuda
Tu mila tto jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda


Monday, May 18, 2015

Shakira

Song: Shakira
Movie: Welcome To Karachi (2015)
Singer: Shalmali Kholgade
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Kausar Munir

Mehfil mein meri aapka
Welcome hai hazraat
Bhool ke gole aur bamb
Relax kijiye aaj
Arrey arrey...!
Abhi abhi to aayein hain
Uthna nahi janaab
Shamma hoon nayi nayi
Jalungi saari raat..

O meri shaame awadh se aayi hai
Meri subha Banaras layi hai
Raatein Bumbai se churai hai
Raatein Bumbai se churai hai

Laali Lahoriya, baali Balochiya
Jawaani **.. hai ai ai...
Pindi de patthe bhi
Delhi de munde bhi
Kende Karachi ki main haa Shakira
Shakira.. Shakira.. Shakira.. Shakira!
Shakira.. Shakira.. Shakira.. Shakira!


La la la pina hai
Lo lo lo lita hai
Chh chh chh chadd de tu mujhpe
Ha ha ha haseena hai
Ho ho ho hottie haa
Bha bha bhul jaaye tu mujh se
Al Pacino bhi, Al Kamino bhi
Khuda de bandey ho jayein

Pindi de patthe bhi
Delhi de munde bhi
Kende Karachi ki main haa Shakira
Shakira.. Shakira.. Shakira.. Shakira!
Shakira.. Shakira.. Shakira.. Shakira!


Ishqedarriyaan (Title)

Song: Ishqedarriyaan (Title)
Movie: Ishqedarriyaan (2015)
Singer: Ankit Tiwari
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Kauser Munir

Rishtedariyan chhod jaayein
Ishqedarriyaan sang jaayein
Dildaariyaan dhal jaayein
Ishqedarriyaan rang jaaein
Mattha bhi mitthi bhi laage
Khatta bhi meethi bhi laage
Thodi si teekhi bhi ishqdaari

Kacchi bhi pakki bhi laage
Jhooti bhi sacchi bhi laage
Thodi si acchi bhi ishqdaari
Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa..

Din raat ki baahon mein kho jaayein
Dil jinse miley, apne ho jaayein
Subah ki bholi bhi laage
Shaam ki bhaali bhi laage
Thodi si bhooli bhi ishqdaari

Kacchi bhi pakki bhi laage
Jhooti bhi sacchi bhi laage
Thodi si acchi bhi ishqdaari
Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa..

Aaja main haathon ko badh jaayein
Aa khud apni duniya bann jaayein
Chhat na chhajja na chaahe
Lajj na lajja na chaahe
Thodi si bacchi bhi ishqdaari

Rishtedariyan chhod jaayein
Ishqedarriyaan sang jaayein
Dildaariyaan dhal jaayein
Ishqdariyan rang jaayein
Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa..


Sunday, May 3, 2015

Citylights (Title Song)

Song: Citylights (Title Song)
Movie: Citylights (2014)
Singer: Ustad Rashid Khan, Usha Uthup
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Rashmi Singh


Bhaage bhaage bhaage manwa yeh
Tu toh dole, hai baawra
Bhaage bhaage bhaage manwa yeh 
Tu toh dole, hai baawra

Yahaan chaand fitrat ka kala
Yahaan chaand fitrat ka kala
Din raat aankhon mein chubhti roshni

City lights
Citylights.. citylights
City lights
Citylights.. citylights


Yahaan hai andhera ujaala
Yeh hai ek makdi ka jaala
Raftaar se lad raha kaarvan
Yahaan hai andhera ujaala
Yeh hai ek makdi ka jaala
Raftaar se lad raha kaarvan

Bhaage bhaage bhaage manwa yeh
Tu toh dole, hai baawra
Bhaage bhaage bhaage manwa yeh 
Tu toh dole, hai baawra

Aa aa...

Yahaan hai andhera ujaala
Yeh hai ek makdi ka jaala
Raftaar se lad raha kaarvan
Yahaan hai andhera ujaala
Yeh hai ek makdi ka jaala
Raftaar se lad raha kaarvan

City Lights
CityLights.. citylights

Bhaage bhaage bhaage
City lights
Bhaage bhaage bhaage
CityLights.. citylights
Bhaage bhaage bhaage
City lights
Bhaage bhaage bhaage
Aa...

Citylights into the heart of darkness...


Darbadar

Song: Darbadar
Movie: Citylights (2014)
Singer: Neeti Mohan
Music: Jeet Ganguly
Lyrics: Rashmi Singh


Darbadar phire, jaane tu kahaan
Kaun si gali, kaun sa jahaan
Dhoondhe jo tu pagle
Nahi woh yahaan
Nahi woh yahaan
Nahi woh yahaan..

Darbadar phire, jaane tu kahaan
Kaun si gali, kaun sa jahaan
Dhoondhe jo tu pagle
Nahi woh yahaan
Nahi woh yahaan
Nahi woh yahaan..
Darbadar phire
Darbadar phire
Darbadar phire...

Kahaan ja raha hai
Kyun ja raha hai
Kaisa junoon hai yeh
Do pal thehar ja
Saanson ko apni, thoda sukoon toh de
Kiski chali hai uske aage
Teri chalegi kahaan.. ho..

Darbadar phire, jaane tu kahaan
Kaun si gali, kaun sa jahaan
Dhoondhe jo tu pagle
Nahi woh yahaan
Nahi woh yahaan
Nahi woh yahaan..
Darbadar phire
Darbadar phire
Darbadar phire...

Iss duniya mein aane waale, Ik din jaayega
Muft mein jeene waale ik din, Karz chukaayega
O re musaafir baat samajh le
Tera nahi ye jahaan ho..

Darbadar phire, jaane tu kahaan
Kaun si gali, kaun sa jahaan
Dhoondhe jo tu pagle
Nahi woh yahaan
Nahi woh yahaan
Nahi woh yahaan..

Darbadar phire
Darbadar phire
Darbadar phire...


Soney Do

Song: Soney Do
Movie: Citylights (2014)
Singer: 
Arijit Singh
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Rashmi Singh
                                 

Soney do, khwaab bone do
Soney do, khwaab bone do

Jaagenge phir thaamenge
Koi wajah jeene ki
Sone do, khwaab bone do
Hmmm sone do.. khwaab bone do

Parchhaayi ke peechhe peechhe
Bhaag raha hai mann
Chaand ko mutthi mein bharne ko
Karta roz jatan
Pyaase se iss panchhi ko
Koi nadi milne do naa..
Sone do, khwaab bone do
Sone do, khwaab bone do

Itne saare chehre hain
Aur tanha sab ke sab
Tere shehar ka kaam hai chalna
Yun hi be-matlab
Cheharon ke iss mele mein
Apna koi milne do naa..
Soney do, khwaab bone do

Soney do, khwaab bone do..


Ek Charraiya

Song: Ek Charraiya
Movie: Citylights (2014)
Singer: 
Arijit Singh
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Rashmi Singh


Ek chiraiya ghonsle ko chhod udd udd jaaye
Aur ye soche kaash aisa ho kadam mud jaaye


Ik chiraiya ghonsle ko chhod ud ud jaaye
Aur ye soche kaash aisa ho kadam mud jaaye

Tinka tinka kar batora aur banaaya ghar
Par samay ki barishon ne kar diya beghar
Kar diya beghar.. kar diya begharr..

O musafir dheer dhar
Aayega sooraj idhar
Kaahe bhaage.. kaahe bhaage..
Door jitna jaayega
Laut phir naa paayega
Kaahe bhaage.. kaahe bhaage..

Ek charraiya ko paraaya des kaise bhaaye
Gaaon ka peepal puraana yaad usko aaye
Tinka tinka kar batora aur banaaya gharr
Par samay ki barishon ne kar diya begharr
Kar diya beghar.. kar diya begharr..

Yeh jo asuan ki ladi
Beh rahi hai har ghadi
Tere aage.. tere aage..
Yaad rakh har mod par
Ek nayi subah khadi
Kaahe bhage.. kaahe bhaage..

Ik chiraiya aansuon se lad jhagad so jaaye
Raah pathreeli hai lekin hausla na jaaye
Tinka tinka kar batora aur banaaya gharr
Par samay ki baarishon ne kar diya begharr
Kar diya beghar.. kar diya begharr..


Muskurane ki Wajah Tum Ho

Song: Muskurane ki Wajah Tum Ho
Movie: Citylights(2014)
Singer: Arijit Singh
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Rashmi Singh

Muskurane ki wajah tum ho
Gungunane ki wajah tum ho

Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye na..
O re piya re..
Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye na..
O re piya re..

O re lamhe tu kahin mat jaa
Ho sake toh umr bhar tham jaa
Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye naa..
O re piya re..
Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye naa..
O re piya re.. piyaa re..

Dhoop aaye toh, chhaanv tum laana
Khwahishon ki baarishon mein
Bheeg sang jaana (x2)

Jiya jaaye na jaaye na jaaye na
O re piya re..
Jiya jaaye na jaaye na jaaye na
O re piya re.. piya re..

Jo mile usme kaat lenge hum
Thodi khushiyaan thode aansu baant lenge hum
Jo mile usme kaat lenge hum
Thodi khushiyaan thode aansu baant lenge hum
Jiya jaaye na jaaye na jaaye na
O re piya re..
Jiya jaaye na jaaye na jaaye na
O re piya re.. piya re..

Muskurane ki wajah tum ho
Gungunane ki wajah tum ho
Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye na
O re piya re.. 
Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye na
O re piya re.. piya re...
Piya re...
Wo o ho... oo...


Friday, April 17, 2015

Khamoshiyan (Title)

Song: Khamoshiyan (Title)
Movie: Khamoshiyan (2015)
Singer: Arijit Singh
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Rashmi Singh

Khamoshiyan aawaaz hain
Tum sun'ne to aao kabhi
Chhukar tumhe khill jaayengi
Ghar inko bulaao kabhi
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua
Jahaan se zamaane ko guzre zamaana hua
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
Bataaun tumhe kya mere sath kya kya hua

Khamoshiyan ek saaz hai
Tum dhun koi laao zaraa
Khamoshiyan alfaaz hain
Kabhi aa gunguna le zara
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa.. haa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahaan
Khili chandani mein chhipi lakh khamoshiyan
Baarish ki boondon ki hoti kahaan hai zubaan
Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan

Khamoshiyan aakaash hai
Tum udne toh aao zara
Khamoshiyan ehsaas hai
Tumhe mehsoos hoti hai kya
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zara.. haa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan



ad

In Association with Amazon.in