Showing posts with label Khamoshiyan (2015). Show all posts
Showing posts with label Khamoshiyan (2015). Show all posts

Friday, April 17, 2015

Tu Har Lamha

Song: Tu Har Lamha
Movie: Khamoshiyan (2015)
Singer: Arijit Singh
Music: Bobby-Imran
Lyrics: Sayeed Quadri

Waaqif toh huey tere dil ki baat se
Chhupaya jise tune qaaynaat se
Waaqif toh huey tere uss khayal se
Chhupaya jise tune apne aap se
Kahin na kahin teri aankhein,
teri baatein padh rahe hain hum
Kahin na kahin tere dil mein,
dhadkano mein dhal rahe hain hum
Tu Har Lamha.. tha mujhse juda..
Chaahe door tha main.. yaa paas rahaa

Uss din tu haan udaas rahe
tujhe jis din hum na dikhe na miley
Uss din tu chup-chaap rahe
tujhe jis din kuch na kahe na suney
Main hoon bann chuka, jeene ki ik wajah
Iss baat ko khud se tu na chupaa..
Tu Har Lamha.. tha mujhse juda..
Chaahe door tha main.. yaa paas rahaa

Lab se bhale tu kuch na kahe
Tere dil mein hum hi toh base yaa rahe
Saansein teri iqraar kare
Tera haath agar chhulein, pakde
Teri khwahishein kar bhi de tu bayaan
Yehi waqt hai inke izhaar ka..
Tu Har Lamha.. tha mujhse juda..
Chaahe door tha main.. yaa paas rahaa


Khamoshiyan (Title)

Song: Khamoshiyan (Title)
Movie: Khamoshiyan (2015)
Singer: Arijit Singh
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Rashmi Singh

Khamoshiyan aawaaz hain
Tum sun'ne to aao kabhi
Chhukar tumhe khill jaayengi
Ghar inko bulaao kabhi
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua
Jahaan se zamaane ko guzre zamaana hua
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
Bataaun tumhe kya mere sath kya kya hua

Khamoshiyan ek saaz hai
Tum dhun koi laao zaraa
Khamoshiyan alfaaz hain
Kabhi aa gunguna le zara
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa.. haa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahaan
Khili chandani mein chhipi lakh khamoshiyan
Baarish ki boondon ki hoti kahaan hai zubaan
Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan

Khamoshiyan aakaash hai
Tum udne toh aao zara
Khamoshiyan ehsaas hai
Tumhe mehsoos hoti hai kya
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zara.. haa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan



ad

In Association with Amazon.in