Showing posts with label Manisha Koirala. Show all posts
Showing posts with label Manisha Koirala. Show all posts

Friday, August 16, 2013

Dil ne kaha chupke se

Song : Dil ne kaha chupke se
Movie : 1942: A love Story
Music : R. D. Burman
Singers : Kavita Krishnamoorthy



Dil ne kaha chupke se
Ye kya hua chupke se

Kyon naye lag rahe hain ye dharti gagan
Maina poochha to boli ye pagli pawan
Pyaar hua chupke se
Ye kya hua chupke se

Kyon naye lag rahe hain ye dharti gagan
Maina poochha to boli ye pagli pawan
Pyaar hua chupke se
Ye kya hua chupke se

Titliyon se ye suna
Titliyon se ye suna
Maine kissa baagh ka
Baagh mein thi ek kali
Sharmeeli anchhui
Ek din manchala bhanvra aa gaya
Khil uthi vo kali paaya roop naya
Poochhti thi kali ki mujhe kya hua
Phool hanse chupke se
Pyaar hua chupke se

Maine baadal se kabhi
Ho maine baadal se kabhi
Ye kahaani thi suni
Parvaton ki ek nadi
Milne saagar se chali
Jhoomti ghoomti
Ho naachti dolti
Kho gayi apne saagar mein jaake nadi
Dekhle pyaar ki aisi jaadugari
Chaand khila chupke se
Pyaar hua chupke se

Kyon naye lag rahe hain ye dharti gagan
Maina poochha to boli ye pagli pawan
Pyaar hua chupke se
Ye kya hua chupke se

Kyon naye lag rahe hain ye dharti gagan
Maina poochha to boli ye pagli pawan...

Rimjhim rimjhim rumjhum rumjhum

Song : Rimjhim rimjhim rumjhum rumjhum
Movie : 1942: A love Story
Music : R. D. Burman
Singers : Kumar Sanu & Kavita Krishnamoorthy



Rimjhim rimjhim rumjhum rumjhum
Bheegi bheegi rut mein tum hum hum tum
Chalte hain

Bajta hai jaltarang teal ki chhat pe jab
Motiyon jaisa jal barse
Boondon ki ye ldai laayi hai vo ghadi
Jiske liye hum tarse
Ho ho ho bajta hai jaltarang teal ki chhat pe jab
Motiyon jaisa jal barse
Boondon ki ye ldai laayi hai vo ghadi
Jiske liye hum tarse

Ha ha ha rimjhim rimjhim rumjhum rumjhum
Bheegi bheegi rut mein tum hum hum tum
Ho chalte hain
Chalte hain

Baadal ki chaadarein odhe hain vaadiyaan
Saari dishayein soyi hain
Sapnon ke gaon mein bheegi si chhaon mein
Do aatmayein khoyi hain
Ho baadal ki chaadarein odhe hain vaadiyaan
Saari dishayein soyi hain
Sapnon ke gaon mein bheegi si chhaon mein
Do aatmayein khoyi hain

Rimjhim rimjhim rumjhum rumjhum
Bheegi bheegi rut mein tum hum hum tum
Ho chalte hain
Chalte hain

Aaye hain dekhne jheelon ke aaine
Belon ko khole ghatayein
Raah hai dhuaan dhuaan jayenge hum kahan
Aao yahin reh jayein
Aaye hain dekhne jheelon ke aaine
Belon ko khole ghatayein
Raah hai dhuaan dhuaan jayenge hum kahan
Aao yahin reh jayein

Rimjhim rimjhim rimjhim
Rumjhum rumjhum rumjhum
Bheegi bheegi rut mein hey hey tum hnum hum tum
Ho chalte hain
Chalte hain

Rimjhim rimjhim rimjhim rimjhim
Rumjhum rumjhum rumjhum rumjhum
Bheegi bheegi rut mein tum hum hum tum
Ho chalte hain
Chalte hain...

Ek ladki ko dekha toh aisa laga

Song : Ek ladki ko dekha toh aisa laga
Movie : 1942: A love Story
Music : R. D. Burman
Singers : Kumar Sanu



Ho ek ladki ko dekha toh aisa laga
Ek ladki ko dekha toh aisa laga
Jaise khilta gulaab
Jaise shaayar ka khwaab
Jaise ujli kiran
Jaise van mein hiran
Jaise chaandni raat
Jaise naghme ki baat
Jaise mandir mein ho ek jalta diya
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga

Ho ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise subahon ka roop
Jaise sardi ki dhoop
Jaise veena ki taan
Jaise rangon ki jaan
Jaise balkhaaye bel
Jaise lehron ka khel
Jaise khushboo liye aaye thandi hava
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga

Ho ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise naachta mor
Jaise resham ki dor
Jaise pariyon ka raag
Jaise sangdal ki aag
Jaise sola sighaar
Jaise rasti fuhaar
Jaise aahista aahista badhta nasha
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga

ad

In Association with Amazon.in