Showing posts with label Manoj Muntashir. Show all posts
Showing posts with label Manoj Muntashir. Show all posts

Saturday, July 29, 2017

Mere Rashk E Qamar

Song: Mere Rashk E Qamar
Movie: Baadshaho (2017)
Singer: Nusrat Fateh Ali KhanRahat Fateh Ali Khan
New Lyrics: Manoj Muntashir
Music Recreated: Tanishk Bagchi
Film Directed: Milan Luthria

Mere Rashk E Qamar Tu Ne Pehli Nazar
Jab Nazar Se Milaayi Maza Aagaya
Barq Si Gir Gayi Kaam Hee Kar Gayi
Aag Aisee Lagaayi Maza Aagaya

Jaam Mein Ghoul Kar Husan Ki Mastiyaan
Chaandni Muskurai Maza Aagaya
Chaand Ke Sa'ay Mein Ay Mere Saaqiya
Tu Ne Aisee Pilaayi Maza Aagaya

Nasha Sheeshe Mein Angrai Laine Laga
Bazm E Rindaan Mein Saagar Khanakne Laga
Maikade Pe Barasne Lagi Mastiyaan
Jab Ghata Gir Ke Chaayi Maza Aagaya


Be Hijabaana Wo Saamne Aagaye
Aur Jawaani Jawaani Se Takra Gayi
Aankh Unki Laree Yoon Meri Aankh Se
Daikh Kar Ye Laraai Maza Aagaya


Aankh Mein Thee Hayaa Her Mulaqaat Par
Surkh Aariz Hu'ay Wasl Ki Baat Par
Us Ne Sharma Ke Mere Sawaalat Pe
Aise Gardan Jhukaayi Maza Aagaya

Shaikh Sahib Ka Imaan Bik He Gaya
Daikh Kar Husn E Saqi Pigal He Gaya
Aaj Se Pehle Ye Kitne Maghroor The
Lut Gayi Parsaayi Maza Aagaya

Tuesday, May 19, 2015

Galliyan

Song: Galliyan
Movie: Ek Villain (2014)
Singer/Composer: Ankit Tiwari
Lyrics: Manoj Muntashir




( Jab tak hum kisi ke humdard nahi bante na )
( Tab tak hum dard se aur dard hum se juda nahi hota )


O.. Yahin doobe din mere
Yahin hote hain savere
Yahin marna aur jeena
Yahin Mandir aur Madeena... x2

Teri galiyan... galliyan teri, galliyan..
Mujhko bhaavein galiyan, teri galliyan
Teri galiyan...galiyaan teri, galliyan..
Yuhin tadpavein, galliyan teri, Galliyan... 

Tu meri neendo me sota hai
Tu mere ashqo mein rota hai
Sargoshi si hai khayalon mein
Tu na ho, phir bhi tu hota hai
Hai sila.. tu mere dard ka

Mere dil ki duaayein hain..
Teri galiyan... galliyan teri, galliyan..
Mujhko bhaavein galiyan, teri galiyan
Teri galiyan...galiyaan teri, galliyan..
Yuhin tadpaavein, galliyan teri, galliyan..

Kaisa hai rishta tera-mera
Be-chehra phir bhi kitna gehra
Ye lamhe, lamhe ye resham se
Kho jaayein.. kho na jaayein humse
Kaafila.. waqt ka.. rok le..
Abr se juda na ho

Teri galliyan... galliyan teri galliyan..
Mujhko bhaave galiyan teri galiyan
Teri galiyan...galiyaan teri galliyan..
Yuhin tadpaave galliyan teri galliyan..

Galliyan...
Teri galliyan..
Tadpaavein...

Friday, May 1, 2015

O Kamini

Song: O Kamini
Movie: Rang Rasiya (2014)
Singer: Sonu Nigam
Music: Sandesh Shandilya
Lyrics: Manoj Muntashir


Yaad hai apna pehla milan
Shristi ka wo pehla saavan
Tu yugon ki pyaasi dharti thi
Tujhe prem ke baadal ghere thhe
Tere tapte huey tan pe
Jo jhare wo meghdoot sab mere thhe
O kamini, o kaamini

Tere tan mandir mein, mera mann khoya
Jaaga sapna soya soya
Bade lootere naina tore
Sudh-budh main toh bhool gayo re
Ek lachak mein, sau hilkore
Jogan bhaag jagaa de more
O kamini, o kamini
O kaamini..

Kaaya teri, maaya darpan
Ye Indradhanush tujhko arpan
Aa odh loon tujhko o bairan
Jaise dharti odhe neel-gagan
Hum milenge ye tab se tay tha
Jab chamak nahi thi taaron me
Na soch ye neeti kya kehti hai
Aa beh ja meri dhaaron mein
O Kamini.. o Kamini
O Kamini (o kamini..)
O Kaamini..


Wednesday, April 22, 2015

Khuda Bhi

Song: Khuda Bhi
Movie: Ek Paheli Leela (2015)
Singer: Mohit Chauhan
Music: Tony Kakkar
Lyrics: Manoj Muntashir

Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga
Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga
Itni anmol cheez de di kaise, sochta hoga!
Tu be-misaal hai, teri kya misaal doon
Aasmaan se aayi hai, yehi keh ke taal doon
Phir bhi koi jo pooche, kya hai tu kaisi hai
Hathon me rang leke, hawaa me uchaal doon
(hawaa mein uchhal doon..)

Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga
Itni anmol cheez de di kaise, sochta hoga!

Jo bhi zameen tere paaon tale aaye
Kadmon se chooke woh aasmaan ho jaaye
Tere aage pheeke pheeke saare shringar hai
Main toh kya farishte bhi tujhpe nissar hain
Garmi ki shaam hai tu, jaadon ki dhoop hai
Jitne bhi mausam hain, tere karzdaar hain
(tere karzdaar hain..)

Khuda bhi jab tere andaaz dekhta hoga
Itni anmol cheej de di kaise, sochta hoga!

Chehra hai ya jaadu, roop hai ya khwab hai
Aankhein hain ya afsaana, jism ya kitaab hai
Aaja tujhe main padh loon, dil mein utaar loon
Hothon se dekhun tujhe, aankhon se pukar loon
Khwahishein ye kehti hain, kehti rehti hain
Leke tujhe baahon mein shaamein guzaar loon
(shaamein guzaar loon..)

Khuda bhi ab tujhe din raat dhoondta hoga
Itni anmol cheej de di kaise, sochta hoga!


ad

In Association with Amazon.in