Showing posts with label Raaz 3 (2012). Show all posts
Showing posts with label Raaz 3 (2012). Show all posts

Friday, May 29, 2015

Rafta Rafta

Song: Rafta Rafta
Movie: Raaz 3 (2012)
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Sanjay Masoom

Rafta rafta ho gayi Tu hi meri zindagi [rafta: slowly]
Rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshni

Sajde mein tere sar hai, thoda sa dil mein darr hai
Kaise karoon main bayaan?
Jaanu naa, Jaanu naa, Jaanu naa...
Rafta rafta ho gayi

Chaahe deedar tera nazre jhuke bhi
Mere kadam chalna chahe ruke bhi
Lab bhi kuch kehna chahe
Lekin gum hai sab baatein
Gumsum si bhi hai zubaan

Rafta rafta ho gayi tu hi meri zindagi
Rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshni
Sajde mein tere sar hai, thoda sa dil mein darr hai
Kaise karoon main bayaan?
Jaanu naa, Jaanu naa, Jaanu naa...
Rafta rafta ho gayi

Mera wajood ab tu mujhme hai shaamil
Sohbat mein teri mujhe sab kuch haasil
Phir kyun lagta hai aisa
Jaise main hoon khud bekhud saa
Dhoondu main khud ko kahaan

Rafta rafta ho gayi Tu hi meri zindagi
Rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshni
Sajde mein tere sar hai, thoda sa dil mein darr hai
Kaise karoon main bayaan?
Jaanu naa, Jaanu naa, Jaanu naa...
Rafta rafta ho gayi


Zindagi Se

Song: Zindagi Se
Movie: Raaz 3 (2012)
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Sanjay Masoomm

Zindagi se chura ke
Zindagi mein basa ke
Zindagani banaya hai tujhe

Roothe rab ko mana ke
Aasmaan ko jhuka ke
Zindagani banaya hai tujhe

Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile... Bakhuda
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya 

Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda

Zindagi se churaa ke
Zindagi me basaa ke
Zindagani banaaya hai tujhe

Mehfooz tu mehsoos kar, tere paas hoon main sada
Tujhse nahi ho sakta main pal bhar bhi ab juda
Ab saath hain hum is tarah aankhon ke sang palke
Aa waqt ko yeh baat hum ik baar phir se keh dein
Saare gham se chhupa ke, har nazar se bacha ke
Zindagani banaaya hai tujhe

Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile... Bakhuda
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda

Baahon mein aa ho jayenge shiqwe sabhi khud fanaa 
Hothon se main tujh ko sunu aankhon se tu kuch sunaa
Tu aks ahi main aaina, phir kya hai sochna
Ik doosere mein kho ke hai ik-doosre ko paana

Kismaton ko jagaa ke, har jahaan ko hara ke
Zindagani banaya hai tujhe

Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile... Bakhuda
Tu mila tto jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda


ad

In Association with Amazon.in