Showing posts with label Ram Sampath. Show all posts
Showing posts with label Ram Sampath. Show all posts

Saturday, May 2, 2015

Jind Meriye

Song: Jind Meriye
Movie: Purani Jeans (2014)
Music: Ram Sampath
Singer: Navraj Hans


Tera hi nazara mainu, jind meriye
Karde ishara mainu, jind meriye
Tera hi nazara mainu, jind meriye ni
Karde ishara mainu, jind meriye

Khoke tenu mera te jahaan kho gaya haaye
Mil jaa dubara meinu, jind meriye
Tera hi nazara meinu, jind meriye ni
Karde ishara meinu, jind meriye

I'm so lonely without you
I'm so lonely without you

Bada hi rachaya dil, nahi rachta
Tere bina sab ajnabi lagta
Pardes mein ye pardesi hi raha
Bada hi basaya dil, nahi basta

Mod le dubara meinu jind meriye ni
Rach de dobara meinu jind meriye..
Tera hi nazara mainu, jind meriye
Karde ishara mainu, jind meriye
Tera hi nazara menu, jind meriye ni
Karde ishara mainu, jind meriye

I'm so lonely without you
I'm so lonely without you

Yaad badi aaye mujhe woh galiyan
Jahaan kabhi na tha dum ghut.ta
Jahaan har baat badi maasoom thi
Jahaan kabhi na tha dil tut.ta
Pal pal saara meinu, jind meriye ni
Phir de dobara meinu jind meriye

Tera hi nazara mainu, jind meriye
Karde ishara mainu, jind meriye
Gali gali phire Ranjha, Heer nu kahe
Mill ja dobara meinu, jind meriye

Ve aa...
Ve maahi... aa ve
Ve aaja ve maahi!


Dil Aaj Kal

Song: Dil Aaj Kal
Movie: Purani Jeans (2014)
Singer: KK
Music: Ram Sampath
Lyrics: Prashant Ingole


Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal paas rehta nahi


Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal paas rehta nahi
Ye tujhse hi milne ko chaahe
Ye teri hi karta hai baatein
Kya tum ho... Kya tum ho wohi
Kya tum ho... Kya tum ho wohi
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..

Teri aankhon ke raste ye chale jaata hai
Jo bulaaun main kabhi, laut aata nahi
Bekhabar ye zamaane se takraata hai
Bedhadak mujhse kehta hai "Main hoon yunhi"
Ye tujhse hi milke huaa hai
Jo teri nazar ne chhuaa hai
Kya tum ho, Kya tum ho wohi
Kya tum ho, Kya tum ho wohi..

Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..

Hai hunar ek naya isko tujhse mila
Muskura ke ye milta hai sabse abhi
Aadhi raaton mein mujhko ye deta utha
Mujhse pooche ye raatein kyun kat.te nahi
Ye tujhse hi milne ko chaahe
Ye teri hi karta hai baatein
Kya tum ho, Kya tum ho wohi
Kya tum ho, Kya tum ho wohi..

Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..


Yaari Yaari

Song: Yaari Yaari
Movie: Purani Jeans (2014)
Singer: Ram Sampath
Music: Ram Sampath
Lyrics: Ashish Pandit

Ho hai zara si meethi-meethi halki si khaari
Yari yari, yaari yaari, yaari yaari..

Ho.. yaar woh jo samjhe baat bin bole saari
Yaari yaari, yaari yaari, yaari yaari..

Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Zinda yaaron se hui zindagi
Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Teri-meri, meri-teri yaari-yaari
Hoo.. hoo...

Ho kachchi pakki gullakon to tod-taad kar
Chillaron ko apney saare jod-jaad kar
Tere hisse ki main smile ko khareed lun
Meri smile ka kahin na kahin se tu jugad kar
Chai wale adde ki bhi chai se hai pyari
You know..
Yaari yaari, yaari yaari, yari yari..
Wo.. jiski chal rahi hai abhi tak udhaari
Yaari yaari, yaari yaari, yari yari..

Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Zinda yaaron se hui zindagi
Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Teri-meri, meri-teri yaari yaari
hoo hoo.. hoo hoo..
Beer ke nashe mein talli hoke jhoom lein
Mastiyon ke raaste mein jhande gaad dein
Hosh humse apna ghar ke le agar pata
Arey hosh se kahein ki hum hai aish mein pale

Class bunk maar ke pahaadon pe jaari (What?)
Yaari yaari, yaari yaari, yari yari..

Wo ho.. ghar pe goli deke bhaagne ki bimari (wassup?)
Yaari yaari, yaari yaari, yaari yaari..

Go!
Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Zinda yaaron se hui zindagi
Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Teri-meri..
Meri-teri yaari yaari
oo.. hoo.. hoo..


Thursday, April 30, 2015

Dharavi Rap

Song : Dharavi Rap
Movie: Bhoothnath Returns (2014)
Singers: Parth Bhalerao, Anish
Music: Ram Sampath
Lyrics: Munna Dhiman


Chal chashme par wiper daal
Kaan ka kaapus nikaal
Suna rela hai dastaan
This is Dharavi meri jaan

Phatela parda hai
Lower sole ka seat hai
Dharavi ka picture bheedu
Phir bhi superhit hai
Hit it...

Ye apun ka ilaaka
Full Bollywood dhamaaka
Ek fillam ka ticket mein
100 fillam ka majaa (x2)

Isme maa Meena Kumari hai
Aur baap ko unknown beemari hai
Bhai mister bechara hai
Aur siter misses kunwari hai
'Rok sako toh rok lo' ka morning raaga hai
Jagta hawaldar ko dekh ke, Milkha bhaaga hai

Romance kadak hai
Fight ke bhi scene hai
Idhar aamsu without glycerin
Balam pichkari hai (Yeah, Yeah..)
Ferrari ki sawaari hai (Yeah, Yeah..)
Thakur shaq ke ghere mein hai
Basanti ka pair bhaari hai

Ye apun ka ilaaka
Full Bollywood dhamaaka
Ek fillam ka ticket mein
100 fillam ka majaa (x2)

Yahaan Devdas ke 3 show daily hai
Ram jaane Ganga kab se maili hai
Tragedy ke saath comedy ka waada hai
Hero se villain ka role jyada hai

Teen guna lagaan (Yeah, Yeah..)
Jhuk gayaa aasmaan (Yeah, Yeah..)
Sabka ek hi .... (Yeah, Yeah..)
Main pareshan, pareshan, pareshan!

Ye apun ka ilaaka
Full Bollywood dhamaaka
Ek fillam ka ticket mein
100 fillam ka majaa (x2)

Aaau...
Chal Bheedu...
Aaau..


Sahib

Song: Sahib
Movie: Bhoothnath Returns (2014)
Singer: Rituraj
Music: Ram Sampath
Lyrics: Munna Dhiman


Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna
Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna
Tera karam sabko mile, sabki fikar rakhna
Saahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Naa aadmi ki aadmi jhele gulamiyan
Naa aadmi se aadmi maange salaamiyan
Jo fark paida ho rahe woh fark gark ho
Sabko barabar baant ye dharti ye aasmaan
Koi bhi na ho dard mein, sabki khabar rakhna
Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna
Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Sab sar utha ke chal sake, sabko ye bal mile
Koi kisi awaaz ko, daata kuchal na de
Yahan kaam bhi sabko mile, aaraam bhi sabko
Mehnat kare jo aadmi, mehnat ka phal mile
Har bol pe, har baat pe, apna asar rakhna
Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna
Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna
Maula... Maula...


Har Har Gange

Song: Har Har Gange
Movie: Bhoothnath Returns (2014)
Singer: Aman Trikha
Music: Ram Sampath
Lyrics: Kunwar Juneja


Ae duniya paave pange
Phir bole har har gange (x4)

Ha.. ha.. Jhooth bolti to keh deti "kholo iski pol"
Chaaron taraf yehi chalta hai saari duniya gol
Apna raag hai, apni dafli, sabke apne dhol
Arey jisko dekho uske dil mein hai matlab ka hole

Ae duniya paave pange
Phir bole har har gange (x2)

Kam kar de saare mande
Phir bole har har gange
Aye duniya paave pange
Phir bole har har Gange

Bada tedha zamaana hai
Nai sunnda nai mannda
Jisey jo theek lagda hai
Wo manmauji wahi karda

Arey paise ke pahiye pe
Chalti saari rishtedaari
Oho paani mein petrol milake
Chalti hai ye gaadi
Tan ujle mann kaale inke
Sapne hain atrange

Ae duniya paave pange
Phir bole har har gange (x2)

Kam kar de saare mande
Phir bole har har gange
Aye duniya paave pange
Phir bole har har Gange

Karein baatein karodon ki
Nahin yeh fake lagde hain
Hai sab kuch loan pe phir bhi
Yeh up-to-date lagde hain
Arey khao piyo aish karo
Kaisi generation aayi
Arey upar ke paison pe sabki
Nazar yahaan hai bhai
Honesty ka path padhaaye
Luchche aur lafange

(Jis vyakti se aap sampark karna chaahte hain wo filhal uplabdh nahi hai)

Ae duniya paave pange
Phir bole har har gange (x2)

Kam kar de saare mande
Phir bole har har gange
Aye duniya paave pange
Phir bole har har Gange
Gange...


ad

In Association with Amazon.in