Showing posts with label Ranveer Singh. Show all posts
Showing posts with label Ranveer Singh. Show all posts

Monday, May 18, 2015

Pehli Baar

Song: Pehli Baar
Movie: Dil Dhadakne Do (2015)
Singers: Siddharth Mahadevan & Sukirti Kakkar 
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Javed Akhtar

Pehli baar tumko maine jab dekha tha
Pehli baar tumko maine jab dekha tha
Sun lo yaar ki maine kya socha tha
Laga ki tumse milna tha tabaahi
Iss dil ko hi samjhaane maine kahaa
Iss raste na jaana kabhi raahi
Yeh tere liye hai hi nahi
Dil mera bol utha..
Hone do ab jo bhi ho, darna kya
Bhala-bura hone do ab jo bhi ho

Kya dil ki sun li tumne
Kya raah chun li tumne
Haan dil ki sun li maine
Haan raah chun li maine

Pehli baar tumko maine jab dekha tha
Sun lo yaar ki maine kya socha tha
Laga ki mashvare sunte ho dil ke
Laga ki thode se ho tum deewane se
Karoge dil ki baatein phir milke
Aur hongi ye baatein badi haseen
Dil mera bol utha..
Hone do ab jo bhi ho, darna kya
Bhala-bura hone do ab jo bhi ho

Kya dil ki sun li tumne
Kya raah chun li tumne
Haan dil ki sun li maine
Haan raah chun li maine

Leharon mein jaise lehrein milein
aise mill gayi dilon ki dhadkan
Chalte hi chalte raahon mein
khoye khoye hain dono tan mann
Hum paas aaye to kyun paas aaye
Socho toh baat hai zaraa si
Kuch tum bhi pyaase pyaase thhe kab se
Main bhi thi pyaasi pyaasi

Lagaa ki tumse milna tha tabaahi
Iss dil ko hi samjhaane maine kahaa
Iss raste na jaana kabhi raahi
Yeh tere liye hai hi nahi
Dil mera bol utha..
Hone do ab jo bhi ho, darna kya
Bhala-bura hone do ab jo bhi ho

Kya dil ki sun li tumne
Kya raah chun li tumne
Haan dil ki sun li maine
Haan raah chun li maine


Wednesday, April 29, 2015

Gunday (Title)

Song: Gunday (Title)
Movie: Gunday (2014)
Singers: Sohail Sen (Rap: Kinga Rhymes)
Lyrics: Irshad Kamil
Music: Sohail Sen



woah woah, let's go 
Go back partners in crime
No one here be stoppin' our crime
We're still in Trinity times
Crossin' all the sanity lines
Never ever drop back down no
Greater the talk, better the show
Bikram Bala make it one day
So watch out, watch out, for Gunday

Aag hai, angaar hai
Tevar hi talwaar hai
Koyale ki khaano se hum
Nikle deewaanon se hum
Ke Rab apna hai
Hum hain Rab ke bande

Gunday.. Gunday.. Gunday!

Paida huve bheed mein
Par nikal aaye bheed se
Woh bole hum gunday
Par hum bas veer hain

Koyle se nikle do heere
Gunday aaye tode saari zanjeere
Ruke na hum, aise teer hain

Ho.. raaton se din chheena hai
Chadhte sooraj sa seena hai
Daudta rag mein hai
Yeh khoon tezaab sa.. (x2)

Ho... koyale ki khano se hum
Nikle deewaanon se hum
Ye Rab apna hai
Hum hain Rab ke bande

Gunday.. Gunday.. Gunday!


Mann Kunto Maula

Song: Mann Kunto Maula
Movie: Gunday (2014)
Singers: Altamash Faridi, Shadab Faridi
Lyrics: Irshad Kamil
Music: Sohail Sen


Aa... aa... a aa... aa...
Maula.. Ali.. Ali Maula..

Gunaah mere bade hain
Hai tera dil bhi bada
Gunaah mere bade hain
Hai tera dil bhi bada
Yaqeen hai maaf karega
Tabhi hoon dar pe khada

Mann Kunto Maula.. Maula Ali Ali..
Mann Kunto Maula..
Maula Ali Ali.. Maula Ali Ali..
Mann Kunto Maula.. 
Ali.. Maula.. Maula..

Tera dar hai, mera sar hai
Tera dar hai, mera sar hai

Tu mera mushkil kusha
Tu mera Ali Wali..
Tu mera mushkil kusha
Tu mera Ali Wali...

Mann Kunto Maula.. 
Fa haaza Ali-Un Maula
Mann kunto maula.. 
Fa haaza Ali-Un Maula

Tere baghair jo guzre woh zindagi kya hai
Tu agar saath ho mujhko to phir kami kya hai

Aana... dere na re na na.. More nena..

Tere baghair jo guzre woh zindagi kya hai
Tu agar saath ho mujhko to phir kami kya hai
Raah mushkil mein bhi main hadd se guzar jaaunga
Tu agar sath na ho to main kidhar jaaun na

Mann Kunto Maula.. 
Fa haaza Ali-Un Maula
Mann Kunto maula.. 
Fa haaza Ali-Un Maula

Mann Kunto Ali Maula..
Mann Kunto Ali Maula..
Mann Kunto Ali Maula..
Fa haaza Ali-Un Maula Maula
Mann Kunto Ali maula..
Ali Maula Maula.. Ali Maula..

Mann Kunto Ali Maula..... (x6)


Tuesday, April 28, 2015

Saaiyaan

Song: Saaiyaan
Movie: Gunday (2014)
Singer: Shahid Mallya
Lyrics: Irshad Kamil
Music: Sohail Sen



Kal Meera tadpi Kaanha ko
Sab laaj samaaj ganwaai re
Ab prem mein tadpan tarsan ki
Hai baari Kaanha ki aayi re

Mori jaan gayi (mori jaan gayi)
O.. tora khel hua (tora khel hua)
Mujh se main rootha
Mujh mein main toota..

O.. mujh se main rootha
Mujh mein main toota
Mujhko maine ishq wafaa mein
Khud hi hai loota (khud hi hai loota..)

Lut-lut ke.. lut-lut ke..
Jeena hai marna baanke yaar bina

Saaiyaan.. hun main ki karaan
Saaiyaan.. jee laan ya maraan
Saaiyaan.. Rab mujhse khafaa
Saaiyaan.. (x2)

Mujh se main rootha
Mujh mein main toota
Mujhko maine ishq wafaa mein
Khud hi hai loota
Lut-lut ke.. lut-lut ke..
Jeena hai marna baanke yaar bina

Saaiyaan.. hunn main kee karaan
Saaiyaan.. jee laan ya maraan
Saaiyaan.. Rab mujhse khafa
Saaiyaan.. (x2)

Ho.. sapnon ke sheeshe toote
Dukh ki daraar se
Chaah ke bhi nikle na mann majhdhar se
Koi bhi na bole aur koi bhi bulaaye na
Phir bhi aawaazein sune baadlon ke paar se
Rus-rus ke.. rus-rus ke..
Mann se mann jaana khud hi yaar bina

Saaiyaan.. hunn main kee karaan
Saaiyaan.. jee laa ya maraan
Saaiyaan.. Rab mujhse khafa
Saaiyaan.. (x2)


Asalaam-e-Ishqum

Song: Asalaam-e-Ishqum
Movie: Gunday (2014)
Singers: Neha Bhasin, Bappi Lahiri
Lyrics: Irshad Kamil
Music: Sohail Sen


Ishq hai woh aatish Ghalib
Jo jalaaye ne jale
Bujhaaye na bujhe

Apni salamati hai maangti
Tujhse nazar o naazani
Salaam se naakaam se
Dil ki kayi baatein bani

Asalam-e-Ishqum yaara
Asalam-e-Ishqum (x4)

Ho meri aadayein teer hain
Haan meri aadayein teer hain
Meri aadayein teer hain
Mere yaar nishaana tum
Asalaam-e-Ishquum yaara
Asalaam-e-Ishquum
Asalaam-e-Ishquum yaara
Asalaam-e-Ishquum

Apni salamati hai maangti
Tujhse nazar oh naazani
Salaam se nakaam se
Dil ki kayi baatein bani

Haan maar de ya chhod de tu
Rakh le dil ya tod de tu
Aisa koi mod de tu
Zindagi mein ho mazaa

Hey.. aaj hai angdaiyon mein
Mill kabhi tanhaiyon mein
Husn ki parchhaiyon mein
Khoobsoorat ho fiza

Hey husn gali mein senkdon
Re Husn gali mein senkdon
Husn gali mein senkdon
Deewane ho gaye gum
Assalaam-e-Ishqum yara
Assalaam-e-Ishqum
Assalaam-e-Ishqum yara
Assalaam-e-Ishqum

Soch koi raat aisi
Raat mein ho baat aisi
Baat mein barsaat aisi
Jisme bheege manchala

Hey raat ka tanha safar ho
Ishq apne zor par ho
Karwatein kuch humsafar ho
Aag bin ho tan jalaa

Haan ek baar dhuein se husn ke
Ek baar dhuein se husn ke
Ek baar dhuein se husn ke
Thoda sa bhar lo dum
Asalaam-e-Ishqum yaara
Asalaam-e-Ishqum
Asalaam-e-Ishqum yaara
Asalaam-e-Ishqum

Apni salamati hai maangti
Tujhse nazar o naazani
Salaam se naakaam se
Dil ki kayi baatein bani

Asalam-e-Ishqum yaara
Asalam-e-Ishqum... (x4)


Jiya

Song: Jiya
Movie: Gunday (2014)
Singer: Arijit Singh
Lyrics: Irshad Kamil
Music: Sohail Sen


Jiya.. main na jiya
Reza Reza.. mera jiya
Jiya.. main na jiya
Reza Reza.. mera jiya

Main begaana sa
Tha deewana sa
Mujhko teri chaahat ne basa diya

Jiya.. main na jiya
Jiya.. main na jiya
Jiya ha.. main na jiya..

Ho likhun hawaaon pe main
Nainon se naam tera
Ho saaye se main haathon ke
Saaya lun thaam tera

Ishq ka tu haraf
Jiske chaaron taraf
Meri baahon ke ghere ka bane hashiya
(Haraf: a letter, Hashiya: Margin/Indentation)
Jiya.. main na jiya
Reza Reza.. mera jiya
Jiya.. main na jiya
Main na jiya..

Naina, firozi nehar
Khwaabon ke paani mein ghar
O Aise hoon main tere bin
Sehra ki jaise sehar
(Firzoza: A blue/green colored semi-precious stone)
Saans mein tu bhare
Do jahaan se pare
Aake tujhse milun main
Mere sathiyaa..

Jiya.. main na jiya
Reza Reza.. mera jiya
Jiya.. main na jiya
Main na jiya


Tune Maari Entriyaan

Song: Tune Maari Entriyaan
Movie: Gunday (2014)
Singers: Vishal Dadlani, Bappi Lahiri, KK, Neeti Mohan
Lyrics: Irshad Kamil
Music: Sohail Sen


Oh shona, Oh shona...

Oh shonduri..
Tomar monta diye jao
Tara tari eshe jao
Tomar monta diye jao
Tara tari eshe jao
Tang tang tang...

Tune maari entriyaan re
Dil mein baji ghantiyaan re
Tang tang tang...
Tune mari entriyan re
Dil mein baji ghantiyaan re
Tang tang tang...

Dil ki sun commentriyan re
Pyaar ki guarantiyan re
Tang tang tang...

Arey taada taadi karna
Na ab nahi sudharna
Phootne laga hai
Arey chaahaton ka jharna

Dil ki na marammatein ho'n
Naa ho koi warrantiyan re 
Tang tang tang...
Tune mari entriyan re
Dil mein baji ghantiyaan re
Tang tang tang...

Seeti veeti, aankhein vaankhein na yun maaro
Phenko na chaahat ke daane
Haa, Majnu-Ranjhe sare jhuthe hain yahan pe
Jhoothe hain dil ke fasaane

Ho.. chaahe toh, le le tu
Wafaa ki aaj kasme-wasme
Ho.. na hun main, na hai dil
Zara bhi dekh apne bas mein, bas mein

Peechhe meri aashiqon
Peechhe meri aashiqon ki
poori poori countriyan re
Tang tang tang...
Ho.. maine meri entriyaan re
Dil mein baji ghantiyaan re, Tang!
Tang tang tang...

Haan meethi meethi baatein
karke aana chaahe
Bheed se nazdeek pyaare
Haan bhole panchhi tu
na samjhe ke main kya hoon
Sholon ko samjhe tu taare

Ho.. jo bhi hai, jaisi hai
Meri hai jaan maine maana
Ho jo bhi ho jaise ho
Maine hai yaar tujhko paana, paana..

Senti hoke baatein bhi
Arey senti hoke baatein bhi
Tu kar raha hai sentiyaan re, tang!
Tang tang tang...

Haan.. maine maari entriyaan re
Dil mein baji ghantiyaan re..
Tang tang tang...

Arey taada taadi karna
Naa ab nahi sudharna
Phootne laga hai
Arey chaahaton ka jharna

Dil ki na marammatein ho'n
Naa koi warrantiyan re, tang !
Tang tang tang...
Ho ho.. Tune mari entriyan re
Dil mein baji ghantiyaan re, Tang!


Jashn E Ishqa

Song: Jashn E Ishqa
Movie: Gunday (2014)
Singers: Javed Ali, Shadab Faridi
Lyrics: Irshad Kamil
Music: Sohail Sen


Jashn e Ishqa...

Daur-e-ishqa ek jashan hai
Lekin apna alag tashan hai
Khoon mein sulgi ek agan hai
Beh ke dikhlayega yeh tevar (x2)

Chaahat ke dar pe
Dil ka dharna hai
Naa mar ke jeena
Jee ke marna hai (x2)

Toofan ke humdum
Angaare hain hum
Dhadkan mein thoda sa
Baarood hai khwaahish ka

Jashn-e-Ishqa
Jashn-e-Ishqa...

Loha jug, hum aari
Sab pe hain hum bhaari
Aadha jag se yaarana hai
Aadhi Rab se yaari (x2)

Chalta hai sikka
Hukamon ka ikka
Banta apna har din
Hi shola sa ishqa

Jashn-e-Ishqa
Jashn-e-Ishqa...

Dil ki bhatti daale
Gham ke koyle kaale
Logon ki baaton se laakhon,
Rooh pe pad gaye chhaale (x2)

Zakhmon ko sehla
Ye dil na behla
Dil bhi jaise ek taara,
Hai apni hi gardish ka

Jashn-e-ishqa...



Friday, October 3, 2014

Kill Dil (Title)

Song : Kill Dil (Title)
Movie: Kill Dil
Music : Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan
Lyrics : Gulzar (Sampooran Singh Kalra)
Singers : Shankar Mahadevan, Sonu Nigam


Tara Dekh Tara, Aasmaan Pe Latka Hai Bechara

Yeh Zameen Gardish Mein Thi
Ghoom Ghoom Ghoom Ke Maara Yaara
Hum Bhi Kahin, Jhatke Nahin
Roko Zameen, Do Hi Din Ka Hai Tamasha
Pasha, Mere Pasha, Yaar Pasha
Jee Bhar Ke, Jee Bhar Le,
Aaj Hai, Aaj Hai, Aaj Hai, Aaj Hai, Kal Kuch Nahi

K K K K Kill Kill, D D D Dil Dil
K K K K Kill Kil, D D D Kill Dil

K K K K Kill Kill, D D D Dil Dil
K K K K Kill Kil, D D D Kill Dil

K K K K Kill Kill, D D D Dil Dil
K K K K Kill Kil, D D D Kill Dil.

Sweeta

Song : Sweeta
Movioe: Kill Dil
Music : Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan
Lyrics : Gulzar (Sampooran Singh Kalra)
Singers : Adnan Sami


Aa Ha Ha..
Aa Ha Ha..Ra Ra..

Main Aankhon Se Pehchanta Hoon
Achhe Se Hain Woh Bhale Se
Ghar Ka Pata Bhi Na Dedo
Ik Baar Mil Le Gale Se

Aankhon Se Aankhon Ne Kya Chakh Liya Hai
Meetha Laga Seene Mein Rakh Liya Hai Hey..
Chocolate Ke Tukde, Honth Hain Tere
Sehad Ke Qatre, Sweeta..
Tujhse Nahi Koyi Meetha Huh!

Sweeta, Sweeta..Tujhse Nahi Koyi Meetha
Dil Dil Dil, Dil Maskhari Kar Raha Hai
Phir Mujhpe Hasne Laga Hai
Phir Saans Tezz Ho Gayi Hai
Phir Mujhko Dassne Laga Hai

Halke Nashe Mein Rehne Laga Hoon
Apne Hi Aap Se Kehne Laga Hoon..
Qeheri Garmi Mein, Sharbat-E-Zam-Zam
Rooh Aafza Tu Sweeta..

Tujhse Nahi Koyi Meetha..Haaye!

ad

In Association with Amazon.in