Showing posts with label master salim. Show all posts
Showing posts with label master salim. Show all posts

Tuesday, April 28, 2015

Kya Hoga

Song: Kya Hoga
Movie: Dedh Ishqiya (2014)
Singers: Master Salim, Jazim Sharma, Shahid Mallya, Jamal Akbar
Lyrics: Gulzar
Music: Vishal Bhardwaj


Re na re aa..
Aa na.. aa na re.. re... na...

Dil ka diya, shab bhar jala
Tere liye o piya.. aa..
Jaate huve (jaate huve)
Keh ke gaya (keh ke gaya)
Yaar vida alvida

Dil to diya hai, Jaan bhi de dein
Aur nazrana kya hoga
(Kya hoga.. kya hoga..)
Lau ko chhu ke laut aaya jo
Woh parwana kya hoga

Aa....
Lau ko chhu ke laut aaya jo
Woh parwana kya hoga

Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Sar pe falak hai
Falak pe sitaare (sitaare...)
Aji humne to dekhe hain aankhon mein saare
Ho.. palkein jhukaane se kya hoga
Palkein jhukaane se kya hoga

Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Dil ka diya, shab bhar jala
Tere liye o piya.. aa...

Kya kya bataayein ki kin kin zamaanon mein
Dekha hai hum ne tumhein (o piya ji piya)
Rumaani mausam ki sab daastanon mein
Dekha hai humne tumhein (o piya ji piya)

O piya ji piya...
Morey piya ji
Morey piya ji
Morey piya ji, piya ji, piya ji piya
Piya ji, piya ji, morey piya
Piya ji, piya ji, piya ji piya
Morey piya ji piya, piya ji piya

Jaana tu baarish ki aawaz mein
Kabhi chhaanv ke andaaz mein
Kabhi udti hui dhoop mein
Kabhi khushboo ki badmaaz mein

Udte guzarte jo dariya ne dekha
Paani pe parchhayi sehla ke dekha
Ho katra ke ab humse kya hoga
Katra ke ab humse kya hoga..

Kya hoga, kya hoga, kya hoga..
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga..
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Aa... aa... aa...
Zindagi uspe vaar ke aaye
Saare ehsaan utaar ke aaye..
Humne taare utaare thhe lekin
Usne to aasmaan loot liya

Loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..
Loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..

Parda uthai ke, ghoonghat girai ke
Parda uthai ke, ghoonghat girai ke
Chain humaara loot liya..

Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Nazar uthaayi aur..
Nazar uthaayi aur, palkein gira ke loot liya
Nazar uthaayi aur, palkein gira ke loot liya

Salam-e-shauq ne kuchh is tarah se loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya

Na jaane khoon hua... aa..
Na jaane khoon hua, kitni aarzuon ka
Na jaane khoon hua.. kitni aarzuon ka
Labon pe paan ki surkhi laga ke loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..

Wafa se loota kabhi-kabhi
Aur kabhi jafaa se loot liya
Wafa se loota kabhi-kabhi
Aur kabhi jafaa se loot liya
Sitam sitam hai, sitam sitam hai
Sitam, sitam, sitam, har adaa pe loot liya

Loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, Loot liya bhai, loot liya...
Loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, Loot liya bhai, loot liya...

Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya


ad

In Association with Amazon.in