Showing posts with label raghu dixit. Show all posts
Showing posts with label raghu dixit. Show all posts

Wednesday, April 29, 2015

Aye Jigida

Song: Aye Jigida
Movie: Bewakoofiyaan (2014)
Singer: Vishal Dadlani
Music: Raghu Dixit
Lyrics: Anvita Dutt


Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye aye jigida jigida


Ho koi keh do taaron ko itna na jhuke
Sooraj mombatti ban meri raaton mein jale
Har manzil besabri se dastak hai kare
Laqeerein haathon ki meri marzi pe mude

Kora kaagaz diya hai haathon mein mere
Pehan ke jaaun jo bhi waise din honge mere
Yaar langtotiya hain yeh..
Khuda bhi jo mera karta hai hamesha,
Jo bhi mann mein ho mere

Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye aye jigida jigida (x2)

Mere ishaaron pe hi hote hain savere
Mere ghar ki chat pe hi to leta chanda phere
Mere ishaaron pe hi hote hain savere
Mere ghar ki chat pe hi to leta chanda phere

Khwahishon ki dukaan pe
Mera khaata hai chalta ji
Kismat ka bhi toh choga
Mere naap se kat'ta banta hai ji
Oon ke gole jaisi
Raahein khulti aisi
Mere pairon ke tale
Meri manzil hogi agar
Aaj yahaan se behtar
Khud se hi aake woh toh
Mere piche daude chale

Aye jigda jigda
Aye jigda jigda
Aye jigda jigda
Aye aye jigda jigda (x2)

Mujhse jo hain bhale woh
Karte sau paintare jo
Lagta nahi unse darr mujhko..
Roko chakke ki jaam se
Main toh bhai kood-phaand ke
Kar doonga aage yaar main khudko

Daanv ke pench leke
Paala zoron se khench ke
Kas doonga main jeet ke main purje
Mujhko zameen pe baandho
Karlo door aasmaan ko
Main toh phir bhi ud jaaun phurr se

Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye aye jigida jigida (x2)


Rumaani Sa

Song: Rumaani Sa
Movie: Bewakoofiyaan (2014)
Singer: Raghu Dixit
Music: Raghu Dixit
Lyrics: Anvita Dutt

Aaha aaha...

Kuch toh thi akal dil mein
Hoke bedakhal dil ne..
Shekhi maar ke humse
Sab kuch haar ke phir se

Khawabon ki khurchan se
Din yeh kureda hai
Gutthi yeh kholi hai
Tumne humne..

Rummani sa, rumaani si
Tu aur main, main aur tu
Rummani sa, rumaani si
Dil aur har justuju

Aaha aaha, aaha aaha
Aaha aaha, aaha aaha..

Waadon ke khule baste
Mehange daam pe saste
Milte hain jahaan humko
Woh hain ishq ke raste..

Wahaan dopeharon se
Hasti karari si
Dhoop utaarenge
Tu jo keh de..

Rummani sa, rumaani si
Tu aur main, main aur tu
Rummani sa, rumaani si
Dil aur har justuju

Naa hoga ke kitaabon mein
Chhapegi teri meri kahaani
Haan kishton mein suna denge
Yeh qissa teri meri zubaani

Tooti phooti, sacchi jhooti
Teri meri daastaan..
Auron se kya lena dena
Denge khudko bataa..

Rummani sa, rumaani si
Tu aur main, main aur tu
Rummani sa, rumaani si
Dil aur har justuju

Rummani sa (amm hmm..) rumaani si (oho..)
Rummani sa (amm hmm..) rumaani si (oho..)
Rummani sa (amm hmm..) rumaani si


Bewakoofiyaan

Song: Bewakoofiyaan (Title)
Movie: Bewakoofiyaan (2014)
Singer: Raghu Dixit
Music: Raghu Dixit
Lyrics: Anvita Dutt

Dil ko samjha bujha ke
Khud ko ullu banake
Ullu seedha karta rehta hai

Jo woh toota nahi hai
Khud se rootha nahi hai
Phir kyun aise tubta rehta hai
Nakli dilaase, farzi khulase
Ghalati pe parde ye daale
De kar ye jhaanse
Khud ko hi phaanse
Nuksaan mein dhoonde munaafe
Bewakoofiyaan...

Bematlab betuki si
Bekaar si, buddhu si
Bewajah Bewakoofiyaan..
Bewakoo...ooh.fiyaan 

Bematlab betuki si
Bekaar si buddhu si
Bewajah Bewakoofiyaan..

Paara utra nahi hai
Bilkul sudhra nahi hai
Munh ke bal ye girta rehta hai
Ab bhi bigda nahi hai
Sab kuch bikhra nahi hai
Munh latka kyun phirta rehta hai..
Kitne dinon se auron ko kose
Kaisi ye zidd pe ad gaya..
Koi toh toke, kam se kam roke
Kab tak khud ko dega ye dhoke...
Bewakoo..oo..ooh.fiyaan..

Bematlab betuki si
Bekaar si buddhu si
Bewajah Bewakoofian..
Bewakoo..oo..ooh.fiyaan..

Bematlab betuki si
Bekaar si buddhu si
Bewajah Bewakoofiyan..

Aye nadaan re, asaan hai re
Inn hisso ko toh jodna
Kyun pareshaan hai
Namushkil hai, maafi ke bol bolna
Aisi jhooti-muthi kyun tadi hai maare
Kya milega tu bata
Ab kya hisaab khole
Tu kya aano pe tole
Kya khoya hai kya haara
Bewakoo..oo..ooh.fiyaan..

Bematlab betuki si
Bekaar si buddhu si
Bewajah Bewakoofian..
Bewakoo..oo..ooh.fiyaan..

Bematlab betuki si
Bekaar si buddhu si
Bewajah Bewakoofiyan..


Khamakhaan

Song: Khamakhaan
Movie: Bewakoofiyaan (2014)
Singers: Ayushmann Khurrana, Neeti Mohan
Music: Raghu Dixit
Lyrics: Habib Faisal


Khamakha jod-tod kare
Khamakha paai paai pe mare

Khamakha yaar pyaar se dare
Khamakha mujhe kare kyun pare


Khamakha jod-tod kare
Khamakha paai paai pe mare
Khamakha yaar pyaar se dare
Khamakha mujhe kare kyun pare
Har story ki main teri heroine hoon
Har story ki main teri Happy Ending hoon

Jo toofan aaya, bistara uthaaya
Dil khaali karke tu chala
Tere dil ka kiraaya
Jo bhar nahi paaya
Toh kar degi mujhko dafaa

Par saari life ka waada kiya tha
Jab dil ka sauda huaa
Hey, Khaali jeb hai kaise karun 
Main chukta tere dil ka udhaar

Boli laga ke main
Tujhe apne ghar le jaaungi
Haan pehle kuch ban jaaun main
Tabhi munaafa tu paayegi

Khamakhaan pyaar bhar waade
Khamakhaan lambe choude hain iraade
Khamakhaan sapne dekhe ae diwaani
Khamakhaan apni bigdi kahaani
Har story ki main teri heroine hoon
Har story ki main teri Happy Ending hoon

Jo tu ho daaru, tujhko chadha lun
Khud ko banaa lun nasha

Baadal banke rahun tujhse milke
Jo tu ban gaya aasmaan

Kehne ki hain pyaari ye saari baatein
Karna easy nahi!
O Apne rang chhod dooje ke rang mein rangna
Easy Nahi!

Berangi saare rang
Pyaar ka hai rang hi rangeen
Baaki sab toh badle roz hi
Red, Orange, Yellow, Blue and Green

Khamakhaan pyaar bhar waade
Khamakhaan lambe choude hain iraade
Khamakhaan sapne dekhe ae diwaani
Khamakhaan apni bigdi kahaani
Har story ki main teri heroine hoon
Har story ki main teri Happy Ending hoon

Khamakha jod-tod kare
Khamakha paai paai pe mare
Khamakha yaar pyaar se dare
Khamakha mujhe kare kyun pare
Har story ki main teri heroine hoon
Har story ki main teri Happy Ending hoon

Khamakhan karaar mila
Khamakhan...
Khamakhan... Khamakhan...
Har story ki main teri heroine hoon
Har story ki main teri Happy Ending hoon


Gulcharrey

Song: Gulcharrey
Movie: Bewakoofiyaan (2014)
Singers: Benny Dayal, Aditi Singh Sharma
Music: Raghu Dixit
Lyrics: Anvita Dutt

Aye, fikron ki poonchon pe hai, patakhon ki ladi
Fitrat patang jaisi, aawara hai badi
Hum mein toh hi hai bacchu, auqaat enth ki
Pango se pange le lein, dikhaayein hekdi

Saare chichoron ko, hum hi sikhaate hain
Aishon ki kunji, likhate padhaate
Noton ki baarish hai, Sikke phuwaare hain
Bheega hai saara jahaan...

Jebon mein bhare gulcharrey
Raeesi kare gulcharrey
Show-shaa se bhare gulcharrey
Tadi se ude gulcharrey
Ude gulcharrey...

Aye, sapno ke poster wah bhai din me bhi dikhte hain
Satrangi packeton mein market mein bikte hain
Apna bas chale toh bhaari si sale pe
Chanda taare na chhode
Woh bhi khareed lein
Betuki baaton ki, tuk hum bana lenge
Hum toh jee bhai gham bhi khilli uda lenge
Hum na akele hain
Apni ye saazish mein shaamil hai saara jahaan

Jebon mein bhare gulcharrey
Raeesi kare gulcharrey
Show-shaa se bhare gulchare
Tadi se ude gulcharre
Ude gulcharrey...

Kal ki hum abhi soche kyun
Jeene ko yeh pal kaafi hai
Jo din hai humne dekha nahi
Uspe hum kyun bharosa karein
Sabhi ko chhodo sab chutki mein milta hai
Noodle ke jaise sab minton mein pakta hai
Dum bhar ki khushiyaan hain
Pal bhar mein milti hain
Maang ke dekho zaraa...

Jebon mein bhare gulcharrey
Raeesi kare gulcharrey
Show-sha se bhare gulchare
Tadi se ude gulcharre
Ude gulcharrey...


ad

In Association with Amazon.in