Showing posts with label sanjeev srivastava. Show all posts
Showing posts with label sanjeev srivastava. Show all posts

Friday, May 1, 2015

Revolver Rani (Ttile)

Song: Revolver Rani (Ttile)
Movie: Revolver Rani (2014)
Singer: Usha Uthup
Lyrics Writer: Puneet Sharma
Music: Sanjeev Srivastava


(Alka, Please apne aap ko surrender kar do
Police force ne tumhe charo ore se gher liya hai)

Ha ha ha.. Surrender?

Zehreeli tarannum ka hissa hai
Yeh shehar-e-jahannum ka qissa hai
Yahaan bandookon ke paas bhasha hai
Mohabbat ka khooni tamasha hai

Iss bhasad mein ek thi Rani
Baroodon ka woh pee ke paani
Pattharon paalne mein paida hui woh nashtari..

Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn
Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn

(Thaane se report aa gayi hai sir
Chhati ghati ki firing ke piche Alka ka hi hath tha
Oh damn it! Alka Alka Alka
Ye cheez kya hai Alka ??)

Tili baba ba ba ba dui da
Tili baba ba ba ba dui da
Taaye ro, taay ro, taay ro, taay ro, taay
ha ha ha ha..

Uske khilono mein khanjar tha, kenchi thi
Uski hatheli pe chhaala tha
Uske gharati bhi bichhoo thhe, billi thi
Usko sayyaron ne paala tha
Aayi jawaani toh woh janaani
Kheli apno ke khoon se, junoon se
Jungle ko jeeta, mutthi mein bheencha
Uske phira na jee saki sukoon se

Phir qisse mein jo mod aaya
Dil churaane jo chor aaya
Woh tha gudda aankh neeli zehreeli soorat liye
Kari uss kameene ne thaayn thaayn thaayn
Mohabbat ke seene mein thaayn thaayn thaayn

Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn

Woh khooni daldal ke manzar mein rehti thi
Par uske sapne salone thhe
Uski haveli mein jhoomar thhe, naukar thhe
Kaanton ke lekin bichhu bhi thhe
Kaante nikaale hanske uchhaale
Gham ke samandar ko pee gayi majaak mein
Uski mohabbat thi aisi hadd tak
Jaise jeeta ho ishq inquilab mein

Aasmaan bhi dehal ke roya
Bijliyon mein machal ke roya
Maut jis din gungunayi
Saanson mein uski suno
Yeh uski kahaani hai thaayn, thaayn, thaayn
Yeh sabko zabaani hai thaayn, thaayn, thaayn

Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn

(Bad news hai sir,
Hum Alka ko nahi pakad paaye,
Mujhe maaloom tha. Damn it!)


Revolver Rani

Song: Revolver Rani
Movie: Revolver Rani (2014)
Singer: Piyush Mishra
Lyrics Writer: Puneet Sharma
Music: Sanjeev Srivastava


Thaayein Kare Katta yahan dhakk dhani se
Chaaku ghuse chhaati mein phuck dhani se
Ghatna ke roadon ki taap suno ji
Ye kahaani hai kya mere baap suno ji

Raade-baaz...
Raade-baaz yahaan rani thaame revolver
Woh bhaaga...
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par
Raade-baaz yahaan rani thaame revolver
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par

Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani
Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani

Aakdi se hekdi ko khench ke nikal le
Arey goli maare karke pooche kaise ha ha haal chaal re
Maut ka yahaan jabar strike rate hai
Giddh aur cheel sabhi over-weight hai
Chaand jaise, thobde pe, chechako ke daag hai
Ishq waali paalti mein husn waale suraakh hain

Raade-baaz...
Raade-baaz yahaan rani thaame revolver
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par
Radebaz yahaan rani thaame revolver
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par

Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani
Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani

Peeth par bhi chhaatiyan hain
Chhaati pe bhi peeth hai
Sawaal pooch ke dekhiye jawaab eent hai
Aisi tragedy ke aage Guide flop hai
Itne daag hain yahaan ki Tide flop hai
Adventure hi samajh ke kood jaana bhool hai
Aa hi jaao nark mein jo
Poodne ki chool hai

Raade-baaz...
Raade-baaz yahaan rani thaame revolver
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par
Radebaaz yahan rani thaame revolver
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par

Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani
Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani


ad

In Association with Amazon.in